kis tarha se parda kia jaye?

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalm u alaikum wrwb
muje parde k bare me pochna hai.k islam me kese parde ka hukam hai..kyun k baz log kehte hain k hath,paon or chehra agr nazr aaye or baki sara jism chupa hona cheye..lekin baz'ukat ye b suna hai k Sharai parda mukamal hota hai.
baz'ukat esa hota hai k agr hum parde ka sochte hain to kbi family me ese halat nhi hote k mukamal parda kia jaye.for example cousins k samne parda krna kafi mushkil ho jata hai,family me jb milte hain ya jb ek dosre k gharon me jana hota hai to is k liye behtar surat kya hai?
is k ilawa hume kesi ehtiyat krni chaheye..k hijab har tarha se mukamal ho..na'mehram se baat krte huve kis hadd tak chot hai..is par b roshni daliye ga..humara mujoda system some time humari co education me parhna hota hai,ya family me b boht se logo se milte hain..to behtar rasta kya hai?
 
  • Like
Reactions: saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

kyun k baz log kehte hain k hath,paon or chehra agr nazr aaye or baki sara jism chupa hona cheye..lekin baz'ukat ye b suna hai k Sharai parda mukamal hota hai.
isme kuch olama ka ikhtelaf hai
kuch olama kehte hain chehra aur hath khula ho to koi harj nahi
kuch olama kehte hain chehra aur hath bhi chupana chahiye na mehram ke samne aur zyada rajhe yehi hai

for example cousins k samne parda krna kafi mushkil ho jata
jee hame pata hai aur shayad aksar ye hind o pak ka masla hai ke rishtedaron ke gharon me ana jana zyada hota hai aur cousins ke samne aana koi harj nahi samajhta lekin hame isse parhez karna chahiye agar ham parda karna chahen to bilkul karsakte hain isme thori pareshani hogi phr unko khud pata cahl jayega ke ye parda karti hai to wo bhi ahtiat karenge

is k ilawa hume kesi ehtiyat krni chaheye..k hijab har tarha se mukamal ho..na'mehram se baat krte huve kis hadd tak chot hai..is par b roshni daliye ga..humara mujoda system some time humari co education me parhna hota hai,ya family me b boht se logo se milte hain..to behtar rasta kya hai ?
bewajha to baat karna sahi nahi lekin agar zaroorat parhe to sirf zaroorat k had tak baat karsakte hain usme bhi lehja hame badalna hai thora saqht to narm lehje me baat na karen na mehram se

aur ap deen sikhne k liye ya phir is tarah ke sawal ya masail puchne k liye bas ussi had tak bhi baat karsakt hain

rahi co education ki baat to behtar hai sirf ladkion ki school ya college me hi ladkian taleem hasil karen agar aise na hone ki soorat me co education bhi kar sakte hain parda karte huye isme koi bada masla nahi hai agar ham khud parde ki pabandi karna chahen to inshsaAllah :)

mazeed aap in threads ka mutala zaroor karna isme parde ke sare ahkam bataye gaye hain daleel k sath :)

http://www.tafrehmela.com/islam/168028-parde-ke-shuroot.html#post1324107

http://www.tafrehmela.com/baton-say-kushbo-aye/103022-women-allowed-wear-pants-islam.html
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ok..boht shukaria..
jazakAllah ..:)
 
Top