na tera KHUDA koi aur hai na mera KHUDA koi aur hai...

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
HAROON BAIG BHAI AND ANWAR BAHI i totally agree with u

meri b yehi soch he lekin shayad me utna insaaf nhi krpati is topic se jitna ap ne kiya he

ALLAH apko jaza e kher de AMEEN

or hr musalmaan ko samjhne ki taufeeq de

jab ALLAH humari shehrag se qareeb he to humen usse mangne k liye kisi waseele ki zarurat nhi

auliaye kiraam k jin naik amaal ki waja se unki izzzat ki jati he humen unko follow krna chahye na k unk mazaraat pe jaak unki qabron ko sajda ya tawaaf kiya jae mene khud aise kai mazaar dekhen hen jahan ye shirk kiya jata he

agr hum aulia se aqeedat rakhte hen to unk liye isaal e sawaab kiya je na k shirk krkr unko b gunehgaar kiya jae qk unhone kisi ko apne peeche aisa krne ko nhi kaha or qayamat k din wo ap se puchenge k jab unhone aisa krne ko nhi kaha to q kiya

2nd giyarwhhen ka tassawwar humen shariat me nhi milta sunnat e RASOOL me nhi QURaAN me nhi milta then how we can do it?? buzurgon k deen ki pervi kaafir kiya krte hen hum to musalmaan he na bhaiyon or behnon humen sirf ALLAH or US K RASOOL SALAHO ALEHE WAALEHE WASALLAM ki pervi krni he

mujhe ummeed he koi meri baton ka ghalat matlab nhi nikalega

koi ghalti ki ho ALLAH maaf kre

lekin itna khaungi chand dinon me ap logon k samne haqeeqat ajaegi jo apko tasleem krna parega.
 

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
34
Han Meine . . . ek Sarsari si nazar dohrai he . .. . aapki guftago par . . ..
mera jo unwaan he . .. . ussey dono ne . .. . Anwar sahib & Haroon baig saab ne shayed . . ... samgh kar nahein parha . . . . us mein koi ikhtilaaf nahein he . .. . .
jinhein samghna tha woh samgh gaye . .. magar jo nasamagh the . .. . woh na kabhi samgh sake hein aur na kabhi samgha sakeinge . . . ISHQ k Rung ko . . ... ..
. . . aur kuttey bhi Allah Tallah he k banaye huwey hien . . . . aur Agar Insaan . . . . kuttey se waffadari seikh le to patta he Insaan Farishta baan jayeiga . . .. . .
aur aapne kiya kaha Ali Ali karne se kuch nahein milta he . . . .
to Hazrat Ayeisha R.A aur Hazrat Abu Babakar Siddique kiya farmaate hein . . . . zara Mulahiza kigiye . . . . .
[media]http://www.youtube.com/watch?v=G_il7HrqPjY&NR=1[/media]
[media]http://www.youtube.com/watch?v=kEz7x0P8woI&feature=related[/media]
 
  • Like
Reactions: zulqarnain

HaLaKOO

Newbie
Aug 18, 2009
812
485
0
Karachi
Assalamu Alaikum Warahmatullahe Wabarakatohu

Sab se pehle to yeh kahna chahoonga k mujhe yeh thread daikh kar bohot herate hui aur pahle page ka pehla paragraph parh kar kuch zyada hi hairat hui k mai ne Diferent Person ko yeh to kaha nahi tha k aap is section mai aik new thread bana do aur us mai dunya jahan ki batain kar do mai ne to different bhai aap ko giyarhveen ki thread ka link dia tha wo bhi aapke kehne par aur kaha tha k agar aap is topic ki himayat mai koi baat karna chahte hain to yahan par comment de dain hamari posts parh kar kyun k jo bhai ham se is topic parh behas kar rhe the Arsalan Attari bhai Alhamdulillah wo ab kuch keh nahi pa rahe hain isliye hamari comments hi ends hain aur kaafi ho gae hain unke liye kuyun k wo sahi baat ko manne wale nahi aur unke pas ab koi doosri baat karne k liye bachi hi nahi hai isliye agar aap kuch kehna chahte hain to aap wahan apni baat k himayat mai comment de dain par aap ne to aik new thread hi bana di aur us mai bhi wo batain nahi ki jo aap ne wada kia tha iskey gawah bhi mai paish kar sakta hoon jo us waqt chat box mai the MALIK IMRAN aur ZULQARNAIN inke ialawa bhi kuch log honge par mai in dono ko yahan paish kar sakta hoon k baat kia hui thi aur aap ne usay kia kar dia aur phir keh rahe hain k wadey k mutabiq mojood hoon waah kia baat hai apki…..

Different person aap kehna kia chah rahe hain pahle is baat ki wazahat kar dain mai yeh isliye keh rha hoon k aap ne koi aik topic par baat nahi ki aap ne dunya jahan ki batain kar di hain jo kisi bhi debate aur manazare k usoolon k khilaaf hai aap pehle to koi aik topic choose karain k kis topic par aapney baat karni hai phir insha Allah ham us par aap k saath dalayel se baat karainge lekin mai fil haal aapki taraf se ki gai baton ki mukhtasar jaawab dena zaroori samjhoonga….

Aap ne jo aik aurat ka waqia bayan kia hai k aurat ne biryani banai aur bachon mai baant di mere bhai hamara deen mai aisi koi cheez nahi milti k kuch bhi khaane ki cheez banao aur us par surah fatiha parh kar logon ko khila do yeh kisi bhi Quran shareef ki ayat aur na hi kisi hadees mai iska koi proof milta hai ab mere par yeh label na laga daina k mai ne nauzubillah surah fatiha ko manne se inkaar kar dia hai. Baat yeh hai k ham apni marzi se deen mai koi naya amal nahi kar sakte aur hamare pyare aur mukammal deen mai aisi koi baat nahi milti to kyun k yeh kaamil deen hai isliye beshak bazaahir bara naik lagne wala amal bhi jahannum mai lejane ka baais ban jaaega jis se hame parhaiz karna chahiye kyun har naya amal jo pehle deen mai nahi thaw o bidat hai aur har bidaat gumraahi hai aur har gumraahi jahannum mai le jane wali hai….

Mere bhole bhaale seedhe saadhe bhai aapko misaal dena nahi aati to aap ney yeh napaak aur najis jaanwar kutte ki misaal kyun di us janwar ko aap ne Ashraful maqhlooqat se mila diya hai jis k baray mai hai k agar yeh ghar mai ho to rahmat k farishte ghar mai daakhil nahi hote aur agar wo bartan maim uh daal day to bartan napaak ho jaae aur jisay har zeeshaoor musalmaan touch hone se katraata hai ap ki soch ki daad doon aap ne us najis jaanwar ki misaal itne hissaas aur religious topic mai de di kia baat hai aapki…

Mere bhai different person aap ne jo Hazrat Adam AS ka waqia bayan kia hai yeh aap se meri humble request hai k is baat ko kisi hadees yaa Quran shareef ki kisi ayaat se saabit kar dain plzz k Hazrat Adam AS ne jannat k darwaze par Kalma tayyaba parha tha aur phir jab jannat se nikale gae to us kalme ka waseela de dia ho aap search karain phir saabit karain lekin aik baat bata doon aap nahi saabit kar sakte kyun k aisi koi baat hame deen mai milti hi nahi to mai aap se yehi kahoonga k Quroone Uoola aur paighambaraat k waqiaat ko quote karne se pehle bohot achi tarha thoroughly concept clear kar lia karain k kahin koi ghalti to nahi ho jaae suni sunai baton ko aage mat pohonchaya karain, aapke sabooot ka wait karoonga…

Wasilay par aap nay bohot si baatain ki hain aur aik dunyawi misaal bhi di hai k agar kisi ko kaam karana hota hai to wo DCO k dost se hi karwa laita hai aur wo DCO ka dost aapka bhi dost hai aur aapko DCO se milne ki koi zaroorat nahi hai waah wwaaaaaaaah !!
Mere bhai jaan aap ne yeh do takey k dunyawi ikhtiaar rakhne wale DCO ki jis ki koi haisiat aur auqaat hi nahi hai usay Allah rabbul izzat aur Allah wahdahu laashareek se mila diya hai jis k ikhtiaraat mai koi kami nahi aur na hi usay koi poochne wala hai. mere bhai aap aik jagah kehte ho k Allah Talah hamari shehrag se qareeb hai aur doosri taraf apni isi baat ko ghalat keh rahe ho k jab aapka kaam DCO k aur aapke mushtariqa dost se ho jaae to aapko DCO se koi rabta rakhne ki zaroorat nahi aapki baat se yeh matlab nikalta hai k nauzubillah jab hamara kaam yeh buzurgaane deen se ho jaae aur hamari dili muraad poori ho jaae kyun k yeh Allah k qareeb hain isliye inkay mazaraat par jaa kar maang lo aur phir Allah k saamne jhukne aur Allah se mangne ki koi zaroorat nahi hai kia bat hai aapki janab.. Allah jo shahrag se zyada qareeb hai us se mangne mai masla hai aur koson door aur hazaron kilometer ka safar kar k auliaa karaam k mazaron par jaa kar matha taik do par panch time namaz mai Allah k aagay sajda na karna kyun k direct to DCO bhi nahi sunta to Allah bhi nahi sunega Nauzubillah summa nauzubillah astaghfirullah…

TM Members mai Yahan aik baat karay baghair nahi rah sakta k baraye meharbaani kisi bhi topic ko parhe baghair jazak Allah aur masha Allah jaise behtareen kalmaat mat ada kar dia Karin plz thora time nikaal kar post ko parh bhi lia karain kyun k islam section mai hone wali har baat par jazak Allah aur masha Allah kehna kisi kitaab mai nahi likha.

Allah Talah se Dua hai k Allah Hame deen ki samajh boojh ata farmaye Aameen.
 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
gunjan sis....

sorry agar meri baat aapko buri lagy to...

but sis plz explain kardo k kon log mizaaraat per sajda(maazALLAH) ya tawaaf karty hain??

coz main neapni poori zindagi na hi aisa dekha na parha aur na hi suna hai...

hope k aap dalaail k sath apni baat zahir karein gi...

~Shukriya~

~ALLAH HAFIZ~
 

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan
Mera to Bas yehi Kehna tha, k jo Chatroom mein Islamic guftago hoti rahi he, yan ho rahi he aajkal woh na ho, Kyun Sub mukhtalif firqon k log moujod hein , , Mein Yeh Chahta hoon k Kissie ki Dilazaari na ho.
Par Halakoo ne kaha k jo Islaam ke Dushman hein Unhien Bura Bhala kehne mein Koi Burrai naien,
Aur Dushman Mazaraat jaate hein . . . aur mazaar par duaayein mangte hein . . .phir mughey unhon ne
yeh link diya aur yahan aane ki dawat di ,,.. aur kaha k Aap jo bhi kehna chaho Aap apni Rai yahan batao .
To Vaade k Mutabik mein aaj yahan moujood hoon. . . .

Mazaraat ka COncept, Niaaz ka Concept, Aur Gihyaarvein Sharif ka Aaj se Nahein Sadiyon se yeh Riwayaat challi aa rahi he . .
Woh Kehtey heina k Allah Talla Jissey Chahe Deita he . . . . Woh Aayaat bhi he . .. Wato Ezzo Mantashao , Wato Zillo MantaShao...
Allah Talla Ezzat Deita he jissey Chahey, Aur Zillat Deita he Jissey Chahey ... . ..
Dhoodne ne Se to Allah bhi Mill he jaata he . .Jin mein Zouq-e-Talab hota he ,,, , Allah Tallah ko Paane ka . . . Jinpar Allah Tallah ki Khaas Meharbaani hoti he . . . Woh log Ebadaat karte kartey Dhoondne Niqal partey hein . . Be-Shak All Powers belongs to God.
Bohat hein Allah Loki . Yan God gifted persons . jo Allah Tallah ko Paatey hien . .. Apne Kareeb . . . Be-Shak Allah Tallah Hamari Shehrug k Kareeb hein . . ..
Allah k Naik Bande . . . . Apni saari Zindagi sacrifice kartey hein . .. apni nabz par kaabo paatey hein . ..Wohi Log Islaam ko Farog deitey hein . . . aur Generation to Generation unke Silsiley bhi chaley aarahay henin . . .
jo Allah Tallah ki Ebadat mein Masroof hein . .
Allah Tallah ne Hazrat Aadam A.S . . . ko Banaya aur Farishton se kaha k Sajda karo . . .yeh Baat, yeh Waqia Sub ko Maloom he . . . .
Aur phir Iblees ne Sajda karne se inqaar kardiya . . . aur uska jo hashar huwa woh bhi sub ko maloom he . .. .
Be-Shak Allah Tallah jissey chahey jitni Ezzat de .
Baar Baar Mein Allah Tallah ka Naaam es liye dohra raha hoon . . . . Kyun k Unhon ne mughey zabaan di he . . Apna Naam leiney k liye, aur Apne Mehboob ki Tareef karne k liye . ..
Unke Mehboob Hazrat Mohammad Mustafa Salalaho Alehe Wa Aale Wasalum hein . . . .
Eik Waqia Suniye . . . .
Aik Din 1 Khatoon ne Apne Ghar Biryaani ka Ahtamam kiya: aur Us par Surah Fatiha parhi aur Allah Aur Uske Muhammad ka Naam Par kar Khatum Dilwaya.. . . ..
Aur Apne Bachon ko Khilaya aur chand Mohaley k Bachey bhi Bulwa kar unhein bhi Khilaya . . .
Jub us khatoon k Shohar Ghar par aaye .. . To Us Khatoon ke Sohar ko Patta Challa k Ghar mein NIaz Dilwai gaye he . . .
To Sahib ne Apni Biwi se Kaha ::: . . . Tum Mughey Haram Khilana Chahti ho . ... To unki Biwi ne Kaha k Meine to Bus Surah-e-Fatiha Parhi he . . . Aur Allah aur Uske Mehboob ka Naam liya he, Be-Shak Rizk Allah Deita he .
Es mein Kaissie Bidat . . . .? . . Mein Allah aur Uske Mehboob Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ki Bandi hoon . . . mein to Unse Mansoob hoon . . .. Yaani k Unke Naam ke Saath Bandhi hoon . .. to Yaani Tumpar Haraam hui . . Agar Yeh Rizk Haram he to.. yeh baat Samaghne ki he . . . .
Please Surah Fatiha Par kissie ko Objection nahein hona Chahiye . .. agar he to woh Musalmaan nahein . . .
Mein Phirse Allah Tallah ke Naik Bando ka Zikar Karna Chahonga . . . .. Bcoz Har Dour mein . jub jub . . . Islaam par kissie ne buri nazar ki . .. us us waqt . . .
Allah ke Naik Bando ne Ussey Bachane k liye Apni Zindagion ko Qurbaan kiya . . . Allah Tallah ne Kaha k Mein Apne Deen aur Apne Quraan ki Khud Hifazat Karunga . . . . . Woh kaisey kareinge . .. yeh Allah Tallah aur unke Nabi jaante hein . ..
MaShaAllah se yeh Hamara Khitta . . Bar-e-Sagheer . Sufism ka Gar Raha he . .. Aur Allah Tallah ne Hamein Nawaza he Sufia Karam se . . Faiz Paane k liye . .. . Yah Hamari khuskismatti he . . . Ham Unse Faiziyab hote aa rahey hein .. . Yeh mein unke liye kehra raha hoon jo Sufism ka hissa hein . .
Yahan koi Naibon ko Thaam Leita he to Koi Direct Maangta he . . . . .
Aap Deikhtey honge Galion mein Aawara Kuttey Goomte rehtey hein . . . Aur Koi koi Kuttey Paal laita he . . . Usko Saaf Suthra Rakhta he . . . Uski Khud hifazat karta he. . .. Uske Galley Mein "Belt" patta baandhta he apna . . .
Aur Jub bhi koi chahey us Aawara Galli ke Kuttey ko, jo chahey Pathar yan Eint maar sakta he . ..aur shayed sharati bachey kartey bhi he . .
mere kehne ka sirf yeh matlab he k jub bhi koi chahey galli k kuttey ko maar sakta he . . . (mere lafzon ki gehrai ko samghein . . . koi bhi chahey maar sakta he . . ) kyun k woh aawara kutta kissie ki jaagir nahein . .
aur woh khutta jisske galley mein . . ... uske maalik ka patta he .. .. . ussey marna . . . heheheaaaheee .eh .
Sochiyega bhi nahein .. . bcoz . .. Uska maalik aapko nahien choreiga . . . Woh Kutta apne maalik ki jaagir he . . . . to Chunachey ..
JO Insaan Allah Tallah k Mehboob se . . .. Yan Allah Tallah ke Nabiyon se, yan Unke Naibon se masoob yan Nisbat Haasil karleita he . ....Yan Masoob hojaata he . . . pus woh uska "patta" bandh leita he .. .
To phir uski mushkilaat bhi. . . ghoom kar aati he Unse jinse woh masoob hojaata he . .balke kabhi kabhi to wahein un tak he ruk jaati hein . . . . . Mushqilaat hhehheheh . .
This is called Ishq ka Rung . .. jo Rung jaata he. . . . bas .. Sub kuch paa leita. . .
Bohat he Azeem Log Ghuzre hien Yahan, Es Duniya se . .. Jo Allah Loki they, . . .
jinse Log Faiziyaab huwey , . .. aur Aaj tak Faiz Pa rahay hein . .. directly aur indrectly . . .
yani wasiley se aur baghair wasiley se . .. .

jin mein Hazrat Lal Shehbaaz Qalandar, Hazrat Shah Abdul Latif Bhittai, Hazrat Baba Farid Gunj Shakar aur Khuwaza Mueen-ud-din Chushti, Barey Naamon mein Shamil hien . .
Aur bhi Countless Naam hein .. jo mein es waqt na le Sakun . . Woh hein Es dunia mein . . .
jinse Log Faiz pate aarahey hien . . . . Aur Apni Muradeen Wasiley se . . .Pa Rahey hein .
Waasta aur Waseela . .. . . 1 waasta to Hazrat Aadam A.S ne bhi Diya tha . . .. Yaad Aaya ? . . .
jub Gandum ko Kha kar jannat se niqale gaye they,,, .. Kayee Saal tak touba kartey rahey . . . .
Aur phir unhein yaad aya tha k . .. unhon ne Jannat k Dawaze par kalima Tayab Parha tha . . . to Unhon ne: Lailaha Illaho Muhammad dur Rasoollullah . .ka Wasta diya,
to phir Amma Hawa unki Pasliyon se laayein gayein . . .
Allah Talla ne Apne Mehboob ko Elm ka Shaher Banaya he . . .
Aur Phir Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ne khud wazahat ki . .. .
Mein Elm ka Darya hoon Aur Ali(A.S) es ka Darwaza . . .
Koi Bhi Darwaze ke Binna kissie bhi Shaher mein Nahein Jaasakta . . . To Bas Kari se Kari he . .
kari se Kari Milatey jaao . .
Allah Tallah ki Chah Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) hein . .
Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ki Chah Ali (A.S) ,,,..
Hazrat ALi ki Chah Unka Gharana . . . . jinhein Aal-e-Muhammad kehtey hein . .
To Bus jo Aal-e-Muhammad ko Paa leiga . . to Samgho Khudda ko Paa leiga . .. .
1 Choti si Misaal . . . .
D.C.O kehtey hein Deputy Commsioner Officer . . ok . ..
Aapka ka Ghar D.C.O k Ghar k Barabar mein he . . Uske Ghar aapka Aana Jaana he . .
Bohat he Achi Dosti he . .
aur D.C.O . . . . Aap bhi D.C.O k bohat baar kaam aachukey ho . .. .
Aur woh aapka kaha nahien taalta . . . .
Mein bhi Aapka Dost hoon . .. .. aur Mughey D.C.O se kaam he . . aur mein directly gaya par D.C.O ne mughey inqaar kar diya . . .
phir meine socha k Apna Dost he, jo D.C.O k Kareeb he . . .
to Mein aapke pass aaya aur apna problem disscuss kiya . . . .
to Aapne mughse kaha k mein hoona u don't worry . . .
mein Unse kahonga woh mughey manna nahein karsakta . .
Tum be-fiqar hojao mein karwadonga. .
to Meine Apna Kaam tumhein diya . . . aur wohi huwa jo hona tha . . .
Tumne mera kaam aasaani se karwadiya . .
Ab mughey direct D.C.O se Milney ki zaroorat he nahein ...
jubke meraa kaam to mere dost ne karwadiya . . . . hehehehehe . ..
To Bus Allah ne Khana-e-Kaaba mein Ali A.S ko Paida Farmaya . . . . Sub Aoliyon par Afzal Ali A.S ko rakha . . Aal-e-Muhammad Allah ke Kareeb hein .
Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ko Apna Mehboob banaya . . . . Hazrat Fatima Jannat ko Sardaar hein . . .
Hum Muhammad (Salalaho Aleh-e-WaAlie Wasalum) ke Ummati hien . . . Jannat Hamara Mukaqar he . . .
Hum Mazharon par jaatey hein . . . aur Kehtey hein k Hamari Baat Aage Pohancha di jaaye. Aur Aoliya Aage Pohanchate hein . . . .
Bas Dil mein Aqeeda hona chahiye . . . . .
kuch baaton ka jawab nahien . . .. jaisey Hum Allah Tallah ko Baghair Deikhey Unpar Eimaan Laye hein . . ..
Yeh Hamaray Eimaan ki Mazbooti he . . . Hamara Aqeeda he . . . .
Baghair Deikhey Eimaan Lana . .. . Yahi Sachay Musalmaan ki Nishani he . ..

Phir BHi Mein Aakhir mein Yahi kehna Chahonga k . ..
Na Tera Khudda Koi Aur He Na Mera Khudda Koi Aur He . . . . Yeh Jo Raaste hein . .. Judda Judda Yeh Muamlaa Koi Aur he . . .
mere bhai aap ne ye jo b kaha hai is main aap ne jo topic tha us pe tu baat hi nahi ki...aap ne sirf kutte aur maalik ki misaalein hi di.......aisa nahi hona chaeye tha...mera sirf ye sawal hai aap mujey kahein se b sabit kar dein k kabi SAHABA KIRAAM NE GIYARVEE KI?ya koi aur issi kisam k kaam matlab sherni waghaira...main ye apne knowledg k lye poch raha hoon..
aur dosra mujey aap ki is baat pe sakht etraaz hai k aap ne likha k jis AAL-E-NABI ko pa liya us ne khuda ko pa liya..is ki wazaat karein gein?
aur ager aaenda is topic pe kuch kehna ho tu idher udher ki baton ki bajae sirf aur sirf topic pe baat karein wo b hawalajaat k sath..merhbani ho gi aap ki..
aur baqi member se guzarish hai k KHUDARA pehle read kar lya kerein k kya likha hai us k baad JAZAKALLAH kahein..
 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
nice malik bhai....

aapki last wali baat se main agree karta hoon k pehly poori post parhni chahiye phir comments deny chahiye....
 

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
AP JAO ABI INTERIOR SINDH ek ek mazar pe apko kai proves mil jaenge

me matric me school ki taraf se gayi thi interior sindh

hum shah abdul latif k mazaar pe gaye

aurat ko qabron k paas nhi jana chahye isliye me andar nhi gayi magar aihate se mujhe mazar k andar ka scene nazar araha tha log wahan unki qabar mubarak pe ankhen laga k peshani laga k choom rahe the or phr qabar ka ek round laga kr peeth unki qabar pe kiye bagher bahar nikal rahe the

kiya ye shai he

saudia jaen or ROZA E RASOOL ki hazri den wahan jo koi dua k liye hath uthata he to wahan k guards bidat bidat chillate hen or mana krte hen

agr iski ijazat hotti to sab se pehle wahin hum ye scene dekhte krte or apni aulaad se krwate

magr jo cheez ALLAH k HABIB SALLALLAHO ALEHE WASSLAM k roze pe nhi horahi to aulia ki qubur pe q??

kiya unka rutba NABI SALLALLAHO ALEHE WASSLAM se ziada uncha he??

mana k saudia me kafi ikhlaqi buraiyaan hen magr BAITULLAH n ROZA E RASOOL pe aapko aisi koi cheez nhi milegi jisme shirk ho ya bidat
 

haroonbaig

Newbie
Jun 28, 2009
682
275
0
41
Gunjan iz right n i m from Multan, whom people used to say Madina-tul-oliya (City of saints) n Multan Shareef, visit Multan n u will find lot of proof of ur question in different tombs. @ Zulqarnain
 
  • Like
Reactions: Bint-e-Aisha

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
bro main aksar hi multan aata hoon....humein dukaan k liye maal lena hota hai wahan se ...

but main ne aj tak nahi dekhai aisa kuchh jahaan sajda kiya ja raha ho ya tawaaf ho....

but inshaALLAH is baar ghor se sub kuchh observe karo ga...

shukriya
 

janisp

TM Star
Sep 27, 2009
1,163
703
613
pakistan
AP JAO ABI INTERIOR SINDH ek ek mazar pe apko kai proves mil jaenge

me matric me school ki taraf se gayi thi interior sindh

hum shah abdul latif k mazaar pe gaye

aurat ko qabron k paas nhi jana chahye isliye me andar nhi gayi magar aihate se mujhe mazar k andar ka scene nazar araha tha log wahan unki qabar mubarak pe ankhen laga k peshani laga k choom rahe the or phr qabar ka ek round laga kr peeth unki qabar pe kiye bagher bahar nikal rahe the

kiya ye shai he

saudia jaen or ROZA E RASOOL ki hazri den wahan jo koi dua k liye hath uthata he to wahan k guards bidat bidat chillate hen or mana krte hen

agr iski ijazat hotti to sab se pehle wahin hum ye scene dekhte krte or apni aulaad se krwate

magr jo cheez ALLAH k HABIB SALLALLAHO ALEHE WASSLAM k roze pe nhi horahi to aulia ki qubur pe q??

kiya unka rutba NABI SALLALLAHO ALEHE WASSLAM se ziada uncha he??

mana k saudia me kafi ikhlaqi buraiyaan hen magr BAITULLAH n ROZA E RASOOL pe aapko aisi koi cheez nhi milegi jisme shirk ho ya bidat
Great gunjan

1 baat ladies ko mazar per jana manah nahi hai
us ka tareeqa yeh hai k aap jis mazar per jao wahan per aap dupate ya chadar main na jao wahan aap full parda kar k jao

JAB HAZRAT AEYSA (R.A.A) AAP (S.A.W.W) K ROZE PER HAZRAT UMAR KI WAFAT SE PEHLE JATI THI TO WOH PARDA NAHI KARTI THI OR JAB HAZRAT UMAR KI WAFAT HOI TO WO COMPLETE PARDA KARI THI

yeh main ne 1 AALIM se JUMAA MUBARAK k khutbe main suna tha

(WALLAH-O-AALAM-WA-RASOOL-O-AALAM)

Gunjan iz right n i m from Multan, whom people used to say Madina-tul-oliya (City of saints) n Multan Shareef, visit Multan n u will find lot of proof of ur question in different tombs. @ Zulqarnain

aap sahi kah rahe ho dear
 

haroonbaig

Newbie
Jun 28, 2009
682
275
0
41
plz quote proper reference from Quran or Hadith (SAW). This statement cannot b accepted that i have heard from a friend of mine or in a lecture etc. @ Janisp
 

janisp

TM Star
Sep 27, 2009
1,163
703
613
pakistan
plz quote proper reference from Quran or Hadith (SAW). This statement cannot b accepted that i have heard from a friend of mine or in a lecture etc. @ Janisp
dear main yeh nahi keh raha k me ne kisi friend se suna hai me ne 1 AALIM se suna hai JUMAA MUBARAK k KHUTBEY main aap ko pata hoga k JUMAA MUBARAK main kitni awaam hoti hai un main AALIM b hote hain or muje ISLAM k bare main jo baat pochni hoti hai main un se poochta hoon
 

haroonbaig

Newbie
Jun 28, 2009
682
275
0
41
dear janisp!
pehli bat men nay ye nahe kaha k aap nay friend ki bat quote ki, men nay misal di thee aur dosri bat ye k kai baten ham bhi juma k khutba aur different lectures men suntay hen likn behtareen tareeqa yahi hai k ham us ka reference dhoond len ya juma k bad ya kisi aur lecture k bad un alim ya scholar say poch len ta k next time kahen quote kartay howay hamary pas proper grounds hon.

JazakAllah Khair
 
Status
Not open for further replies.
Top