Yeh Mehfil Jo Aaj Saji Hai........ Mohtram Saviou

  • Work-from-home

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
ye lijiye yahan ham ne khud apne hath se banaya kuch share kiye hain
http://www.tafrehmella.com/threads/dedication-to-tm-family.279812/

aur Dam ki biryani jahan share kiye the wahan image remove ho gayi hai to hamare mail me jo pehle save kar rakhe the wo upload kiye apke liye :)

View attachment 101347

@shehr-e-tanhayi
Bahot Zabardast

Hum Issay Weekend MeiN Zaroor Try KareN Gay ..... Insha Allah

Aur Agar Kuch Samjh Nahi Aayi To Apko Zehmat Bhi DeiN Gay... Waise Itnay PhohaR Bhi Nahi HaiN, Umeed HAi Achi Hi Bna LeiN Gay.
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
@saviou Mohtram
Aik Sawal Zehan mein aaya hai ... tafseeli jawab dijiay ga .
Khud-pasandi kiya hai......
Khud-pasandi achi hoti hai ya buri?
 
  • Like
Reactions: saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
@saviou Mohtram
Aik Sawal Zehan mein aaya hai ... tafseeli jawab dijiay ga .
Khud-pasandi kiya hai......
Khud-pasandi achi hoti hai ya buri?
bohot acha sawal hai waqai
tafseeli jawab ya khud pasandi haqeeqat me kya hai ye phir kabi batayenge lekin mukhtsar wazahat zaroor kar dete hain

dekhiye khud pasand ek maino me ghoroor hai ghamand hai ananiat hai aur khud pasandi buri cheez hai
hame chahiye ke ham is amal se door rahen kyun ke khud pasand ham ko neik kamo se mehroom rakhti hai ache kamon se roke rakhti hai aur bil akhir zaleel bana deti hai aur nuqsan uthane walon me se bana deti hai

banda jisko ye beemari ho wo khud ko sab se acha aala manta hai agar kisi Aalim se kuch puchna bhi ho to samajhta hai mere paas hi ilm hai main kyun puchun yane wo samne wale ko haqeer samajhne lagta hai to yahan usko ilm seekhne se uski khud pasandi ne rok diya

apna maal sab se acha apni aulad sabse achi main sab se acha mera kaam sab se acha ye sab wo sochne lagta hai aur phir is amal se uske andar ghuroor ajata hai ghamand ananiat palne lagti hai jo akhir me usko tanha lachar bana kar rakh deti hai

Makkah k mushrikon ki misal dete hain apko unke andar bhi to khud pasandi thi Allah k rasul alayhi salam ko manna wo khud ko unke samnje jhuka dena samajhte the isliye wo unki baat nahi mane aur nateeja kya hua wo ache kam se ruk gaye aur phir Allah ne une zaleel kar diya aur jo loog aap ki baat ko maan gaye unka rutba duniya me bhi badh gaya aur akhirat me bhi wo kamiyab hain in sha Allah

behre haal aaj aksariyat is khud pasandi me hai to hame is se bachna chahiye wallahu aalam
 
Bahot Shukria Tafseeli Jawab K Liay.
Waqyi Yeh Kisi Bemaari Se Kam Nahi... Asal MeiN Aaj Aik Thread MeiN Iss Baray Thori Discussion Huyi To Socha K KahiN MaiN Hi Ghalat Na Keh Rahi HoN Iss Liay Munasib Samjha K Agar MaiN Ghalat HoN To Apni Islaah Kar loN.
Bahot Shukria Phir Se.
 
  • Like
Reactions: saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Bahot Shukria Tafseeli Jawab K Liay.
Waqyi Yeh Kisi Bemaari Se Kam Nahi... Asal MeiN Aaj Aik Thread MeiN Iss Baray Thori Discussion Huyi To Socha K KahiN MaiN Hi Ghalat Na Keh Rahi HoN Iss Liay Munasib Samjha K Agar MaiN Ghalat HoN To Apni Islaah Kar loN.
Bahot Shukria Phir Se.
kya ham jaan sakte hain is mauzu par kahan discussion ho rahi thi?
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Koyi Chota Kaam Ho Ya Koyi Bara Kaam Ho.....
Anjaam K Baaray Soch Kar Poori Mansooba Bandi Se Kaam Ka Aghaaz Kartay HaiN Yaa Sochtay HaiN K Jo Ho Ga Dekha Jaaey Ga, Shuruu To Karo?

@saviou
 
  • Like
Reactions: saviou

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Aksar Log Samjhtay HaiN K Woh DoosroN Se Kaafi Mukhtalif HaiN.... Yeh Koyi Buri Baat B Nahi Hai. AadateN Mukhtalif Hoti Hi HaiN, Soch Ka Andaaz Bhi Mukhtalif Hota Hai.Kiya Aap Bhi aisa Sochtay HaiN?
Agar Sochtay HaiN To Khud Ko DoosroN Se Kiya Mukhtali Paatay haiN?
agar Nahi Sochtay To Kiya Iss Ki Koyi Waja Hai Jo Btaana Pasand KareN Gay (agar Personal Na Ho To)
@saviou
 
  • Like
Reactions: saviou

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Wada Yaad Rakhtay HaiN ?
agar aap se kiya wada koyi bhool jaaey to kiya rad-e-amal hota hai aap ka?

@saviou
 
Last edited:

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Jab aap Pakistan MeiN HoN To Jaisa K Yehi sun-nay MeiN aata hai
Bijli Aayi
Bijli Gayi
Bijli Kab Aaey Gi
Bijli Kab Jaey Gi
To Bijli K Jatay Hi Be-saakhta Zuban Par Kiya aata hai?
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Insaan Khata ka Putla Hai.... Kuch Na Kuch Ghalat Ho Hi Jata Hai. Kuch Ghaltiyon Se Insaan Sabaq Seekhta Hai Lakin Kuch Ghaltiyon Ko Ghalti Maantay Huvay Bhi Woh Ghalti Dohranay Ko Dil Karta Hai. Kiya aap Bhi apni Kisi Ghalti Ko Duhrana Chahtay HaiN?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Koyi Chota Kaam Ho Ya Koyi Bara Kaam Ho.....
Anjaam K Baaray Soch Kar Poori Mansooba Bandi Se Kaam Ka Aghaaz Kartay HaiN Yaa Sochtay HaiN K Jo Ho Ga Dekha Jaaey Ga, Shuruu To Karo?

@saviou
kuch kaam aise hote hain jinhe baqaidah achi mansoobabandi k sath karna chahiye aur karna parhta hai aur kuch aise hote hain jisme ye yaqeen nahi hota k isme kamiyabi milegi bhi k nahi to aise me risk lete hain aur aise waqt chalo shuru karte hain dekha jayega wali baat aati hai

dekhen jahan masla deen ka ho wahan bohot ehtiyat karte hain aur jahan duniya ka masla ho wahan risk lete hain

hamare ek dost hamesha ek danishwar ka qaul naqal karte hain ke shuru karna aada kaam khatam karne k barabar hai yane aap kaam shuru to karo bohot se kaam bas soch me mansoobo me hi reh jate hain jinhe amali jama me kabi nahi dekh paate isliye koi bhi khair ka ya acha kaam ho usse shuru kar dena chahiye baki khud ba khud anjam tak pahunch jaata hai
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Aksar Log Samjhtay HaiN K Woh DoosroN Se Kaafi Mukhtalif HaiN.... Yeh Koyi Buri Baat B Nahi Hai. AadateN Mukhtalif Hoti Hi HaiN, Soch Ka Andaaz Bhi Mukhtalif Hota Hai.Kiya Aap Bhi aisa Sochtay HaiN?
Agar Sochtay HaiN To Khud Ko DoosroN Se Kiya Mukhtali Paatay haiN?
agar Nahi Sochtay To Kiya Iss Ki Koyi Waja Hai Jo Btaana Pasand KareN Gay (agar Personal Na Ho To)
@saviou
dekhen fitri taur par insano me aksar adaten ya pir soch ya chahat khwahish ek jaisi hi hoti hai phir uske baad asar parhta hai unke rahan sahan mahol mulk makaan par phir aurat aur mard ka fark

to ho sakta hai ham bhi dusron se mukhtalif hon balke hain khud ghar me bhai bhai ki soch samajh amal alag hota hai misal ham khud apni denge ham char bhai hain aur takreeban ek hi nazariya rakhte hain bohot si cheezon me chahe wo maa baap ka haq ho ya phir dusron ki madad ya dushman se nafrat phir bhi ham sab ke sochne ka andaz alag hai mamle ko kaise deal kiya jaye aur phir himmat se aage barhna waghaira

jab ghar me sab ek dusre se mukhtalif hote hain to baki sab se to zaroor alag honge haan kabhi kisi ajnabi ki adaten ek jaisi mil jaati hain ye alag baat hai
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
Main Ne Dekhay Ap k Replies Lakin Abhi Parhay Nahi Kynkay Poori Tavaja Se PaRhna Chahti HoN Aur Abhi Sari Tavaja Maash Ki Daal ki Tarf Jis K dehi BaRay Bnaanay Lgi..
KhaayeN Gay Aap Sab Bhi @saviou @Hoorain @Shiraz-Khan
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wada Yaad Rakhtay HaiN ?
agar aap se kiya wada koyi bhool jaaey to kiya rad-e-amal hota hai aap ka?
@saviou
jee bilkul yaad rakhte hain :)

hmm agar waqai me bhul aye hain aur zaroori ho to yaad dilate hain chahe sidhe na kahen lekin koi aisi baat keh kar jis se yaad ajaye aur agar jaan bujh kar bhulne ka natak karen to phir unke haal par chor dete hain
 
shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
namak mirch ka sath hai is waqat to socha aik sawal aur kar lon

jalay par namak chirhka hai kabhi?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Jab aap Pakistan MeiN HoN To Jaisa K Yehi sun-nay MeiN aata hai
Bijli Aayi
Bijli Gayi
Bijli Kab Aaey Gi
Bijli Kab Jaey Gi
To Bijli K Jatay Hi Be-saakhta Zuban Par Kiya aata hai?
pehli baat to ham pakistan me nahi hote :p

yahan saudi me to ye mauqa bohot kam milta hain haan jab India me hote hain tab ye mauqe dekhne ko milte hain aur aksar jab neend me hote hain tab bijli jaati hai to kuch khaas nahi kehte dil chahta hai kuch kahen lekin kehte nahi :p
 
Top