Coffee With RedRose- Saviou

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313

arey choti tumhe jawab chahiya ya saviou bhai ki smile:p
chalo jb tk saviou bhai nahe ate mujh se he kuch sawal poch lo:)
masha Allah :)
ek sath to interview :)

Q:acha db y batao k apko apni konsi adet s nafret h or konsi adet p fakher h?{(silly)}
acha sawal hai choti :)

Good Question..
Jee tu nafrat is adat se hai ke me apne frnds ko aksar hurt kar deta hun..
But fakar is adat par hai ke mujh me sb ki bohat care karta hun jo ke ek riste me chahe wo koi bhe ho use masboot banane aur dosre ke dil me respect bharhane ke ek eham role ada karte hai is adat ki wajah se me apne hurt kiye hue ya naraz frnd ya family mem ko mana leta hun..:)
acha jawab janab :)

ap khud hurt karte ho aur khud manate ho
umeed karte hain ye hurt karne wali aadat apse khatam hojaye
 
Dreamy Boy

Tm Lecturar
Banned
Oct 31, 2009
33,484
10,995
1,313
Pakistan

masha Allah :)
ek sath to interview :)
acha sawal hai choti :)
acha jawab janab :)

ap khud hurt karte ho aur khud manate ho
umeed karte hain ye hurt karne wali aadat apse khatam hojaye
thanks bro inshallah ab sabaq mil gaya hai mujhe ab ye adat khatam he samjhe bro...
 
Dreamy Boy

Tm Lecturar
Banned
Oct 31, 2009
33,484
10,995
1,313
Pakistan
Bro ap se ek question ke ek he ghalti agr koi baar duhraye aur phr har bar maafi bhe mangle tu kya use maaf karna chahiye?
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Bro ap se ek question ke ek he ghalti agr koi baar duhraye aur phr har bar maafi bhe mangle tu kya use maaf karna chahiye?
acha sawal hai

insani fitrat k hisab se dil to gawara nahi karega maaf karen

lekin ab usse rishta aur wo dusre mamlon me kitna muqlish hai wo dekhna padega
aur jo wo galti baar baar dohra raha hai aur phir maafi mang raha hai to kya maafi mangte waqt wo sacha hai muqlis hai agar hai to phir samne wala kis nazaria ka hai wo dekhna hoga agar ham hain to shayad maaf karden aur uska ajar ki umeed Allah se rakhen..

lekin agar wo galti shadeed ho sharmnak ho to shayad hi koi maaf karpaye

ek baat jo haq hai agar baat maa bete ke rishte ki hai to chahe jitni bhi galtian karle maa bache ko maaf kardeti hai

aur hamara khaliq hamara mabood jo 70 maon se zyada hamse mohabbat karne wala hai usne to kaha hai mera banda agar zameen aur asmaan k musafe k barabar bhi gunah leke aaye to main maaf kardunga

subhan Allah :)
 
Subhan Allah
Bohat he acha jawab bro God bless u..
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Frndship me kya hona lazmi hai?
Dosti me sab se imp to trust hai ek dusre par bharosa
jab yaqeen hoga trust hoga to kabhi dono k beech burayi nahi aayegi

jaise kabhi aise hota hai k samne wala hamare khilaf baat kar raha hota hai lekin iske piche ek hikmat hoti hai agar dono k beech wo bharosa hai to us lamhat ko wo muskurate huye accept karta hai :)

aur dusri cheez jisse dosti me parhez karni chahiye wo jhoot hai....agar galti se kabhi jhoot bolden to usko zyada der tak chupaye na rakhen kahin aisa na hoke uski haqeeqat usko kahin aur se maloom ho to dil ko bahot takleef hoti hai aur dosti me daraar bhi
 
very well said bro...
 
Status
Not open for further replies.
Top