احمد ندیم قاسمی کی یاد میں

  • Work-from-home

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN



tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN





bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN



Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN



maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN





-------------------------------------------------


ek lamhe ko Thahar, maiN tujhe patthar laa duuN
maiN tere saamane ambaar lagaa duuN lekin
kaun se rang kaa patthar tere kaam aayegaa
surKh patthar jise dil kahatii hai bedil duniyaa
yaa vo patthraa’ii hu’ii aaNkh kaa niilaa patthar
jis meN sadiiyoN ke tahayyur ke paRe hoN Dore



-----------------------------



tujhe Kho kar bhii tujhe paauuN jahaaN tak dekhuuN
husn-e-yazdaaN se tujhe husn-e-butaaN tak dekhuuN


tuune yuuN dekhaa hai jaise kabhii dekhaa hii na thaa
maiN to dil meN tere qadmoN ke nishaaN tak dekhuuN



sirf is shauq meN puuchii haiN hazaaroN baateN
maiN teraa husn, tere husn-e-bayaaN tak dekhuuN



vaqt ne zehn meN dhundhlaa diye tere khadd-o-Khaal
yuuN to maiN TuuTte taaroN kaa dhuaaN tak dekhuuN


dil gayaa thaa to ye aaNkhen bhii ko’ii le jaataa
main faqat ek hii tasviir kahaan tak dekhuuN



ek haqiiqat sahii firdaus meN huuroN kaa vajuud
husn-e-insaan se nipat luuN to vahaan tak dekhuuN


 

shaann

Senior Member
Jul 2, 2009
564
142
43
KARACHI
Mujhe kal meraa ek saathii milaa

Mujhe kal meraa ek saathii milaa

Mujhe kal meraa ek saathii milaa
jis ne ye raaz kholaa
ke 'ab jazbaa-o-shauq kii vahashato.n ke zamaane gaye'

phir vo aahistaa-aahistaa chaaro.n taraf dekhataa
mujh se kahane lagaa

'ab bisaat-e-muhabbat lapeto
jahaa.n se bhii mil jaaye.n daulat - sameto
garz kuchh to tahaziib siikho'
 
Top