mannat magna

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalamoalaikum wr wb

muje 1 baat khasi ajeeb lgi to socha Yahan poch lon ta'k baki logo k zehan me b koi sawal ho to woh b poch len
main ne dekha hai aksr log boht ajeeb c mannatain mang lete hain,misal k tor par kuch log ye mannat b mante hain k agr un k han beta huva to woh use 1 saal tak mang k kapre pehnaye ge..jahalat huvi na..
kuch saal pehle ki bat hai 1 dafa hum skol se wapis aa rhe the or dekha k 1 urat humare aage ja rhi hai us ne jota nhi pehna,muje or meri dost ko khasa ajeeb lga hum ne jb ese hi apas me is k bare me baatain krne lge to us ne hum se kaha ye koi mazak uarne wali baat nhi main ne mannat mangi thi k Muharram k pehle ashre me jota nhi pehno gi..
ye kesi mannat huvi..
AP BATAEN K ISLAM ME MANNAT SE KYA MURAD HAI OR HUM KIS KISAM KI MANNAT MANG SAKTE HAIN, IS TARHA KI JAHALAT PE MABNI MANNTON KI ISLAM ME KYA EHSIYAT HAI?
 
  • Like
Reactions: Star24 and New Wolf

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
bohot hi acha sawal kiya hai apne anaya aur issi tarah ka sawal pehle ho chuka hai

mannat agar jayez ho aur Allah k liye mangi gayi ho to ye theek hai lekin mannat me najayez aur gair sharee chezen mangi hain to usko chordena aur tauba karna chahiye

jaise apne yahan zikr kiya k mang kar kapde pehnana bache ko ya bagair chappal k kuch din chalna phirna to ye khud ko nuqsan dene wali mannaten hain hame inse door rehna chahiye

وَمَا أَنفَقْتُم مِّن نَّفَقَةٍ أَوْ نَذَرْتُم مِّن نَّذْرٍ فَإِنَّ اللّهَ يَعْلَمُهُ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنصَارٍ

And whatever you spend for spendings (e.g., in Sadaqah - charity for Allah's Cause) or whatever vow you make, be sure Allah knows it all. And for the Zalimun (wrong-doers) there are no helpers.
( سورة البقرة , Al-Baqara, Chapter #2, Verse #270)

tum jitna kuch kharch karo yane khairat aur jo kuch nazar mano usse Allah tala bakhubi janta hai aur zalimon ka koi madadgaar nahi

Nazar ya mannat ka matlab hai k mera falan kaam hogaya falan ibtela se najat milgayi to main Allah ki rah me itna sadqa karunga, is nazar ka pura karna zaroori hai.

agar kisi nafarmani ya najayaz kaam ki nazar mani hai to uska pura karna zaroori nahi balke usse chor dena chahiye.

Nazar bhi Namaz Roze ki tarah ibadat hai, isliye Allah k siwa kisi aur ke naam ki nazar manna iski ibadat karna hai jo shirk hai, jaise k aaj kal mashoor khabron par nazar niyaz ka ye silsila aam hai

Allah tala is shirk se bachaye Aameen

يُوفُونَ بِالنَّذْرِ وَيَخَافُونَ يَوْماً كَانَ شَرُّهُ مُسْتَطِيراً

They (are those who) fulfil (their) vows, and they fear a Day whose evil will be wide-spreading.
( سورة الإنسان , Al-Insan, Chapter #76, Verse #7)

jo nazar puri karte hain aur is din se darte hain jiski burai charon taraf phail jane wali hai

yane sirf ek Allah ki ibadat o itaat karte hain, nazar bhi mante hain to sirf Allah k liye, aur phir usse pura bhi karte hain

isse maloom hua ke nazar ka pura karna bhi zaroori hai bashart k maasiat na ho

hadees me aata hai jiss shaqs ne nazar maani k wo Allah ki itaat karega wo uski itaat kare aur jisne maasiat ilaahi ki nazar maani hai to wo Allah ki nafarmani na kare yane usse pura na kare ( sahi bukhari kitab ul imaan baab un nazar fil itaat)

aur bhi aayat hain lekin ye do kaafi hain

apko in aayat se wazeh hogaya hoga k nazar jo jayez ho wo puri karni chahiye agar mane hain to agar nazar me apne aisa manga hai jo galat hai gair sharee hai to usse door rehna chahiye

mazeed wazahat k liye aap ye blog aur thread par bhi nazar dalen
http://www.tafrehmela.com/blogs/saviou/204-eid-mubarakh-next.html
http://www.tafrehmela.com/islamic-question-answer/137669-kunday-ki-mannat.html

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
New Wolf

TM Star
Jul 17, 2010
9,253
3,441
113
ye to biddat or gumraahi he sraasar.....allah akal de ayso ko...jo ayse kaam krte ya aysi zndgi jeete hain..
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
jazakAllah
bhai boht shukaria..ap ne jawab ko boht waziya tor pe bayan kia hai..
ap ne kaha k agr koi galat manat mang li ho to us se dor rehna chaheye to phr use taraq krne k badle me koi qufara b aada krna parta hai..???/

Allahi barik feek :)

nahi jab galat mannat hai hi nahi to iska kuffara bhi nahi
apko hamne upar ki post me do links diye hain aap usko bhi padhen
insha Allah aur wazeh hojayega
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ok..jazakAllah
inshAllah

Allahi barik feek :)

nahi jab galat mannat hai hi nahi to iska kuffara bhi nahi
apko hamne upar ki post me do links diye hain aap usko bhi padhen
insha Allah aur wazeh hojayega
 
Ayesharehman1

Newbie
Mar 18, 2023
1
0
1
Agr ksi ny manat mani ho
Unka baita bht bemar tha bachpan ma tw unho ny manat mani thi ky yh thk hojye isy hifz krwaogi
Lkn phr unky baity ny hifz kiya nahi
Bry ho ky phr unky baity ka koi km nahi hota sedha
Mtlb na shadi ho rhi , na koi km na kxh
Tw kea yh ho skta mxla mtlb yh chz uski zindagi ky agu aa skti ha.??
 
Top