‘religious’ Veena Arrives For Umrah

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada


Controversial Pakistani actress Veena Malik is in the Kingdom to perform Umrah.
She has arrived in Makkah along with her husband Asad Bashir, sources who met the couple have confirmed to Arab News.
Earlier, Malik tweeted: “By the grace of Allah Almighty I and my husband (are) leaving for Umrah and I am extremely overwhelmed and thankful to Allah Almighty.” She also apologized through a video message for her previous actions and words that might have hurt anyone.
Her journey to the Holy City has grabbed the attention of Pakistani media. Known for controversies and obscene videos and photos, Malik has acted in some Indian and Pakistani films.
In a recent interview, she had said: “I am a religious woman; my religion is none of other’s concern, it’s between me and Allah and I will go for Umrah soon.” She also committed to leave Indian movies and said she would not accept vulgar roles in movies.
Malik also promised to cover her head as per the teachings of Islam.
She married Pakistani businessman Bashir in Dubai recently.




@[USERGROUP=109]Tag_TM[/USERGROUP]
 
Last edited:

Zia_Hayderi

TM Star
Mar 30, 2007
2,468
1,028
1,213


Controversial Pakistani actress Veena Malik is in the Kingdom to perform Umrah.
She has arrived in Makkah along with her husband Asad Bashir, sources who met the couple have confirmed to Arab News.
Earlier, Malik tweeted: “By the grace of Allah Almighty I and my husband (are) leaving for Umrah and I am extremely overwhelmed and thankful to Allah Almighty.” She also apologized through a video message for her previous actions and words that might have hurt anyone.
Her journey to the Holy City has grabbed the attention of Pakistani media. Known for controversies and obscene videos and photos, Malik has acted in some Indian and Pakistani films.
In a recent interview, she had said: “I am a religious woman; my religion is none of other’s concern, it’s between me and Allah and I will go for Umrah soon.” She also committed to leave Indian movies and said she would not accept vulgar roles in movies.
Malik also promised to cover her head as per the teachings of Islam.
She married Pakistani businessman Bashir in Dubai recently.




@[USERGROUP=109]Tag_TM[/USERGROUP]
کون کب بھٹک جائے یا کوئی بھٹکا ہوا راہ راست پر آجائے- اللہ بہتر جانتا ہے- ہماری دعا کہ اللہ وینا ملک کو بھی ہدایت پر مستحکم کردے- آمین
 

MuftiSaeed

Regular Member
Dec 26, 2013
124
86
528
New York, New York
Assalaam O Alaikum,

Praise Be To Allah

Tanqeed or tanz yeh taunt yaan pointing kerna, backbitingyeh sab ghalat hai. Is se hidaayat nahin milti, hidayat Allah deta hai ikhlaq aur pyar se. Jab non-Muslims se Dawah kiyya jaata hai, yeh nahin kaha tha, Christians, haram kerte hein, yaan fahashi kerte hein, yaan saare haram kerte hein.

Yeh nahin kaha jata, k yeh mat karo tum jahannum mein jaao ge aur muslman jannat mein jaaye ga. Yeh koi Dawat nahin hai. Dawat hai Allah ki greatous batana, is ki rehmat ke baare mein batana, Allah se link peda kerna.

Sab jaante hein, jab Prophet ki army wapis Makkah aaye, to sab ne kaha ab yeh saare makkah ke kaafir ko maar den ge. Prophet ne poocha, jaante ho main tumhare sath kya kerne wala hoon. Phir unhon ne kaha, jaao main tum sab ko maaf kerta hoon. Kon hai aaj kal itna himmat wala, jo rishtadaar ke qatal hone ke bawajood bhi unhon ne maaf kerdiya. Aur ussi wakt sab se Islam kabool kerdiya, k yeh kesa ikhlaq hai, hum ne bura kiya aur phir bhi maaf kerdiya.

Aaj kal halka sa koi kuch bol de, to shaitan us baat ko dil se nikalne nahin deta. Hidaayat, ikhlaq aur maaf kerne se milti hai naake ke tanz aur baatenbatane se. Kisi per ungli uthaane se pehle insaan khud soche, "kya main theek hoon".

Hum khud theek nahin hote, lekin doosron per ungli uthaate hein aur un ki burayeee uchaalte hein. Hidaayat us ko milti hai jis ke naseeb mein hoti hai. Jab insaan ek kadam Allah ki terf uthata hai Allah us di lmein aur muhabbat daalta hai Islam keliye.

Pakistan ke ese molvi, scholars aur mufti aur aaledeen hein. Jinho ne Pakistan kko berbaad kerdiya, pyar ki bajaaye nafraten peda kerdi hein. Yeh bhi fatawa diya jaata hai. k ese logon se salam mat karo, yeh ese hein wese hein. Aur logo ese maulana ki baat ko maan lete hein aur dilon mein nafrat peda kerte hein.

Ek ghair Muslman ko bhi Masjid mein bulaya jaata hai, acha izzat aur ikhlaq diya jaata hai taake us ke dil mein Allah Islam ka shok peda kare. Pakistan ke mashallah ese aalim aur maulana hein, wo fatawa dete hein ese log masjid mein nahin aane dete k yeh napak hein. Jab Prophet ne masjid nabawi banayee thi, saare matters wahin handle kerte the. Saamne waale ke dil mein yeh baat aayegi, yeh kesa madhhab hai, yeh nafrat kerta hai hum se. Kya wo islam kabool kare ga? balke doosron ko bhi ja ker mana kare ga. Aur in sab ka gunaah ek insaan ki waja se hoga. us ki budikhlaqi aur nafrat ki waja se koi islam kabool nahin ker raha.

Yeh sirf ikhlaq hai jo saamne wala islam kabool kerta hai. Aaj USA mein Dawah ka kaam her city aur state aur her jaga horaha hai aur masjiden jagga jagga bherti ja rahi hein. world's fastest growing religion hai. Waja ikhlaq aur education, Pakistan mein islam khatam horaha hai aur america mein alhamdulilalh bherraha hai.

Haadith mein hai. Jab Muslman Quran aur Sunnah se door hoga, Allah un per doosre komen le aaye ga. Pakistan mein leaders hein paksitan walo ko punish kerne keliye. aur Mashallah jitne foreigners hein wo behter muslman ban rahe hein. Kyonke born Muslim aur convert mein fark hota hai.

Born muslim ratta maar ker quran aur hadith yaad kerta hai, lekin convert, islam ko perta hai seekhta hai aur samjhta hai. American mein jitne white convert hein mashllah sab Dawah ka kaam mein lage gaye. Lekin pakistan mein aaj bhi fitnah khatam nahin ho raha.

Ek naachne waaliko bhi payr karo, sharab peene waale ko bhi pyar karo, bhikaari se bhi pyar karo, Kaatil se bhi pyar karo, sirf ikhlaq aur pyar, yehi hidaayat ka zreeya banta hai. Allah ne ek hidaayat ka wakt rakha hota hai. Jitna insaan ungli uthaata hai utna wo islam se bhaagta hai.

Jitne log ungli uthaate hein kisi ki burayeee per, pehle khud ke girebaan mein dekho aur khud ke gharon mein dekho kya kitne percent sunnah wali zindgi hai. her gher mein TV shows. Sab se pehle khud kelye hidayaat maangni chaahiye, bin maange nahin milti.

Hum ne kisi ke gunah ka theka nahin liya hua, Allah chaahe duniya ke sab se barre gunahgaar ko jannat de de aur sab se naik insana ko dozahk mein daal de, sirf Ek Allah hi ko haqq ka aur us ka fesla ghalat nahin.

Ek Kissa hai, ek baar prophet Isa apne companions ke saath jaa rahe the, pahar ke kareeb se guzre, kisi gunagaar ki nazar per prophet Isa ke chehra ke noor per pari. Us ne socha main bhi bhi saath hojata hoon shaed mere gunaah maaf hoojaayen. Ek sahaba ki nazar piche saath pari to wo gunagaar insaan saath tha. Us sahaba ne teda moon banaya yaan ghin jese baat ki kuch esa, yeh soch ker k main prophet Isa ka sahabi aur yeh gunagaar hamare saath kyon hai. (jese ghin aayee ho gandgi dekh ker). Allah Jibril ko bhejte hein Isa ke paas message bhej ker. Isa, aap ke piche do log hein, ek aap ka sahaba aur ek gunagaar, us ko gungaar ko khushkhabri suna do, main us ke saare pichle gunaah maaf kerdiya ab nayee zaindgi shroo karo, aur apne sahaba se kaha tumhare saare naiki khatam hogayee, aaj se naye amaal shroo karo.

Yeh bohat aam hai aaj kal, hum anjaane mein baghauir soch ke kisi na kisi ko moon banate hein aur hun hun kerte hein naak aur moon cherhaate hein, yeh bhi nahin pata hota, k jitni baar kerte hein hamare amaal zero hote jaate hein aur naye amaal shroo kerte hein. Ek Joke hai, ab Jibril ko zameen per rehan pare ga her kisi ko batane keliye yeh sab itna aam hai yeh.

Kerne se pehle bachen aur apne gunaah yaad karen khud ke gunaah yaad karen ge to nazren niche rahen gi aur Allah ka der hoga.

Yaad rakhiye Allah her gunnah maaf kerne per kadir hai

Quran 39:53

قُلۡ يَـٰعِبَادِىَ ٱلَّذِينَ أَسۡرَفُواْ عَلَىٰٓ أَنفُسِهِمۡ لَا تَقۡنَطُواْ مِن رَّحۡمَةِ ٱللَّهِ‌ۚ إِنَّ ٱللَّهَ يَغۡفِرُ ٱلذُّنُوبَ جَمِيعًا‌ۚ إِنَّهُ ۥ هُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلرَّحِيمُ (٥٣)

کہہ دو اے میرے بندو جنہوں نے اپنی جانوں پر ظلم کیا ہے الله کی رحمت سے مایوس نہ ہو بے شک الله سب گناہ بخش دے گا بے شک وہ بخشنے والا رحم والا ہے (۵۳)

Kitne bhi bara gunah ho aasman tak, phir bhi Allah se sach dil se maafi kabool hoti hai aur baar baar hoti hai. Sirf mayoosi kufr hai aur kufr ka thikana jahannum hai.



And Allah Knows Best

Saeed
IRFNY.com
 
Status
Not open for further replies.
Top