…:::kabhi phir rooth jaoon to:::…

  • Work-from-home

kingofheart

Newbie
Sep 15, 2009
75
63
0
kabhi phir rooth jaoon to …
mujhay phir se mana laina,
kabhi jo azmaoon to …
na khud ko tum gira daina,

mujhay majboor kertay ho
aur khud se door kertay ho
kabhi jo door jaoon to …
na phir mujh ko saza daina,

magar haan yeah tumhain huq hai
tumhain poori hai azadi
kabhi dil ko ddukhaoon to …
mujhay dil se bhula daina,

sang beetay jo lamhay thay
agar ankhoon main bas aien
aur her pal yaad aoon to …
bas chand ansoo baha laina,

kabhi phir rooth jaoon to …
mujhay phir se mana laina,
kabhi jo azmaoon to …
na khud ko tum gira daina,{(baby2})
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top