A Collection of "Kaifi Azmi" Poetry

  • Work-from-home

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
Kaifi Azmi کیفی اعظمی; January 14, 1919 - May 10, 2002) was an Indian Urdu poet. He is considered to be one of the greatest Urdu poets of 20th century. Together with Pirzada Qasim, Jon Eliya and many others he participated in many memorable mushairas of 20th century.

Kaifi Azmi was born in a village Mizwaa(n) phoolpur, in Azamgarh, Uttar Pradesh, India.
Kaifi Azmi is married to Shaukhat Azmi. They have a daughter, Shabana Azmi (An Indian Actress of film, television and theatre) and Baba Azmi (Indian Cinematographer).

At age eleven, Azmi wrote his first ghazal Itna To Zindagi Mein Kisi Ki Khalal Pade and somehow managed to get himself invited to a mushaira and over there, he recited a ghazal, rather a couplet of the ghazal which was very much appreciated by the president of the mushaira, Mani Jaisi, but most of the people, including his father, thought he recited his elder brother's ghazal. When his elder brother denied it, his father and his clerk decided to test his poetic talent. They gave him one of the lines of a couplet and asked him to write a ghazal in the same meter and rhyme. Azmi accepted the challenge and completed a ghazal. This particular ghazal was to become a rage in undivided India and it was immortalized as it was sung by legendary ghazal singer, Begum Akhtar.
Azmi abandoned his studies of Persian and Urdu during the Quit India agitations in 1942 and shortly thereafter became a full time Marxist when he accepted membership of the Communist Party of India in 1943.
During this period, the leading progressive writers of Lucknow noticed him. They were very impressed by his leadership qualities. They also saw in him a budding poet and extended all possible encouragement towards him. Consequently, Azmi started to win great acclaim as a poet and became a member of Progressive Writers' Movement of India.
At the age of twenty-four, he started activities in the textile mill areas of Kanpur. As a full time worker, he left his life of comfort, though he was the son of a zamindar. He was asked to shift his base to Bombay, work amongst the workers and start party work with a lot of zeal and enthusiasm and at the same time would attend mushairas in different parts of India. In Bombay, he joined Ali Sardar Jafri in writing for the party’s paper, Qaumi Jung.
In 1947, he visited Hyderabad to participate in a mushaira. There he met, fell in love with and married a woman named Shaukat Azmi. She later became a renowned actress in theatre and films. They had two children together, Shabana Azmi (b. 1950), a renowned actress of Indian cinema and Baba Azmi, a noted cameraman.[DOUBLEPOST=1341853457][/DOUBLEPOST]
aavaaraa sajde
ik yahii soz-e-nihaa.N kul meraa sarmaayaa hai
dosto mai.n kise ye soz-e-nihaa.N nazr karuu.N
ko_ii qaatil sar-e-maqtal nazar aataa hii nahii.n
kis ko dil nazr karuu.N aur kise jaa.N nazr karuu.N?
tum bhii mahaboob mere tum bhii ho dil_daar mere
aashnaa mujh se magar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n
Khatm hai tum pe masiihaa_nafasii chaaraagarii
meharam-e-dard-e-jigar tum bhii nahii.n tum bhii nahii.n
apanii laash aap uThaanaa ko_ii aasaan nahii.n
dast-o-baazuu mere naakaaraa hue jaate hai.n
jin se har daur me.n chamakii hai tumhaarii dahaliiz
aaj sajde vohii aavaaraa hue jaate hai.N
duur manzil thii magar aisii bhii kuchh duur na thii
leke phiratii rahii raste hii me.n vahashat mujh ko
ek zaKhm aisaa na khaayaa ke bahaar aa jaatii
daar tak leke gayaa shauq-e-shahaadat mujh ko
raah me.n TuuT gaye paa.Nv to maaluum huaa
juz mere aur meraa rah_numaa ko_ii nahii.n
ek ke baad Khudaa ek chalaa aataa thaa
kah diyaa aql ne tang aake 'Khudaa ko_ii nahii.n'

[DOUBLEPOST=1341853516][/DOUBLEPOST]
andeshe
ruuh bechain hai ik dil kii aziiyat kyaa hai
dil hii sholaa hai to ye soz-e-mohabbat kyaa hai
vo mujhe bhuul ga_ii iskii shikaayat kyaa hai
ranj to ye hai ke ro-roke bhulaayaa hogaa
vo kahaa.N aur kahaa.N kaahif-e-Gam sozish-e-jaa.N
us kii rangiin nazar aur nuquush-e-hirmaa.N
us kaa ehsaas-e-latiif aur shikast-e-armaa.N
taanaazan ek zamaanaa nazar aayaa hogaa
jhuk ga_ii hogii javaa.N-saal umango.n kii jabii.n
miT ga_ii hogii lalak Duub gayaa hogaa yaqii.n
chhaa gayaa hogaa dhuaa.N ghuum ga_ii hogii zamii.n
apane pahale hii gharonde ko jo Dhaayaa hogaa
dil ne aise bhii kuchh afsaane sunaaye ho.Nge
ashk aa.Nkho.n ne piye aur na bahaaye ho.Nge
band kamare me.n jo Khat mere jalaaye ho.Nge
ek-ik harf jabii.n par ubhar aayaa hogaa
us ne ghabaraake nazar laakh bachaa_ii hogii
miTake ik naqsh ne sau shaql dikhaa_ii hogii
mez se jab merii tasviir haTaa_ii hogii
har taraf mujh ko ta.Daptaa huaa paayaa hogaa
bemahal chhe.D pe jazbaat ubal aaye ho.Nge
Gam pashemaan tabassum me.n Dhal aaye ho.Nge
naam par mere jab aa.Nsuu nikal aaye ho.Nge
sar na kaa.Ndhe se sahalii ke uThaayaa hogaa
zulf zid kar ke kisii ne jo banaa_ii hogii
ruuThw jalvo.N pe Khizaa.N aur bhii chhaa_ii hogii
barq ashvo.N ne ka_ii din na giraa_ii hogii
rang chehare pe ka_ii roz na aayaa hogaa
hoke majabuur mujhe us ne bhulaayaa hogaa
zahar chup kar ke davaa jaan ke Khaayaa hogaa
[DOUBLEPOST=1341853584][/DOUBLEPOST]​
ab tum aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aayaa na karo
ab tum aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aayaa na karo
mujh se bikhare huye gesuu nahii.n dekhe jaate
surKh aa.Nkho.n kii qasam kaa.Npatii palako.n kii qasam
thar-tharaate huye aa.Nsuu nahii.n dekhe jaate
ab tum aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aayaa na karo
chhuuT jaane do jo daaman-e-vafaa chhuuT gayaa
kyuu.N ye laGaziidaa Kharaamii ye pashemaa.N nazarii
tum ne to.Daa nahii.n rishtaa-e-dil TuuT gayaa
ab tum aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aayaa na karo
merii aaho.n se ye ruKhsaar na kumalaa jaaye.n
Dhuu.NDatii hogii tumhe.n ras me.n nahaa_ii hu_ii raat
jaao kaliyaa.N na kahii.n sej kii murjhaa jaaye.n
ab tum aaGosh-e-tasavvur me.n bhii aayaa na karo
mai.n is uja.De huye pahaluu me.n biThaa luu.N na kahii.n
lab-e-shiirii.n kaa namak aariz-e-namakii.n kii miThaas
apane tarase huye ho.nTho.n me.n churaa luu.N na kahii.n
[DOUBLEPOST=1341853707][/DOUBLEPOST]
azaa me.n bahate the aa.Nsuu yahaa.N, lahuu to nahii.n
ye ko_ii aur jagah hai ye lakhanauu to nahii.n
yahaa.N to chalatii hai.n chhuriyaa zubaa.N se pahale
ye miir aniis kii, aatish kii guftaguu to nahii.n
chamak rahaa hai jo daaman pe dono.n firaqo.n ke
baGaur dekho ye isalaam kaa lahuu to nahii.n
[DOUBLEPOST=1341853784][/DOUBLEPOST]
bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
bas ik jhijhak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aayegaa is fasaane me.n
baras pa.Dii thii jo ruKh se naqaab uThaane me.n
vo chaa.Ndanii hai abhii tak mere Gariib-Khaane me.n
isii me.n ishq kii qismat badal bhii sakatii thii
jo vaqt biit gayaa mujh ko aazamaane me.n
ye kah ke TuuT pa.Daa shaaKh-e-gul se aaKhirii phuul
ab aur der hai kitanii bahaar aane me.n
[DOUBLEPOST=1341853880][/DOUBLEPOST]
daayaraa
roz ba.Dhataa huu.N jahaa.N se aage
phir vahii.n lauT ke aa jaataa huu.N
baarahaa to.D chukaa huu.N jin ko
i.nhii.n diivaaro.n se Takaraataa huu.N
roz basate hai.n ka_ii shahar naye
roz dharatii me.n samaa jaate hai.n
zal-zalo.n me.n thii zaraa sii girah
vo bhii ab roz hii aa jaate hai.n
jism se ruuh talak ret hii ret
na kahii.n dhuup na saayaa na saraab
kitane aramaa.N hai kis seharaa me.n
kaun rakhataa hai mazaaro.n kaa hisaab
nafz bujhatii bhii bha.Dakatii bhii hai
dil kaa maamuul hai ghabaraanaa bhii
raat a.Ndhere ne a.Ndhere se kahaa
ik aadat hai jiye jaanaa bhii
qaus ek rang kii hotii hai tuluu'a
ek hii chaal bhii paimaanaa bhii
goshe goshe me.n kha.Dii hai masjid
mushkil kyaa ho ga_ii mayaKhaane kii
ko_ii kahataa thaa sama.ndar huu.N mai.n
aur merii jeb me.n qataraa bhii nahii.n
Khairiyat apanii likhaa karataa huu.N
ab to taqadiir me.n Khataraa bhii nahii.n
apane haatho.n ko pa.Dhaa karataa huu.N
kabhii quraan kabhii giitaa kii tarah
cha.nd rekhaao.n me.n samaauu.N mai.n
zindagii qaid hai siitaa kii tarah
raam kab lauTe.nge maaluum nahii.n
kaash raavan hii ko_ii aa jaataa
[DOUBLEPOST=1341854382][/DOUBLEPOST]
ek duaa
ab aur kyaa teraa biimaar baap degaa tujhe
bas ek duaa ki Khudaa tujhako kaamayaab kare
vo Taa.Nk de tere aa.Nchal me.n chaa.Nd aur taare
tuu apane vaaste jis ko bhii intaKhaab kare
On the birth of his daughter Shabana
 
  • Like
Reactions: Rubi

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
ahan nyc collection :-bd
4th wali zbrdst hy :-bd
Thankooo 2000 characters ke baad posting nahi kar sakte na isliye kaha u ko ki koi post karo yaha..:)[DOUBLEPOST=1341855186][/DOUBLEPOST]
itanaa to zindagiii me.n kisii kii Khalal pa.De
ha.Nsane se ho sukuun naa rone se kal pa.De
jis tarah ha.Ns rahaa huu.N mai.n pii-pii ke ashk-e-Gam
yuu.N duusaraa ha.Nse to kalejaa nikal pa.De
ek tum ke tum ko fikr-e-nasheb-o-faraaz hai
ek ham ke chal pa.De to baharahaal chal pa.De
muddat ke baad us ne jo kii lutf kii nigaah
jii Khush to ho gayaa magar aa.Nsuu nikal pa.De
saaqii sabhii ko hai Gam-e-tashnaalabii magar
may hai usii ke naam pe jis ke ubal pa.De
 
  • Like
Reactions: Rubi

Wasif Safi

!!pRaISe D CReAtOr!!
Banned
Oct 1, 2009
14,987
4,810
513
Hyderabad, India
jhukii jhukii sii nazar beqaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n
tuu apane dil kii javaa.N dha.Dakano.n ko gin ke bataa
merii tarah teraa dil beqaraar hai ki nahii.n
vo pal ke jis me.n muhabbat javaan hotii hai
us ek pal kaa tujhe i.ntazaar hai ki nahii.n
terii ummiid pe Thukaraa rahaa huu.N duniyaa ko
tujhe bhii apane pe ye aitabaar hai ki nahii.n
[DOUBLEPOST=1341855760][/DOUBLEPOST]
koii ye kaise bataa ye ke vo tanhaa kyo.n hai.n
vo jo apanaa thaa vohii aur kisii kaa kyo.n hai.n
yahii duniyaa hai to phir aisii ye duniyaa kyo.n hai.n
yahii hotaa hai.n to aakhir yahii hotaa kyo.n hai.n
ek zaraa haath ba.Dhaa, de to paka.Dale daaman
usake siine me.n samaa jaaye hamaarii dha.Dakan
itanii qurbat hai.n to phir faasalaa itanaa kyo.n hai.n
dil-e-barabaad se nikalaa nahii.n ab tak koii
ek luTe ghar pe diyaa karataa hai.n dastak koii
aas jo TuuT gayii phir se ba.ndhaataa kyo.n hai.n
tum masarrat kaa kaho yaa ise Gam kaa rishtaa
kahate hai.n pyaar kaa rishtaa hai.n janam kaa rishtaa
hai.n janam kaa jo ye rishtaa to badalataa kyo.n hai.n
[DOUBLEPOST=1341855828][/DOUBLEPOST]
mai.n Dhuu.NDhataa huu.N jise vo jahaa.N nahii.n milataa
na_ii zamii.n nayaa aasamaa.N nahii.n milataa
na_ii zamii.n nayaa aasamaa.N bhii mil jaaye
naye bashar kaa kahii.n kuchh nishaa.N nahii.n milataa
vo teG mil ga_ii jis se huaa hai qatl meraa
kisii ke haath kaa us par nishaa.N nahii.n milataa
vo meraa gaa.Nv hai vo mere gaa.Nv ke chuulhe
ki jin me.n shole to shole dhuaa.N nahii.n milataa
jo ik Khudaa nahii.n milataa to itanaa maatam kyuu.N
yahaa.N to ko_ii meraa hamazabaa.N nahii.n milataa
kha.Daa huu.N kab se mai.n cheharo.n ke ek ja.ngal me.n
tumhaare chehare kaa kuchh bhii yahaa.N nahii.n milataa
[DOUBLEPOST=1341855981][/DOUBLEPOST]
aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai
aaj kii raat na fut-paath pe niind aa_egii
sab uTho, mai.n bii uThuu.N, tum bhii uTho, tum bhii uTho
ko_ii khi.Dakii isii diivaar me.n khul jaa_egii
ye zamiin tab bhii nigal lene pe aamaadaa thii
paa.Nv jab TuuTii shaaKho.n se utaare ham ne
in makaano.n ko Khabar hai na makiino.n ko Khabar
un dino.n kii jo gufaao.n me.n guzaare ham ne
haath Dhalate gaye saa.Nche me.n to thakate kaise
naqsh ke baad naye naqsh nikhaare ham ne
kii ye diivaar buland, aur buland, aur buland
baam-o-dar aur zaraa, aur sa.Nvaare ham ne
aa.Ndhiyaa.N to.D liyaa karatii thii.n shamo.n kii lau_e.n
ja.D diye is liye bijalii ke sitaare ham ne
ban gayaa qasr to pahare pe ko_ii baiTh gayaa
so rahe Khaak pe ham shorish-e-taamiir liye
apanii nas-nas me.n liye mehanat-e-paiham kii thakan
band aa.Nkho.n me.n isii qasr kii tasviir liye
din phighalataa hai isii tarah saro.n par ab tak
raat aa.Nkho.n me.n KhaTakatii hai syaah tiir liye
aaj kii raat bahut garm havaa chalatii hai
aaj kii raat na fut-paath pe niind aayegii
sab uTho mai.n bii uThuu.N tum bhii uTho tum bhii uTho
ko_ii khi.Dakii isii diivaar me.n khul jaayegii
 
  • Like
Reactions: Rubi
Top