Aakhri baar marne se pehle!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Aakhri baar marne se pehle insan thora thora marta hay!
Insan khudkushi kio karta hay? ye jan'ne k liye marne k asbab-o-muharkaat ko samjhna zaruri hay,aapko un halaat ki taraf jana parega jab umeedain dam torti hain,raaste masdud ho jaate hain dimagh may haijan bapa hota hay.sochne samajhne aur natayij ka idrak nhi rehta! aik shafeeq maan apne bachon samait train k neeche kat kar mar jaati hay..Baap aankhon ki thandak aur apne dil ki dharkan apni phool jesi beti ko na chahtey huye bhi tol kar baich daita hay,,usse maloom hay k is alam naak waqea k baad samaj may izzat se rehne k tmam asbab bahane khatam ho chukkey hon gaye,,"Aakhri baar marne se pehle insan thora thora marta hay"!
lakin maan apne lakht-e-jigar ko bhook se tarapta hua nhi daikh sakti wo bachon ka gala ghoontne may nakam rehti hay to bachon k galley may bray-e-farokht(for sale) ka board latka kar bazaar may aa jaati hay,,, phir khud tamashayi ki kefiyat se nabardaazma hoti hay,, "aakhri baar marne se pehle Insan thora thora marta hay"
WO Hawadis k jo zamane ko hila daite hain
Bhook aur Bhook ki shiddat k Siwa kuch bhi nhi
ye wo marhala hay jahan lafz khoon ugalte hain maani bejaan ho jaate hain,,Falsfa tarapne lagta hay,marne se pehle kayi baar umaaedain Angrayi ley kar kisi maseeha ko pukarti hain,,Kisi Moujzey ka shiddat se intazar rehta hay,,Aas Mayusi ka chaula pehan ley to Rooh Wajud se Aazad hone k liye beqrar ho uthti hay,,Natayj ki parwah kiye baghair Insan Aakhri safar ki Janib nikal parta hay!
Waqt Karta hay Parwarish Barson
Haadsa Aik dam nhi hota!
 

Humrahi

Active Member
Jun 18, 2012
291
243
743
!!India!!
nahi likha to koi baat nahi lekin awaam ko jagane ki koshish bohot achi kar rahi hai aap!!
ALLAH aapki madad farmaen:)
 
  • Like
Reactions: hoorain

zaryaab

Aching for peace
TM Star
Apr 12, 2013
3,590
1,362
263
ye wo marhala hay jahan lafz khoon ugalte hain maani bejaan ho jaate hain,,Falsfa tarapne lagta hay,marne se pehle kayi baar umaaedain Angrayi ley kar kisi maseeha ko pukarti hain,,Kisi Moujzey ka shiddat se intazar rehta hay,,Aas Mayusi ka chaula pehan ley to Rooh Wajud se Aazad hone k liye beqrar ho uthti hay,,Natayj ki parwah kiye baghair Insan Aakhri safar ki Janib nikal parta hay!
kyaaa lekhaa hai yaar !! is situation ko jis tarah bayaan kiya hai is writer ne shaayad marnai waala khud bhi bayaana na karai ..superb ..


Insan khudkushi kio karta hay? ye jan'ne k liye marne k asbab-o-muharkaat ko samjhna zaruri hay,aapko un halaat ki taraf jana parega jab umeedain dam torti hain,raaste masdud ho jaate hain dimagh may haijan bapa hota hay.sochne samajhne aur natayij ka idrak nhi rehta!
bilkul khudkushi karnai waalai insaan k un haalaat pai ghor karna chaheyai usai samjhna chaheyai ..aur solve karnai chaheyai ..ALLAH har is jaisai har khudkushi karnai waalo ko baksh dai ..QK khudkushi kartai wo pagalpan k stage pai phonch jaatai hai ..aur pagal pai koye kaffara ya gunah nahi ..isi baat ko bahaana bana kar ALLAH inhai bakhsh dai ..

Waqt Karta hay Parwarish BarsonHaadsa Aik dam nhi hota!
i was thinking to write this shair in comment ..


bus only solution z islam pai pori tarah amal karna ..
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
nice post @zaryaab bro aise log kam hote hain jo itna deeply kisi chez ko parh k itni hasasiyat se kisi situation pe apni raye ka izhaar kar sakkain, u r one of them!!
 
  • Like
Reactions: zaryaab

zaryaab

Aching for peace
TM Star
Apr 12, 2013
3,590
1,362
263
nice post @zaryaab bro aise log kam hote hain jo itna deeply kisi chez ko parh k itni hasasiyat se kisi situation pe apni raye ka izhaar kar sakkain, u r one of them!!
agar mai diary lekhta to is comment ko paste karta waha pai .. :)
 
  • Like
Reactions: Hoorain
Top