Aaway Samoom Jaye Saba Bagh Say Sada

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aata hai Dil mein haal e bad apna bhala kahon
Phir aap hi aap sonch kay kehta hon kia kahon

Parwana phir na Shama ki khatir jala karay
Gar bazm mein yeh apna tara majra kahon

Mat kar kharam sar peh utha lay ga khalq ko
Baitha agar gali mein tera naqsh e pa kahon

Dil aur dedah bais iza o noor e ain
Kis kay tain bura kaho kis ko bhala kahon

Aaway samoom jaye saba bagh say sada
Gar shama apnay soz e jigar ka mein ja kahon

Jata hon meer dasht e janon ko mein ab yeh keh
Majnon kaheen milay to teri bhi dua kahon


*********************
 
Top