ajal aa k kehti hay Khamosh Khamosh!(majeed Amjad)

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
mein shaa'ir hun meri jamaaleen nigah mein,
zara bhi nahi ferq zarray mein maah mein,
jahan aik tinka sa hai meri rah mein,

mein seenay mein daaghon k deepak jalaye,
mein ashkon k taaron ka barbat uthaye,
khayalon mein naghmon ki duniya basaye,

rah e zeest per be'khatar ja raha hun,
kahan ja raha hun ' kidher ja raha hun,
nahi janta hun ' mger ja raha hun.

ye dunya ye be'rabt si aik zanjeer,
ye dunya ye ik naa'mukammal si tasveer,
ye dunya nahi meray khawbon ki taabeer,

mein jab sochta hun k insaan ka anjaam,
hai matti k ik ghar ki aaghosh aaram,
tou seenay mein uthta hai ik dard e be'naam,

mein jab dekhta hun k ye bazm e faani,
gham e jaavdaani ki hai ik kahani,
tou cheekh uthti hai meri baaghi javaani,

ye mehlon,ye takhton,ye taajon ki dunya,
gunaahon mein lathrray rawaajon ki dunya,
muhabbat k dushman samajon ki dunya,

mger haye zaalim zamanay ki rasmen,
hain karrwahten jin ki amrat k rass mein,
nahi meray bass mein,nahi meray bass mein,

joonhi chahti hai meri rooh madhosh,
k laaye zara lab pe faryaad pur josh,
ajal aa k kehti hai KHAMOSH KHAMOSH
 
Top