Chalo hum farz kartay hain
kay har dil main muhabbat hai
kaheen jaghray nahi hotay
na barish dukh ki hoti hai
na aandhi gham ki chalti hai
na nafrat phaans banti hai
hain sabhi chehron pe muskanain
kaheen jaghray nahi hotay
~ ~ ~
~ ~ ~
magar hum farz kiyun kar lain
yakeen mujh ko batata hai
hakeekat to hakeekat hai
main sab kuch jaan sakta hoon
na suraj shab main chamkay ga
na din main chand niklay ga
khizan main gul nahi khiltay
ye nafrat mar nahi sakti
na gham khushiyon say bahtar hain
na duniya tum say bahtar hai
hai duniya ki hakeekat kia
fakat aik tum hi achay ho
jahano say zamano say
maknoon la maknoon say
ye sab kuch hai wohi jo
isi duniya main hota hai
to phir hum farz kiyun kar lain
fakat ik tum hi achay ho