Coffee With REDROSE- Aara'af

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
taubaaaaaaaaaaaaaa{(confuse)} in sawalon ka jawab dete dete tou poora article ban jaye ga:p
ye coffee free me nhi pilai..coffee pi hai na uncle ne..ab itne se jawabat to dene paren ge.{(popcorn)}
 

-Mahi-

TM Star
Sep 1, 2011
3,833
1,147
413
Ok My Q is

1.tell me about falsfa of life


2. tell me about sadness of life


3. tell me about happiness of life

 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
[GLOW=red]Coffee With RR

Part 4



CHOOSE BEST ONE

[/GLOW]






31. Admin aur co admin dono zaroori hain... hamara rabta dono se barabar raha hai dono isliye zaroori ek agar na rahe to dusra is masle ko dekhe abhi thore dino se admin nahi aarahe hain shayad kuch wajhe hogi lekin masha Allah co-admin roz nazar aate hain aur kaafi ahem masail par un comments padh kar acha lagta hai.

32 . nelli anaaya aur sabah kyunke nelli sis khush mizaj insan hain wo tm par acchi masti karleti hain.aur unke saath posting karne ka maza aata hai.aur anaaya k comments acche hote hain wo ek suljhi hui larki hai.aur thodi si funny bhi.aur sabah k thrds aur comment bahot bahetreen hotey hain isse tm k har members ko kuch seekhne ko milta hai.

33 . tariq sayeed sahab aur sajid bhai kyunke sajid bhai se main milchuka hon aur tariq se meri baat hui hai.isliye ye dono helpness nature hain.

34 . india kyunke main yahan ka rahne wala hon aur isse mohabbat karna mera farz hai. yahan k shahar aur is mulk se meri yaadein judi hui hain.

35 . mohabbat kyunke ye bikne wali cheez nahi.laikin paisa insan k haath aata hai aur jaata hai.iska koi eitebaar nahi.

36 . har rishta uski apni ahmiyat rakhta hai.

37 . dimagh ki sunni chahiye kyunke dil ki khawahishen bahot ziada hoti hain jo marte dum tak qatm nahi hotin.

38 . coffee kyunke main isse ziada freshnes mahsoos karta hun.

39 . kitab.

40 . kharch karna.
 
  • Like
Reactions: Nelli and RedRose64

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
meray questions ye rhay:

1-aap ki age kiya hay?:D
2- aap ny kabhi apni dairy likhi jo aap ki apni ho ??
3- aap zada tr kahaan rhna pasnd krtay hay??
4- aap ki fav dish, fav colour kiya hay??
and
aap ko apni college life may kuch intresting kuch howa ho to hamay batana pasand farmye ga kiya??:D

these are my little questions noe answer dijiye:D{(popcorn)}
01 . mujhe hamesha age 6 saal ziada bolne ki aadat hai.:pmeri d.o.b. 10-05-1983.ab aap hisab lagalen

02 . mashaAllah jiya accha sawal kia aapne :)
han main likhta tha dairy usme bahot si cheezein likhta tha.jaisa k quran ki muntaqib aayath,bade philoshphers k waqiyaat,selected ashaar,gk,aur isi tarha se dosri bahot si cheezen aur ye mera pasandeeda mashghala tha.aaj bhi wo dairy mere paas sambhal k rakhi hui hai.

03 . yaani samjha nahi.

04 .
aap jo khilayen main wo khaalunga bus ye batayen dawat kab de rahi hain aap?
hyederabadi biryani.& mutton harees.aur colour me black & grapes colour.

05 . college life bari acchi rahi jiya inter first yr me maine bahot njoy kia aur is saal ko main kabhi nahi bhool sakta kyunke mujhe is saal taqreeban 9 or 11 prizes mile thei.
 
  • Like
Reactions: Jiya.

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
ahaan woww araf ka interview chal raha hay{(popcorn)}
han laikin aap kaafi late aayin khair koi baat nahi jiya.:)

Oh zada tr meray questions repeat horahy hay:s

koi baat nahi jiya maine sabke answer dediye hain.:)

taubaaaaaaaaaaaaaa{(confuse)} in sawalon ka jawab dete dete tou poora article ban jaye ga:p
han na nelli is larki ab kaun samjhaye :p

aaraf bro sheet ka answer to dey dejiye {(cray)}
dediye maine aapke answers check karlen waise abhi tak aapne ek bhi check nahi kia hoga hain na.:)
 

Jiya.

TM Star
Jan 1, 2011
7,370
4,268
113
•°Karachi


01 . mujhe hamesha age 6 saal ziada bolne ki aadat hai.:pmeri d.o.b. 10-05-1983.ab aap hisab lagalen

02 . mashaAllah jiya accha sawal kia aapne :)
han main likhta tha dairy usme bahot si cheezein likhta tha.jaisa k quran ki muntaqib aayath,bade philoshphers k waqiyaat,selected ashaar,gk,aur isi tarha se dosri bahot si cheezen aur ye mera pasandeeda mashghala tha.aaj bhi wo dairy mere paas sambhal k rakhi hui hai.

03 . yaani samjha nahi.

04 .
aap jo khilayen main wo khaalunga bus ye batayen dawat kab de rahi hain aap?
hyederabadi biryani.& mutton harees.aur colour me black & grapes colour.

05 . college life bari acchi rahi jiya inter first yr me maine bahot njoy kia aur is saal ko main kabhi nahi bhool sakta kyunke mujhe is saal taqreeban 9 or 11 prizes mile thei.

ahaan Mashalah aap 29 saal ky hay may ny hisaab laga liya:D:p
ahaan Mashallah aap dairy bhi likhty hay
may ny bhi dairy likhna abhi bahi start ki hy:D

meray 3rd Q ka matlab ky ap ko konsa city ya place acha lagta hay?{(popcorn)}

hehe haan may ny kl dawat nai di bhool gayi thi wrna de deti:p

ahaan Allah karay aap hamesha enjoy karay hr sal
oh wowww aap ko is 9 or 11 prizes milay thy MASHALLAH{(popcorn)}

 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia



ahaan Mashalah aap 29 saal ky hay may ny hisaab laga liya:D:p
ahaan Mashallah aap dairy bhi likhty hay
may ny bhi dairy likhna abhi bahi start ki hy:D

meray 3rd Q ka matlab ky ap ko konsa city ya place acha lagta hay?{(popcorn)}

hehe haan may ny kl dawat nai di bhool gayi thi wrna de deti:p

ahaan Allah karay aap hamesha enjoy karay hr sal
oh wowww aap ko is 9 or 11 prizes milay thy MASHALLAH{(popcorn)}


thanks jiya.:) mujhe mera apna city pasand hai.kyunke main yahan chotey se bada hua.meri bachpan ki yaadein is shahar se wabasta hain.aur han jiya aap sara ki bahen hain na?
 
  • Like
Reactions: Jiya.

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
idhar ka mahool to bara garam hai...sochta hoon kuch sawalatat mai bhi chorh jaon.......
abhi poora interview parha to nai hai..thora bht parh liya hai..aur har jaga anaaya ki tarafdari ho rahi hai...({kopping)}...
aur nelli...itna roti bhailne ka shoq hai to doo teen idhar bhi bana kar bhej diya karo jhoote muh({kopping)}...
ok let me back to my questions {(popcorn)}
pehle pop corn khayein..hoor sis ke stock se uthaya hai.....pheeka sa tha..maine isey mazedar bana diya...yeh lein{(popcorn)}...
ap ki current occupation?
ap kia jaga rehte hein?..city ka naam bhi batayega
idhar aana kaise howa?
apke top 5 fav male members? aur woh kyon?..
apke top 5 fav female members aur woh kyon?
top 3 members jinhe ap samjhte ho ke yeh ideal hon...aur woh kyon?
1983 ki paidaish hai apki...konse school se parha..konse college uni gaein?..kis field mei the...parhaye ke beech double minded to nai hoein apnay career ko leikar?..
and lastly...would like to know more about ur 1st love {(popcorn)}.....idhar apne thread mei kuch had tak bayaan kiya tha unke related....
aur haan...shadi kab karne ka socha hai...{(confuse)}....apke jaise mizhaaj log to jald hi shadi karlete hein..magar ap itna late kyon karing?({kopping)}
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
ahan ahan waow red rose ye silsila shuru ker k aap ne bht acha kiya hy..aur hmen khus b kiya hy,,hmmm....bhai es garma gram interview pe hm b apne hath senk len zara..kuch sawalat ke sath.....sabse pehle sorry i am late magr interview to chalu hy na.. sooooooooo mere questions hian bhai tayar rahen...


1 kabhi life me aisa pal aya jab aap bht khush hue hoon?
2 air kabhi aisa pal aaya jab aap bht udas rahen hoon..
3 aapki collage life aur school life me konsi ziyada mazedar thi..
4 sabse yadgar trif konsi rahi hy apki life me
5 kabhi gol omlet banaya hy ?lolzz hehe
6 ayr sabse khas sawal.. love aur dosti me aap ziyada kise vote denge...


dijye dijye answers:)
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
aj ki young generation ko ap kesa pate hain?

ap india se ho,ye forum pakistani hai to ap ko yahan k kesa lga k pakistan k log kese hote hain..sahi sahi bataye ga,tasfeel se?

real life aur net life me kya difference hota hai?

woh alafz ya fikre jo ap apni guftagu me aksar istamal karte hain?

zindgi me kbi kisi ko dhoka diya ya kisi ne apko diya ho?

kbi kisi fesle par pachtawa huva?

dost ko define kren?

kbi khud ko parha,kya parhne ko mila?

ap kis ko apni zindgi ka keemti tareen assasa kaho ge?

kbi kuch churaya? aur agar ap chor hote to kya churate?

jaldi maaf kar dete hain ya nhi,dosron koi c ek galti ap kbi maaf nhi kar sakte?

ALLAH ki muhabbaten or inaayaten us k bande k lye beshamar hoti hain ap bataen
kb apko shidatt se ehsas huva k WOH apko smjhta hai or WOHI ap se sb se zeyda muhabbat krta hai?

kisi insan k sache or jhote hone ki pehchane ka sahi tarika?

apni galti ko jaldi maan lete hain ya..apni baat pe hi qayam rehte hain?

zindgi me kon c esi cheez jo boht mehnat se hasil ki or us ka kho jana ap k lye malal ho ga?

kbi boht zyda khushi me rona aaya?

khud ko 3 words me define kren?

meri ek khami bataen? aur sawalat kese lge... boht shukaria ap ka uncle..itne sabr se sb sawalat k jawabat diye..{(popcorn)}
ye lijiye aapke jawabaon k saath hum haazir e khidmat hai.

aj ki young generation ko ap kesa pate hain?
sawal bahot accha hai.aajki young generation mujhe aise lagta hai k wo deen se dur hote jaarahe hain.dunyawi ilm hasil karne me lage hain laikin aqlaq se korey hain.aakhirat ki baatein unkeliye ek joke bangayi hain.ya fir sunte to hain laikin yaqeen nahi rakhte.musalman hone ka dawa to karte hain laikin amal se khaali hain.fahashi k dildaada hain.cigarette aur sharab naushi unkeliye ek fashion bangayi hain.halal haram ki ab inme tameez nahi rahi.laikin aisa bhi nahi k saari generation aisi hi hai.balke unme seedhi raah par chalne wale bhi hain.hamare aabaa o ajdaad ki taareeq unhe pata nahi k unhone apni zindagiaon me kia karnaame anjam diye.etc.

ap india se ho,ye forum pakistani hai to ap ko yahan k kesa lga k pakistan k log kese hote hain..sahi sahi bataye ga,tasfeel se?
main indian hon.aur ye paki forum hai.laikin hamari taareeq hamara culture ek hai.isme koi ziada ikhtelaaf nahi.zubanein ek hain.bus mulk alag alag hain.rahi baat pak k logon ki.main jab india me tha.tab main pak logon k baare me ziada nahi janta tha.laikin jab s arabia aaya aur pak k logon se mila to inhe acche se jaane ka maoqa mila.unme jo baatein maine note ki hain wo kuch is tarha hain.
01 . inme aksar acche zaheen hotey hain.
02 . bahot kum log higher education hasil karte hain.
03 . aur jo log acchi taaleem hasil karte hain.unme be inteha salahitein hoti hain.
04 . yahan k log aksar milkon me rozgar ki gharz se rahte aur baste hain.
05 . inme dare ziada hota hai.
06 . rahan sahan mashaAllah mujhe bahot pasand aaya.
07 . sahih maanon me ilm e deen ki inme bahot ziada kami hai.
08 . groups me batey hue hain koi kahta hai main pathan hon to koi panjabi aur to ksi ko mahajir kaha jaata hai.isiliye yahan par itne ziada khone kharaba hota hai.jabke nabi(pbuh) ne hajjat ul wida k maouqe par farmaya tha ksi gorey ko ksi kaale par aur ksi ameer ko ksi ghulam par koi faouqiat nahi.fir bhi yahan itne groups hain k har koi ek dosre ko marne par tayyar rahta hai.kyun?

mujhe aise lagta hai k inko ek rahbar ek qaayed ki talaash hai agar ksi waqt inko ye miljaaye to pakistan ki taareeq badal sakte hain.inke liye mujhe shayer e mashriq ka ek sher yaad aata hai.

nahi hai na umeed iqbal apni kusht e wiran se
zara num hoto ye mitti badi zarqez hai saaqi


real life aur net life me kya difference hota hai?
shayed aap net friendship k taaluq se poochna chahti hain.net friendship acchi hoti hai.iske zarye ksi bhi dosre maqam k logon se dosti ki jasakti hai.laikin isse kahin behtar hamari wo friendship hoti hai jo bachpan se ho ya fir mulaqati.

woh alafz ya fikre jo ap apni guftagu me aksar istamal karte hain?
haha mujhe nasir bhai aur dosre dost aksar tokte rahte hain.k main bahot ziada takya kalaam use karta hon.masalan matlab,yaani,aur sunao.

zindgi me kbi kisi ko dhoka diya ya kisi ne apko diya ho?
mujhe jitna yaad hai abtak to maine kabhi ksi ko dhoka nahi diya.laikin ksi ne mujhe dhoka diya hai.


mut pooch mere humdum mere dil ki kahani
isme kuch parda nasheenon k bhi naam aate hain



kbi kisi fesle par pachtawa huva?
main insan hon aur insan hone k naate mujhse kayi dafe ghalat faisle bhi hote hain.unme se ek mera is company me abhi tak job karna.

dost ko define kren?
Aristotle ne kaha tha k dosto is dunya me sacche dost milna mushkil hai.aur waqayi ye mushkil hai k aapko saccha dost naseeb ho ye bahot kum logon ko naseeb hote hain.dosti qayalaat ki bunyad par jo hoti hai wo bahot pokhta hoti hai.agar aap insan ko ya fir uski daulat ko dekh kar dosti karte hain to wo bahot juld qatam bhi hosakti hai.dost saccha wahi hota hai.jo aapko mushkil waqt me yaad aaye uski misal kuch is tarha di jasakti hai k bande ko agar kuch takleef hojaaye to wo fauran Allah ko yaad karta hai kyun wo isliye k Allah har musalman se mohabbat karta hai.aur ye insan ki fitrat hai k jab kabhi usse koi pareshani aajaye to wo apne qareebi logon ko yaad karta hai.tab aap samjho k wo aapke sacche dost hain.aur dost wo hai jo aapki qamiyan aapko akele me bataye.khushaamad mizaj naho.yaani aapke ghalat kaam ko bhi wo kahe k ye accha hai.etc.

kbi khud ko parha,kya parhne ko mila?
aksar auqaat main akela chahal qadmi karne nikal jaata hon.aur main khudko samajhne ki koshish karta hon aur dekhta hon k abtak maine apni zindagi ko kia dia.

ap kis ko apni zindgi ka keemti tareen assasa kaho ge?
isko maine samjha nahi sahih se.

kbi kuch churaya? aur agar ap chor hote to kya churate?
bachpan me churaata tha paise ammi k paas se :p laikin ab nahi.:)agar main chor hota to churane keliye dunya me main samajhta hon koi aisi cheez nahi.aur jo churaane k qaabil cheezein hain usse main chura nahi sakta.ksi ka ilm,mohabbat,etc

jaldi maaf kar dete hain ya nhi,dosron koi c ek galti ap kbi maaf nhi kar sakte?
main bahot jaldi muaf kardeta hon.aur main samajhta hon log is baat se faayeda bhi uthaate hain.laikin main usse muaf nahi karta jo shirk kare aur nabi(pbuh) ko na maane.isiliye mujhe qaadianiaon se bahot ziada nafrat hai.

ALLAH ki muhabbaten or inaayaten us k bande k lye beshamar hoti hain ap bataen
kb apko shidatt se ehsas huva k WOH apko smjhta hai or WOHI ap se sb se zeyda muhabbat krta hai
?
beshak Allah har bande se mohabbat karta hai.aur mujhe is baat ka bahot martabe shiddat se ehsaas hua jab kabhi main ksi mushkil me hota hon to Allah ko yaad karke bahot rote huye jab dua karta hon to meri dua is ghaibi tareeqe se poori hoti hai k main khud bhi taajub me parh jaata hon.

kisi insan k sache or jhote hone ki pehchane ka sahi tarika?
nabi(pbuh) ne farmaya k ksi shaqs k jhoota hone keliye itna kaafi hai k wo ksi ki kahi hui baat ko bina tahqeeq dosron tak pahunchaade.

apni galti ko jaldi maan lete hain ya..apni baat pe hi qayam rehte hain?
nahi main agar meri ghalti hoto fauran maan leta hon.laikin ksi aur ki ghalti hoto ksi halat me nahi manta.

zindgi me kon c esi cheez jo boht mehnat se hasil ki or us ka kho jana ap k lye malal ho ga?
ilm abhi tak jo maine hasil kia hai lahamdulillah mujhe ispar faqr hai.agar ye mere zahan se nikal jaaye to mujhe iska bahot malal hoga inshaAllah.

kbi boht zyda khushi me rona aaya?
han jab main pahli dafa makka aur madina gaya tha tab maare khushi k mujhe rona aagaya.aur maine nabi(pbuh) ko bahot yaad kia aur sooncha k Allah k nabi(pbuh) k chahne wale aaj dunya me kitne hain.ek waqt tha jab inko apne gharaon se nikal diya gaya tha.aur aaj unhi k bataye kalime ki bunyad par saudi hukumat qayam hai.subhanAllah.

meri ek khami bataen? aur sawalat kese lge... boht shukaria ap ka uncle..itne sabr se sb sawalat k jawabat diye..
aapki khaami taqreeban 3 minutes tak sooncha maine fir bhi koi nazar to nahi aayi.yaad aane par bata dunga.

sawalat bahot acche thei.aur aise hi sawalaat hone chahiye tabhi maza aata hai jawab dene ka.
laikin mohtarma mera bhi qayal rakhliya karen taqreeban 1 hour hogaya iske jawab likhte likhte.

 
  • Like
Reactions: Nelli
Status
Not open for further replies.
Top