Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kahta- Khan Momin

  • Work-from-home

*Nazar

Newbie
Oct 13, 2008
579
271
0
35
Lahore
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kahta
par hal ye afshan hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]naseh ye gila hai k main kuch nahin kahta
tu kab meri sunta hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]kuch gair se honthon main kahe hai pe jo pucho
to wahin mukarta hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]naseh ko jo chahun to abhi thik bana dun
par khauf Khuda ka hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]chup k se tere milne ka ghar walon main tere
is waste charcha hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]ai charagaro qabil-e-darman nahin ye dard
warna mujhe sauda hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]har waqt hai dushnam har ek bat pe tana
phir is pe bhi kahta hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
[FONT=Verdana, Arial, Helvetica, sans-serif]"Momin" ba-Khuda sihar bayani ka jabhi tak
har ek ko dawa hai k main kuch nahin kahta
[/FONT]
 
Top