Dil Chahta Hey

  • Work-from-home

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
very beuatifully shared as usual .apki her thehreer nihayat umda hoti hy keep sharing
 

hafsa91

Active Member
Aug 19, 2012
339
308
63
ohhhhhh i see,sorry 4 tht.Allah ap ki ami ko janat main jaga de,actually main dukhi btain ni parh sakti,main bht feel kr jati hn thts y,always b happy n u wrote very gud.
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
ohhhhhh i see,sorry 4 tht.Allah ap ki ami ko janat main jaga de,actually main dukhi btain ni parh sakti,main bht feel kr jati hn thts y,always b happy n u wrote very gud.
same here ..............me khud b depressho jata hoon.................but ap kahan tak avoid ker sakrty ho yahan tu har taraf dukh aur depression hee hai ....
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
han ye tu ha bt main door hi rehti hn even news b ni dekhti main
boaht acha kerti ho ..news mein depression k elawa kuch nhee hota..................aray nice idea ...........i wud applyto myself too
 
  • Like
Reactions: hafsa91

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam-o-Alaikum


Ye koi sochi samjhi tehreer nahi'n bus aisey hi aaj kuch logoo'n ki yad aai tu socha isko zabt-e-tehreer mai'n laoo'n aur aap sub k sath bhi share kroo'n key ye koi afsana nahi'n haqiqet hey


Dil Chahta hey




Main hal sey jub thek jata hoon to mazi main kho jata hoon


jo log kabhi thay sath merey main un sey milney jata hoon




sub khush hain kaisi masti hey main hansta gata jata hoon


phir janey kaisey din aaye main tanha hota jata hoon




kuch rastey main hi chor gaye kuch sey ab bichra chahta hoon


kuch phool duaain sath liye main sub ko dhondta jata hoon




ab main phir sey tanha hoon chahata hoon mazi main kho jaoon


jo log kabhi thay sath merey un sub sey ja ker mil aaoon




Mujhey nahi’n maloom k aisa sirf mairey sath hi hota hey ya aur log bhi in ehsasaat ka shikar hotey hai’n laikin aisa hota zaror hey jub khushgawar batai’n aur yadai’n aankhai’n aansoo’n k motoyoo’n se bher daiti hai’n jub insan bhiereh mai’n bhi apney aap ko tanha pata hey tu phir yad’dasht k jahaz per sawar mazi k jazeeroo’n ka safer shoro kerdaita hey tu kia kia kuch aankhoo’n k aagey nahi’n aajata aur mai’n is waqt mazi k safer pey hoo’n tu aaiye aap logoo’n ki bhi un sey ek mukhtaser si mulaqat kerwata hoo’n




ye hamari walida muhterma hai’n buhat muhabbet kerney wali aur khandan ki sub se bari her koi un ki baat manta hey buhat muhabbet di unhoo’n ney, aaj mai’n jo kuch hoo’n us mai’n un ki muhabbet aur terbiyet ka buhat bara hissa hey her jagha mairey hi sath jati hai’n laikin 27th December, 1993 ko mairey daikhtey daikhtey chali’n gai’n aur mai’n baitha daikhta hi reh gaya




Aaiye zara bahir chaltey hai’n aur aap ko apney dostoo’n se milwatey hai’n, Ye Karaci University hey hamara department Economics hey ye jo samney wali rahdari hey ye Arts loby se hoti hui Economics Department tek jati hey ye lijiye seedhey hath per hamara department hey yaha’n hum ney buhat acha waqt guzara hey Ye jo samney ek group nazer aaraha hey na ye hamara group hey jiska naam hum ney Talanga group of Economics rakha tha, mai’n khud ko bhi un k dermiya’n daikh sakta hoo’n in mai'n girls bhi hai'n aur biys bhi aap in ki surat per maat jana ye shakel se masoom zaror dikhtey hai'n laikin shaitan bhi in se panha mangta hey, yaha’n hum ney buhat cricket khaili hey kitna acha waqt tha na koi fiker na praishani jub class attend kerney ka mod na hota tu mujhey yad hey hum apney professor sahib k office ki bahir se kundi laga daitey they kabhi aur nai nai qisem ki sharartai’n kertey ek bar tu sirf shert jeetney k liye purey department mai’n apni ek friend ka dopat’ta pehen ker ghoomey, kabhi main library mel mel k kurtey aur chori dar pajamey mai'n malboos ser per dopal'li topi aur monh mai'n pan daba ker mahfil-e-mushaira kertey tu kabhi canteen mai’n party tu kabhi sports week ki ronaqai’n tu kabhi students week k hangamey kis department mai’n hamarey dost moujod na they Kitni khobsurat tha wo waqt




Laikin aaj




Aaj mai’n shahra-e-hayaat per plat ker daikhta hoo’n tu un mai’n se koi bhi tu aas pass nazer nahi’n aata dil chahta hey k kash mairi zindagi mai’n koi revind ka option ho tu kch peechey plat ker ek bar phir wo waqt jeeyoo’n dil chahta hey k un se miloo’n mager zindagi mai’n sub kuch waisa hi tu nahi’n hota jaisa hum chahtey hai’n, Aaj zindagi buhat masroof hey itna waqt bhi tu nahi’n milta keh k insan mazi ki qaber hi khood daley k shayed mazi ki haseen yadain hal ki talkhiyoo’n se frar mai’n maded de sakai’n




laikin




Dil chahta hey
waalaikum assalam
aapki tehreeer ki jitni bhi tareef karun kam hay..kisi manzar ko is tara bayan karna k parhna waala usse khud mehsus kar sakkey aur us k expressions alfaz k saath badalne lagain waqe hi bohat barra hunar hay ,,,aur MASHAALLAH aap ne bohat hi ache se bayan kiya,,,economics department k baaremay parhte huye bohat maza aaya

waqe hi dil chahta hay k kaash wo befikri ka zmana wo shrartain, wo baghair soche bolna aur khilkhila k hasna ,,sab kuch wapis aa jaye ,,,pta hay nhi aa sakta
magar dil chahta hay!
sab hi k dil ki baat aap ne aik tehreer may keh di
bohat khobb likhte rhain :-bd
 
  • Like
Reactions: Lost Passenger

H!N@

TM Star
Jul 12, 2009
4,098
2,198
1,113
Karachi
hum apney professor sahib k office ki bahir se kundi laga daitey they Gud idea :-bd






ek bar tu sirf shert jeetney k liye purey department mai’n apni ek friend ka dopat’ta pehen ker ghoomey,:D


Zabardast tehreer{}{43r5



keep sharing
 
Top