Duniya ki muhabbat

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
kisi sehra me pani ki talash me bhtakte huva musafir ..shaddat-e-piyas se sukhte hont or peeron me pare abalon ki tees ..sar pe aag barsata soraj..or us shakh ko dor se rait pe pani ka guman hota hai..woh jb us simat bhagta hai to..wahan to kuch nhi hota..goya ye sirf ankhon ka dhokha tha..seraab tha....afsoos ..yahi duniya ki muhabbat hai....jahan kuch b hasil nhi hota..jo dunya ki muhabbat k peche bhagta hai..woh humesha yon hi sari umar kisi seraab k peche bhagta rehta hai..or humesha la'hasil rehta hai..
or haqiqat ye hai Khaliq-e-Haqiqi k muhabbat k bad sb kuch khud hi mil jata hai..
Muhabbat hasil hoti hai lekin sirf Khaliq ki muhabbat.. jo wasal hoti hai jis me hijar ka naam-o-nishan tak nhi hota..or jin logo ko ye Muhabbat sonap di jati hai,jin k muqadar me likh di jati hai..woh mukamal ho jate hain..phr woh nhi sochte k raste kitne hi khathan kyun na hon..bas apne Mehboob-e-Haqiqat ki Raza k liye nikal parte hain..or sab kuch pa lete hain..!
 

sOhNi_

Super Star
Sep 4, 2010
5,507
3,502
1,113
MASHALLAH anaya sis ...
Bht khoob...
Bht sahi baat kahi hai appne...
Really loved it...
Thnx for sharing...
Keep writing and keep sharing....
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah :)
bilkul haq bayan kiya hai apne anaaya

jo duniya ki piche bhagta hai usko ruswai ke elawa kuch nahi milta aur jo akhirat ki fikar me hota hai usse khud ba khud duniya to naseeb hoti hi hai sath me sab se badi nemat akhirat ki kamiyabi hai

Allah hame uski hi ibadat karne ki taufeeq aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Top