ek din chand se

  • Work-from-home

Khamoush_Naina

TM Star
Sep 18, 2010
1,423
467
383
32
Karachi
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
Aankh, Taqdeer Aur Ta’aluq Jo
Jaane Kis Doosre Ke Bas Mai Hain
Saanp Ban Ban Ke Daste Rehte Hain
Apni Saanson Mai Dobte Dil Ko
Chaand Jis Tarz Ka Musafir Hai
Hijr Hi Hai Ke Jo Paraao Mai Hai
Bas Judaai Ko Hai Thehr Jana
Hum To Shikwa Bhi Kar Nahi Sakte
Aur Tanhaaiyon Se Shikwa Kiya
Chaand Be-Chainiyon Ka Mosam Hai
Beet Jane Pe Bhi Hamesha Hi
Apne Aasaar Chor Jata Hai
Yeh Meri Aankh Ke Sulagte Hue
Zard-Ro Aeinon Ki Nam-Naaki
Sab Issi Dard Ki Nishaani Hai
Yeh Mera Be-Sabab Hi Khush Rehna
Sab Issi Gham Ki Azmaish Hai
Ek Khuwahish Hai Jis Ko Marna Hai
Ek Jeewan Jise Ujarna Hai
Ek Din Chaand Se Bicharna Hai
(Farhat Abbas Shah)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
naina aap read kya karoo poetry us se andaza hoga ke kaun kaun si poetries share ho chuki hain
 
Top