Ghair zaroori rasm o riwaj.

  • Work-from-home

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
Assalam o alaikum
Umeed kerta hoon aap sab khairiyat se honge,
bohot dinon baad aaj aik thread laga raha hoon jo hamari shadi biyah main rasmo riwaj k bare main hai,
aaj kal shadiyon per be inteha khercha kiya jata hai maiyon mehandi rat jagay kay ilawa bhi fanctions rakhay jatay hain singers ko bolaya jata hai...agar yahi pesay bacha kar log duseray logon ki help karden jo shadi kartay hoye bhi beti ka souchtay hain ki pesay kahan say layen unko dain aur doosri baat hamara mazhab bhi in cheezon ki ijazat nahi deta aaj kal to lerkiyan bari beshermi k saath nachti aur gati hain,
main chahta hoon k aap is per zara behes karain apna izhare kayal karain kya ye sab ghair zaroori rasm o riwaj theek hain?

Thanks

note
mere kehne ka ye maqsad nahi hai k aap naoozobillah Allah k ahkamat k bare main behes karain mere kehne ka matlab ye tha k hum apne ye ghair zaroori riwaj kyun apnate hain is ka kya hal ho sakta hai k hum ye rasoom chor dain,


aur doosri jo aap ne baat ki k amal kerna zaroori cheez hai wo baat bhi aap ki theek hai mager apas mai baat kerne se bhi insan main aik khud aitemadi aati hai jhijhak khatam hoti hai aur kafi had tak ilm bhi hasil hota hai so please meri aap se ye guzarish hai k aap is topic main apni rai share karain.
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
jis topic par yaha behas k lie dawat de hay,uska hum to aj say 1400 sal pehlay he hamaray RUB or hamary nabi SWA nay amli tor par kar k bata b diya hay...
behas ki to koe gunjaiesh he nae rehte ab to,but bat amal ki hay,hum amal he nae kartay Allah k ahkamat par,pir boltay hay k hamaray rizq may itne bay barkate q hay...

any way very nice tread.........
 

DevilJin

Super Star
Jan 20, 2011
9,782
2,235
713
30
Rawalpindi
diako yaar hy to ye galyt he but
ye hmari mjbori ban chuki hy ab so is thread pe kch khas comment ni ho skty any way thanks for your sharing
 

waqas naseer

Super Star
Dec 24, 2009
5,722
3,037
1,313
32
mardan
jis topic par yaha behas k lie dawat de hay,uska hum to aj say 1400 sal pehlay he hamaray RUB or hamary nabi SWA nay amli tor par kar k bata b diya hay...
behas ki to koe gunjaiesh he nae rehte ab to,but bat amal ki hay,hum amal he nae kartay Allah k ahkamat par,pir boltay hay k hamaray rizq may itne bay barkate q hay...

any way very nice tread.........


note
tooba jee baat aap ki theek hai mager mere kehne ka ye maqsad nahi hai k aap naoozobillah Allah k ahkamat k bare main behes karain mere kehne ka matlab ye tha k hum apne ye ghair zaroori riwaj kyun apnate hain is ka kya hal ho sakta hai k hum ye rasoom chor dain,
ye meri ghalti hai k maine apne topic main is baat ki wazahat nahi ki main is k liye maafi chahta hoon meri mods se guzarish hai k wo plz meri post edit ker k ye baatain add kerdain.
aur doosri jo aap ne baat ki k amal kerna zaroori cheez hai wo baat bhi aap ki theek hai mager apas mai baat kerne se bhi insan main aik khud aitemadi aati hai jhijhak khatam hoti hai aur kafi had tak ilm bhi hasil hota hai so please meri aap se ye guzarish hai k aap is topic main apni rai share karain.
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Thank you for sharing the topic , pheli baat k Yeh Ghair zaruri rasm-O-rawaj ko kisi surat bi aap darust nahi keh sakte, Aj k Es pur fitan daur main Hallat-e-zar yeh ho chuki hai k Awam-un-Naas 2 waqt ki roti k liye Jaan toor mehnat karte hain aur apne kumbay ka pait palte hain, aur Betiaan Jo Parwar digar ki Rehmat hain ( Un ko boj mehsus hone lagti hain) , Yeh Sirf khayal ane se hi dil bethne lagta hai k jahaiz main dene Wala saman Kahan se Laya jaye ga , Kitna Laya jaye Ga , Phr Yeh baat k Aga dhoom dham se shadi na ki to Log kia kahain gay , Rista dar kia kahain gay , Naak kat jaye gi waghera waghera ....Asal main yeh hamari khud ki peda ki hoi he riwayat hai .. Jise se khud he suffer ho rahay hain , balke mudadid bar nobat yahan tak aa jati hai k ghar bethi hoi betiaoon ki umar guzer jati hai ,
zarurat Es amar ki hai k Logon ko aware kia jaye k Yeh Sari chezain Jin to hum lazim-O-malzum bana chuke hain Bilcul bi zaruri nahi hain , hamain Deen-e-islam ne Ki phr se parvi karni hai K Jiski Khubsurati ki inteha yeh hai k "Azwaj-e-motaharat ko dia jane wala biyaah ka jora nasal dar nasal chaltay ..aur umar bhar wohi 2 joray rehtay". Media par jahan Aesi khurafaaat ko barha charha kar dikhaya jaa raha hai wahin , bohat se islamic channe's es ka muqabla kar rahy hain , aur logon ko bata rahay hain k deen Islam kia kheta hai .. Deen islam main jahaiz ka shari Hukm kia hai ... Allah Pak Amal karne ki taufeq day ..
 
  • Like
Reactions: waqas naseer

kingsalah

Banned
Jul 22, 2009
256
149
0
36
Assalam o alaikum
Umeed kerta hoon aap sab khairiyat se honge,
bohot dinon baad aaj aik thread laga raha hoon jo hamari shadi biyah main rasmo riwaj k bare main hai,
aaj kal shadiyon per be inteha khercha kiya jata hai maiyon mehandi rat jagay kay ilawa bhi fanctions rakhay jatay hain singers ko bolaya jata hai...agar yahi pesay bacha kar log duseray logon ki help karden jo shadi kartay hoye bhi beti ka souchtay hain ki pesay kahan say layen unko dain aur doosri baat hamara mazhab bhi in cheezon ki ijazat nahi deta aaj kal to lerkiyan bari beshermi k saath nachti aur gati hain,
main chahta hoon k aap is per zara behes karain apna izhare kayal karain kya ye sab ghair zaroori rasm o riwaj theek hain?

Thanks
Quran 17.27. Surely squanderers (To spend wastefully or extravagantly) are ever brothers of satans; and Satan is ever ungrateful to his Lord.
 

*Maan*

TM Star
Sep 9, 2010
4,718
2,160
113
Karachi
jis topic par yaha behas k lie dawat de hay,uska hum to aj say 1400 sal pehlay he hamaray RUB or hamary nabi SWA nay amli tor par kar k bata b diya hay...
behas ki to koe gunjaiesh he nae rehte ab to,but bat amal ki hay,hum amal he nae kartay Allah k ahkamat par,pir boltay hay k hamaray rizq may itne bay barkate q hay...

any way very nice tread.........
Very nice comment Toobi.
 
  • Like
Reactions: Tooba Khan

*Maan*

TM Star
Sep 9, 2010
4,718
2,160
113
Karachi
Jesa k hum sab hi jante hain k aj kal jo rasm-o-rivaaj shadiyon me mojud hain wo bilkul nahi hone chahiye... Shadiyon me naach, gaanay, be-hayai, functions wagera k zariye hum apne liye hi nuqsan ka saman ikhatta kar rahe hote hain... Jab ye sab aamaal kiye jayenge to pareshaniyan, musibaten aur aazaab kese nahi aayenge...

ALLAH Pak hum tamam samait tamam Aalam-e-Islam ko shairiyat k mutabiq amal karne ki taufeeq day Aameen.
 
  • Like
Reactions: waqas naseer

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad
ہاں دوست یہ ہمارے معاشرے کا بڑا المیہ ہے
لیکن اگر لوگ اتنا زیادہ خرچہ نہیں کرینگے تو برادری میں ، معاشرے میں ان کی مونچھ کٹ جائے گی۔ ۔ ۔ ۔ ویسے معذرت کے ساتھ کیا ان لوگوں کی مونچھ بھی ہوتی ہیں۔ ۔ ۔ ۔ یا بغیر مونچھ کے سارا خرچہ ہوتا ہے۔
بہرحال یہ رسمیں ہمارے معاشرے کا ناسور ہیں جس کی وجہ سے نکاح جیسی آسان سنت بھی مشکل ہوگئی ہے۔
اللہ تعالی ہم پر رحم فرمائے

 
  • Like
Reactions: waqas naseer

Habeel

Active Member
Nov 28, 2010
272
132
943
bohat ache tharaid hai in rasmo riwaj par bat karnay ko bohat hai maqar ya siraf bat ki had tak hi rah gya hai is bat ko tu sabhe mantay han k ya rasumat fazol han par in ko chornay ko koi tayar nahi chahay wo ameer ho ya gareeb ya msala sab k sath hai in sahde byah ki rasmo main kya nahi hota ? is main wo sab hota hai jo ham aam dino main kabhe karna pasand nahi karain gay . sab say bare la.nat jis ko ham sab mantay han wo sab han is shade byah main

1) jahaiz , jis ki waja say kai larkiyan kabhe bhe dulhan nahi ban pate
2)dulhan walon par bohat zida boj dalna chahay us ki sorat kuch bhe ho ,,jis ki waja say larki walay qaraz tak uthanay par majbor ho jatay han jo kise tabahi say kam nahi
3) bohat zida aazadi jo larkiyon ur larkon ko mil jate hai ,jis ki waja say wo nachte phertay han ur apnay ap ko kise filam ka hero ya heroin tasawar kartay han.
4) sare rat behoda qisam ka nach ganay jo ham apne aam zindgi main sun.na sahid pasad bhe nahi kartay .jaisaay ham pechlay dino aik shade par gay jahan ,koi shela ki jawane par nach raha tha ur koi kah raha tha muni badna hoi .
5) badmuaash kisam k move bananay walay hamre apne maon bahnon kay bech gomtay pheray ur un k jismon say apnay jism mas kartay nazar atay han ur tu ur nai naweli dulhan jis ka abhe us kay shohar nay gongat bhe nahi utara hota us kay gongat k pallon ko bhe wohai darust kartay nazar atay han ur ya bat aam hai jo dulhan is rasmo riwaj main agai usay ya sab karna hi parta hai ache move ban.wanay k leay ur acahe tasweron k leay .,ham aik din hal rod par gay tu wahan ham nay daikha aik shade ki move ki adetign ho rahi the us main mhende par khuch larkiyan nach rahai the jesay sab mazay say rok rok kar daik rahay thay ur un k jimson ki tareef kar rahay thay ham nay un say bhai ap ya kya kar rahay han tu un sahib nay kaha ya ap ki koi ristay main han ? ham nay kaha k ya hamre rishtay main tu koi nahi magar islmi lehaz say ya hamre bahnain han tu us nay kaha k phir in ko mana karo k ya move na banwaya karian ur us nay zor ka kah kaha lagaya
6)ham nay daikha hai k sahde suda mard ur sahde shuda urtain bhe ise moqay par dosray mardon ur urton say bay takl.luf hotay han
7)mayon .mahnde .gana bandan. dodh pelai . jote chopana .ya rasmain lakiyon ur larkon ko bohat pasand han ur yahi in ko bohat bare kharabhe ki taraf lanay main bohat madad gar sabit hote han .
aj ki sahde main jo bhe rasomat han wo sab ki sab islam k khilaf han .
sahde pay hi insan ko sahi tor par parkha jasakta hai k wo kitna muslim hai maire in baton say koi itfaq karay ya na karay sach tu yahi hai k hamin in sab ko chorna hoga ur apne asal ki janib lotna hoga warna aik din ham muslim kam ur hindo ziada lagnay lagain gay
shukriya
 
  • Like
Reactions: waqas naseer

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar


note
tooba jee baat aap ki theek hai mager mere kehne ka ye maqsad nahi hai k aap naoozobillah Allah k ahkamat k bare main behes karain mere kehne ka matlab ye tha k hum apne ye ghair zaroori riwaj kyun apnate hain is ka kya hal ho sakta hai k hum ye rasoom chor dain,
ye meri ghalti hai k maine apne topic main is baat ki wazahat nahi ki main is k liye maafi chahta hoon meri mods se guzarish hai k wo plz meri post edit ker k ye baatain add kerdain.
aur doosri jo aap ne baat ki k amal kerna zaroori cheez hai wo baat bhi aap ki theek hai mager apas mai baat kerne se bhi insan main aik khud aitemadi aati hai jhijhak khatam hoti hai aur kafi had tak ilm bhi hasil hota hai so please meri aap se ye guzarish hai k aap is topic main apni rai share karain.
ok thx for ur commnets waqar...
dear kuch batay is hud tak hum logo k khoon may ruch bss gaye hay k ap usay nikalna asa he hay jisay kise insan k jisam say khoon ki sare bonday nikalna...
hum is hud tak zehne or nafsiyate ghulam bun chokay hay dosre qoomo k
,k ab hamay ye rasmay ye riwaj hamaray apnay mashray ka akks nazar ate hay...
so dera may ab b kaho ge k agar hum 1 bar dil may ye soch lay k nae hamay ghaie zarore rasmay nae karne,chahay donia walay kitne he batay q na karay,kitna he mazaq q na uraye,hamay donia ko nae bal k Allah ko khush karna hay to shaied hum ahesta ahesta is waba say jan choralay...
warna to hamaray rub he hamara mohafiz ho....
 
  • Like
Reactions: waqas naseer
Top