Ghazab**Sagar Se Lab

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Is Saal Main Koi Pal

koi pal
is saal main koi pal to aisa ho
jo tera mera ho
jis main koi teesra na ho
hum dair tak ik doosray se batain karain
aur in baton ko sun `nay wala koi na ho
bas main aur tum hon
yunhi baithay baithay kis bhi choti si baat pe
hum be tahasha hans parain
hanstay hanstay aankhon main se
aansu nikal parain aur
in aansuon ko dekhnay wala koi na ho
aur bas main aur tum hoon
kaash is saal main koi pal to aisa ho
jo sirf tera mera ho

Main Ne Tujh Se Muhabbat Ki Hai

tere ikhlas se muhabbat ki hai
tere ehsaas se muhabbat ki hai
tu mere paas nahi phir bhi
teri yaad se muhabbat ki hai
kabhi tum ne bhi mujhe yaad ki ho ga
main ne un lamhaat se muhabbat ki hai
jin main hon sirf teri aur meri batain
main ne un auqaat se muhabbat ki hai
aur jo mehkay teri muhabbat se
main ne un jazbaat se muhabbat ki hai
tujh se milna to ab khuwab lagta hai
main ne tere intizaar se muhabbat ki hai
haan

Sagar Se Lab

Sagar Se Lab Laga Ke Bahut Khush Hai Zindagi
Sagar Se Lab Laga Ke Bahut Khush Hai Zindagi
sahan-e-chaman men aake bahut Khush hai zindagi
aa jao aur bhi zara nazadik jan-e-man
tum ko qarib paake bahut Khush hai zindagi
hota koi mahal bhi to kya puchate ho phir
be-vajah muskura ke bahut Khush hai zindagi
sahil pe bhi to itani shagufata ravish na thi
tufan ke bich aake bahut Khush hai zindagi
viran dil hai aur "Adam" zindagi kaa raqs
jangal men ghar banake bahut Khush hai zindagi

Ghazab

Chandni raat main chaand ke saamnay
rukh se pardah hatana ghazab ho gaya
chaandni chhup gayi chaand sharma gaya
aap ka muskurana ghazab ho gaya
dil ki dharkan meri tez honay lagi
raat aankhon main kaantay chubhonay lagi
wasl ki raat main baat hi baat main
yoon tera rooth jana ghazab ho gaya
jhoom kar kaali kaali ghata jab uthi
raat apni karwatain badaltay kati
kuch to mausam ne bechain rakha hamain
kuch tera yaad aana ghazab ho gaya
apnay hissay main toofan ki taqdeer thi
zindagi apni mojon ki zanjeer thi
doob janay ka apnay hamain gham na tha
us ka saahil pe aana ghazab ho gaya
[/img]
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

Ocean-of-love

Hot Shot
Nov 13, 2014
23,099
5,146
513

Bahut Umda.
 
Top