Ghazal Aur Nazm May Kia Farq Hay?

  • Work-from-home

Asma_tufail

TM Star
Dec 28, 2012
1,076
501
133
Ghazal aur nazm may farq:
Ghazal ka her she'r amoman (generally) mukhtalif maZameen(subject) per mushtamil hota hai , iska pehla she'r matla' kehlaata hai , jis ke donoN miSre'y hum radeef hum Qaafiaa hote haiN , baaQi asha'ar ke misra'-e-caani (dusra misra)meN Qaafia radeef hota hai aakhri she'r jis meN shaa'ir ka takhalus ho maQta' kehlaata hai , sub se ache she'r ko "shah bait" kehte haiN
ghazal kaa unwaan naheeN hotaa .

GHazal in 4 per mushtamil hoti hai
  • (a) radeef
  • (b) qaafiya
  • (c) matla'
  • (d) maqta'
Qafiya:

Qafia ghazal me aane wale hum'awaz or hum'wazn alfaz hote hain jo shair k radeef se pehle aate hain

Radeef:

radeef qafia k bad bar bar aane wala lazf hota hai.

MAtla:


Matla ka amtlab hay talu ya shuroo hone ki jaga Ghazal k pehle shaer ko Matla kehte hain

Maqta:

Maqta ka matlab hay qata karna ya khatam hone ki jaga ghazal k akahri shaer ko maqta kehte hain.

Nazm:-nazm ke lughvi maa'ni haiN "Peerona"

nazm ko aik hee mazmoon (subject) per bayaan kiyaa jaataa hai. is kaa har sher ek doosre se juRaa hotaa hai aur sab mil kar ek hee mazmoon (subject) bayaan karte hain aur nazm kaa ek unwaan hotaa hai.
Nazm meN matle' maQte' kee koi pabandee naheeN hotee


Nazm ki kismeN paai jaati haiN
1: ghazal numaa nazm (who nazm jis meN ghazal jese uSooloN ko lazim rakha jaaey
2: azaad nazm (woh kalam-e-mozoN jis meN Qaafia aur radeef na hoN lakin beHr ho)

@S_ChiragH @Dawn @saviou @Qawareer @masoom_se_chahat @Rubi @Don @ADVENTURER242 @DuFFer @nelly @SUBHAANA
********************************************************​
hmmmmmmmmmm niceee sharing hoorian
 
  • Like
Reactions: hoorain

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
ahhh interestign interview meko sab phir se parh k utna hi maza aaya jitna us time aaya tha apako tang kar k :p
un dino me k examz na hote to aur b maza aata :p

par in may wo Question to hya nhi nazzm n ghazal wala!
jee jee ham bhi kal parhe to bohot acha laga aur @Qawareer ko bohot miss kiye
wo sawal bhi hai aur uska takreeban jawab bhi wohi hai jo aap ne is thread me share kiye hain :p
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
jee jee ham bhi kal parhe to bohot acha laga aur @Qawareer ko bohot miss kiye
wo sawal bhi hai aur uska takreeban jawab bhi wohi hai jo aap ne is thread me share kiye hain :p
haan jee saviou bhaya aap ajldi se free ho akr aayain na ,,,phir se aapko us threa dmay tang karne ko dil akring :p
 
  • Like
Reactions: Qawareer

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
jee jee zaroor In Sha Allah :)
hamari ek aur bahen anaya ko bhi le ayen aap phir maza ayega
bhaya main to keh keh k thak gai hun pta nae kahan masruf hain wo,,ab to muje waise hi inna ghussa hay main nhi keh rhi kisi se aane ko p-(
aap khud bolain ab!
 
Top