Ghazals Collection :)

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kabhi sham dhal jaye
Koi rasta badal jaye
Kabhi ansoo nikal jaye
Koi deewar tham’on gi
Tum’hein phir sey bula’on gi
Khodi ko azma’on gi
Mein sach kehti hun meri jaa’n
Bohat ziada sata’on gi
Tum’hein mein yaad aon gi
Kabhi dil sey pukaro gey
Koi pal youn guzaro
Meri hi deed chaho gey
To meri yaad ka daman
Tumhara zabt torey ga
Tum’hein pal pal jalaye ga
Tum’hein itna sataye ga
Key sab sey dor ho key tum
Kabhi ansoo bahao gey
Bohat ziada satao gey
Bohat ziada rulao gey
Mujhey tum yaad aao gey
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Muhabbat is qadar mushkil amal hai
Itni zalim, itni sangdil hai
Agar maloom ho jata
To dil key agey hath rakh deti
Sar ko jhuka leti
Dil sey zidi bachey ko mana leti
Chaht’on ki rah itni kathin hai
Key apney ghair ho jatey hein
Dil mein dard bo jatey hein
Agar maloom ho jata
Bohat safak ho jati
Magar tum sey na ye sunti
Tum’hein mujh sey muhabbat hai
Kabhi tum sey na ye kehti
Mujhey tum sey muhabbat hai
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tum ko zabt kerna hai
Zabt bhi kamal ka
Neend sey nedhal ho
Dard be-misal ho
Jag ker bta dena
Zakhm zakhm ho jao
Phir bhi muskura dena
Tum ko sabar kerna hai
Khod pey jabar kerna hai
Khar khar kerna hai
Intezar kerna hai
Is gulab lamhey ka
Aitbar jo dey ga
Ikhteyar jo dey ga
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Jab jab sham dhaley gi
Dil mein werani utrey gi
Ankh’ein bhar ain gi
Dil dard ki sorat dhal jaye ga
Jab tu rasta badal jaye ga
To jana’n……
Hum tanha jee paen gey
Ya… mar jain gey..???
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Pehli pehli Muhabbaton ka khumaar,,
baton baton main raat dhal jaaye,,
ab k dil main woh dard utra hai,,
ghair mumkin hai aaj kal jaaye,,
zindgi khush hai tere wadon pe,,
jaisay bachay ka dil behal jaye,,
hijr ki raat dhal gayi mohsin,,
ab to dil se kaho sambhal jaye..
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tumhari AAnkhei?n kehti hai?n hisaar-e-Zaat se niklo
Tamanna meri bann jao Shab-e-Barbaad se niklo
Kinara tham lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do?purani yaad se niklo
Khayal-e-Yaar acha hai mager jis ne wafa na ki
Palat ker phir Sada na do, dar-e-feryad se niklo
Nahi koi Muhabbat bhi,hijr rutt bhi, raqabat bhi
Tou Yeh Dharka sa kiya kahiye, Wehem ki Ghaat se niklo
SukhanWar Hum se Kehta hai Saja lo AAnkh mein kuch Khwab
Dharakna dil ko sikhla do, Amawas Raat se niklo
Nahi Tumko Gawara ab Humara Qurb to keh do
Humare Karb ki Choro, Tum is Gardaab se niklo
Sar-e-Maqtal jo jate ho, na ho Darmandgi kuch bhi
Zamana Deikh Thamm jaye kuch is Andaaz se niklo
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tum Se Kuch Is Tarha Ki Chahat Ki Hai??.!!
Tumhare Baghair Zindagi Ka Koi Tasawur Nahi
Kuch Is Tarhan Se Tumhari Tamna Ki Hai
Hamaray Darmiyaan Hai Rahain Sadiyon Ki Khamoshiyan
Main Nay Tum Se Kuch Is Tarha Gufftagu Ki Hai
Meray Dil Main Baas Jao Tum Ruh-o-Muhabat Baan Kay
Main Nay Dil Ki Geherai Say Ye Ilteja Ki Hai
Tumharay Milnay Se Pehlay Main Khud Se Na Aashna Tha
Samjaha Hai Piyar Ko Jab Se Muhabat Ki Hai
Meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Se Hi Hein Wabasta
Main Nay Rab Se Tumhain Panay Ki Dua Ki Hai
Main Tumhain Cheen Longa Duniya Ki Rasmon Se
Main Nay Tumharay Liye Zamnay Se Baghawat Ki Hai
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Main Apni Raato?n Ki
Fursato?n Main
Tujhy Manao?n
Tou Maan Jana
Agar Kisi Din Main Apne
Aanshu Jo Le Ker Aao?n
Tou Maan Jana
Ye Ek Dil Jo Tumhai?n Dia Tha
Is ko bhi Tum ne Tor Dala
Shikista Dil Ki Jo
Khirchio?n Ko Samait Lao?n
Tou Maan Jana
Tu Khush Nahi Hai
Meri Baqa Par Tou
Sirf Itna Bata
Teri Khushi K Liye
Jo Suuli Pe Muskurao?n
Tou Maan Jana
Tu Badguman Hai Meri
Wafa Par Tou Sirf
Ek Baar Azma Le
Jo Haar Jao?n T
ou Laut Jana
Jo Jeet Jao?n
Tou Maan Jana ?
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Mai Kaise Rok Dun Apne Thirakte Kadamon Ko;
Ishara Hai Unka Abhi Nachte Raho.
Muddaton Baad Unhein Mudke Dekhna Bhi Kya;
Ger Wo Dekh Bhi Rahe Hon To Karna Bhi Kaya.
Khuda Ne Tere Lawon Ko Kya Haseen Mod Diya Hai;
Kayamat Ko Hi Jaise Khula Chhod Diya Hai.
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Jab Kabhi Fairist Bane Bewafa Logon Ki;
Awwal Number Pe Usmein Naam Mere Mehboob? Ka Likhna.
Yun To Mere Samne Usne Jamane Ka Haal Poocha;
Jane Kyun Ek Nazer Faqat Mujhper Nahi Padi.
Gujere Jamane Ki Kitab Ka Ek Safa Ban Jayeinge.
Ayega Bulawa Aur Hum Bhi Chale Jayenge.
Aakhir Kyun Na Ho Mujhko Gujere Jamane Ka Malaal;
Her Gum Ko Bhool Jata Hun Jab Aata Hai Un Lamhon Ka Khayal.
Raste Ke Mushafiron Ka Bharosa Kaisa;
Ayegi Unki Manzil Aur Humse Bichhad Jayenge.
Muddaton Baad Hua Aaj Phir Pareshan Dil;
Jane Kis Haal Mein Hoga Ab Mera Qatil.
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Abhi Na Tajurbekar Ek Naujawan Hain Hum
Akl Ki Baaton Mein Thode Bejuwan Hain Hum.
Ab Ho Gaye Gulam Unke Aashiki Mein Hum
Yun To Kal Tak Apne Dil Ke Badshah The Hum.
Ye Dil Ke Her Zidd Pe Dum Tod Raha Hai
Nadan Ki Khahishon Se Bade Pareshan Hain Hum.
Kya Daur Aa Gaya Hai? Ke Aaram Nahi Hai
Baithe Baithe Bhi Aaj Kal Rawan Rawan Hain Hum.
Chahein To Aasman Ko Jami Per Utar Lein
Bus Jara Kuwwat Se Apni Gumsuda Hain Hum.
Kal Waqt Ko Lautani Hain Ye Sari Takatein
Abhi To Apni Duniya Ke Shehenshah Hain Hum.
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Na To Manzil, Na Humsafer, Na Koi Karwan Hai
Raston Mein Bus Dhuan Dhuan Sa Hai.
Unke Daman Main To Chand Tare Hain
Mere Hisse Mein To Khali Aasman Hain.
Jakham Pe Jakham Diye Jata Hai
Dil Ko Lagta Hai Mera Meherban Hai.
Kai Roj Se Ye Dil Kahin Lagta Hi Nahi
Din Hai Veeran Veeran Ratein Gumzada Hain.
Jamane Ko Hua Unka Deedar Mager
Udher Se Munh Chhupa Ke Gujere Jidher Mera Makan Hai.
Jabse Bikhra Hua Saman Sajaya Hai Maine
Gher Bada Khali Khali Sa Ho Gaya Hai.
Jo Pankh Fadfada Ke Reh Jata Hai Akser
Dikhta Nahi Us Per Kahin Mahoul Ka Rand.
Is Sheher Main Shayad Wo Naya Naya Hai
Parinda Wo Abhi Jara Nadan Sa Hai.
Padausi Ka Haal Poonchun Ye Fursat Kahan Hai
Mera Chulha Khud Abhi Dhuan Dhuan Hai.
Mastghan Dar-E-Jehen Pe Kuchh Tikta Hi Nahi
Abhi Jamee Thi Abhi Aasman Hai.
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Rootha Yaar Manane Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai
Bigdi Baat Banae Mein Kuchh Waqt To Lagta Hai.
Gujere Daur Bhula Dete Hain Log Dushmani Ko
Lekin Sath Mein Saya Saya Khauf To Rehta Hai.
Beshak Bher Jata Hai Jakhm Merhum-O-Dawa Se
Lekin Uska Halka Halka Nishan To Rehta Hai.
Shehed Shehed Le Ud Jati Hain Naye Gher Ko Makkhiyan
Pichhli Sakh Pe Banke Kiraya Mom To Rehta Hai.
Nakam-E-Ishq Hona Bhi Fujool Nahi Hai
Taumra Ke Liye Koi Tajurba To Rehta Hai.
Husn-O-Shabab Ki Aadat Mana Pere Ne Chhuda Di
Kahin Kahin Per Dil Mein Waki Shauq To Rehta Hai.
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Aik Ass Ki Phansi Liye Man Main
Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho
Koi Deepak Ho Koi Tara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Jab Sawan Badal Chaiyee Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
ya shaam nay basti ghari Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Han Dil Ka Daman Pheela Ho
Kion Gori Ka Dil Mela Ho
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Doe Jharokey Main
Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Kya Jhagra Sood Khasarey Ka
Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka
Sab Sona Ropa Lay Jayee
Sab Dunya Dunya Lay Jayee
Tum Aik Mujhey Behteri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
By Ibne-Insha
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kaisay kahun ke kiya ho TUM
Chalo may bataon Kiya ho TUM
Meray leye mere Duniya ho TUM
Chho ke jo guzree wo Hawa ho TUM
May ne jo Maangee, Wo Duaa ho TUM
Karay Mujh ko jo Roshan, Wo Diya ho TUM
Dil yeh kahay mera Jiya ho TUM
Kiya may ne Mehsoos wo Ahsaas ho TUM
Mere Nazar ke Talash ho TUM
Mere Zameen ka Aakaash ho TUM
Meray Chehray ke Kashish ho TUM
Meray Sitaroon ke Gardish ho TUM
Mere Zindagi ka Qarar ho TUM
May ne jo Chaha wo PIYAR ho TUM
Meray Intezaar ke RAHAAT ho TUM
Meray DIL ki Chahat ho TUM
TUM ho to yeh Duniya hai MERE
Kaisey kaho ke Mere ?JAAN? ho TUM
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan peh bayth k jati ho
main waheen pe betha rehta hoon
us cheez ko choota rehta hoon
main aisi mohabbt karta hoon
tum jis se huns k milti ho
main us ko dost banata hoon
tum jis rustay par chalti ho
main us say aata jata hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jin ko daykhti rehti ho
wo khuwab?.sarhanay rakhta hoon
tum say milnay julnay k
kitnay hi bahanay rakhta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
tum jahan bhi bayth k jati ho
jis cheez ko hath lagati ho
main waheen peh baytha rehta hoon
us jaga ko choota rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
kuch khuwab saja kar aankhoon main
palkon say moti chunta hoon
koi lums agar choo jaa a to
main pehroon us ko sochta hoon
main?aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jin logon main tum rehti ho
tum jin say batain karti ho
tum jin say huns k milti ho
jo tum ko achay lagtay hoon
wohi mujh ko achy lagtay hain
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
jis bagh main subh ko jati ho
jis sabzay par tum chalti ho
jo shakh tumhain choo jati hay
jo khushboo?tum ko bhati hay
wo os tumharay chehray par
jo qatra qatra girti hai
wo titli chor k phoolon ko
jo tum say milnay aati hai
jo tum ko choonay aati hay
un sab k nazuk jazbon main
meray dil ki dharkan basti hai
miri rooh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya door raho
nazron main samai rehti ho
main tum ko takta rehta hoon
main tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
her moqay par her manzar main
main sath tumharay rehta hoon
main chashm-e-tasavvur main aksar
bus tum ko dekhta rehta hoon
bus tum ko sochta rehta hoon
main aisi mohabbat karta hoon
tum kaisi mohabbat karti ho
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN
kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN
kyaa bataauuN ke mar nahiiN paataa
jiite ji jab se mar gayaa huuN maiN
ab hai bus apna saamnaa darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN
voh hii naaz-o-adaa, voh hii Ghamze
sar-ba-sar aap par gayaa huuN maiN
ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN
kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab keh vaaN umr bhar gayaa huuN maiN
tum se jaanaaN milaa huuN jis din se
be-tarah, Khud se dar gayaa huuN maiN
kuu?e?jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Dost ban kar bhi nahi sath nibhanay wala
Wohi andaz hay zalim ka zamanay wala
Ab usay logg samjhtay hay giraftar mera
Sakhat nadim hay mujhay damm may lanay wala
Subhadam chore gaya nighatay gull ki sorat
Raat ko guncha-e-dill may simat anay wala
Kia kahain kitnay marasam they hamaray us say
Wo jo ik shaks hay moou phairr kay janay wala
Teray hotay huway a jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi anay wala
Muntazir kiss ki hoon toti hoi dehliz pay may
Kon aye ga yahan , kon hay anay wala
Kia khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sara-e-dar bhi lanay wala
May nay dekha hay baharoon may chaman ko jaltay
Hay koi khuwab ki tabeer batanay wala
Tum takluf ko bhi ikhlase samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milnay wala
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
MaiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa
ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa
ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa
dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa
maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
ko?ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa
kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye
jo be-amal hai vo badlaa kisii se kyaa legaa
hazaar toRh ke aa jaauuN us se rishtaa ?Waseem?
maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa
 
  • Like
Reactions: Chaya

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
suna hai log usay aanh bhar kay daikhtay hai
so uskay shahar main kuch din thehar kay daikhtay hain
suna hai rabt hai usko kharab haloon say
so apnay ap ko barbad kar kay daikhtay hain
suna hai dard ki gahak hai chashmay naz us ki
so hum bhi uski gali say guzar ke daikhtay hain
suna hai us ko bhi hai shar-o-shairy say shagaf
so hum bhi mojzay apnay hunar ke daikhtay hain
suna hai bolay to batoon say phool jhartay hain
ye bat hai to chalo baat kar ke daikhtay hain
suna hai raat usay chand takta rehta hai
sitare bahme falaq se utar ke daikhtay hain
suna hai din ko usay titliyan satate hain
suna hai raat ko jugnu taher kay daikhtay hain.
suna hai us kay badan ki tarash aise hai
kay phool apni qabahain qatar kay daikhtay hain
suna hai us kay shbistan say mutassil hai bahisht
makeen udhar kay bhi jalway idhar kay daikhtay hain.
suna hai rukay to gardishain us ka tawaf karti hain
chalay to us ko zamanay tehar kay daikhtay hain
kisay naseeb kay bay perhan usay daikhay
kabhi kabhi daro dewaar ghar kay daikhtay hain
kahanian hi sahi sab mubalgay hi sahi
agar woh khuwab hai tabeer kar ke daikhtay hain
ab us kay shaher main tehrain ke kooj kar jain
faraz ao sitare safar kay dhaiktay hain
 
  • Like
Reactions: Chaya
Top