Ghazals Collection :)

  • Work-from-home

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
ہجر کی شب، مری تنہائی پہ دستک دے گی
تیری خوشبو، مرے کھوۓ ہوۓ خوابوں کی طرح...
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
dost dost naa raha, pyar pyar naa raha
jindagi hame tera aitbar na raha, aitbar na raha
dost dost naa raha, pyar pyar naa raha
jindagi hame tera aitbar na raha, aitbar na raha
amaante mai pyar ki gaya tha jisko saunp kar
woh mere dost tum hee the, tumhee toh the
jo jindagi kee raah me bane the mere hamsafar
woh mere dost tum hee the, tumhee toh the
sare bhed khul gaye, raazdar naa raha


jindagi hame tera aitbar na raha, aitbar na raha
gale lagi sahem sahem, har ek gale bol ke


woh tum na thi to kaun tha, tumhi to thi
safar ke wakt me palak pe motiyo ko taulti


woh tum na thi to kaun tha, tumhi to thi
nashe kee raat dhal gayi ab khumar naa raha


jindagi hame tera aitbar na raha, aitbar na raha
wafa ka naam leke jo dhadak rahe the har ghadi


woh mere nek ek dil tumhi to ho
jo muskura ke reh gaye, zehar ki jab sui gadi


woh mere nek ek dil tumhi to ho
ab kisika mere dil intzar na raha


jindagi hame tera aitbar na raha, aitbar na raha
dost dost naa raha, pyar pyar naa raha
jindagi hame tera aitbar na raha, aitbar na raha



 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Ab Tak Kisi Ne Na Samjha Hamein Apna,
Hamin Kyun Fir Sabko Apna Kahte Hain,
Tumne Kaisa Banaya Hai Humko Eh Khuda,
Sitam Kyu Sabke Hum Chup Chap Sahte Hain.
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
ایک چہرے میں تو ممکن نہیں اتنے چہرے
کس سے کرتے جو کوئی عشق دوبارا کرتے

جب ہے یہ خانہ ء دل آپکی خلوت کے لئے
پھر کوئی آئے یہاں ، کیسے گوارا کرتے
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Kab Yaad Main Tera Sath Nahi
Kab hath main tera hath nahi,
sad shuker ki apni raaton main,
ab hijar ki koi raat nahi,
mushkil hain agar halaat wahan,
dil beech aayen jaan dey ayen,
dil walo kocha-e-jaana main,
kia aise b halaat nahi?
jis dhaj se koi maqtal main gaya,
wo shaan salaamat rehti hai,
yeh jaan to aani jaani hai,
iss jaan ki koi baat nahi,
medaan-e-wafa darbaar nahi,
yahaa naam-o-nasab ki pooch kahan,
aashiqi to kisi ka naam nahi,
kuch ishq kisi ki zaat nahi,
gar bazi ishq ki bazi hai,
jo chaho laga do dar kaisa,
gar jeet gaye to kia kehna,
haarey b bazi to maat nahi....
Kab Yaad Main Tera Sath Nahi...
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Aana meri qabar par do phool chara jana,
rona na aaye muskra k chaley jana...
meri qabar pe ek baar zaror aana,
magar shart hai ansu na bahana...
taklif hogi rooh ko b anso jo ap k niklen ge,
rooh roye gi meri rooh ko na tarpana...
tere khawabon main aya karon ga zarur,
kabi yaad kar k meri mohabbat ko azmaya karna...
meri qabar pe phool na charna ansuon k,
bus aa kar qabar par apni mohabbat ka saya karna...
meri dua hai tere ghar khousbo say bhara rahe,
meri yaad main na khona kabi udas ho kar...
apne humsfar ki aahosh main so jaya karna,
kabi ro kar mat pukarna mujhe,
main wahan se laut kar wapis na aaoun ga...
Ana Meri Qabar Par Do Phool Chara Jana..!!
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain
Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay
Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti
Usay khud say Muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo
Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha
Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi
Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha...
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Mohabbat ki kitaabon ka abi masuam nahi aya,
yahan khiltey gulabon ka abi mausam nahi aya..
isi veerangi se hum ne kuch samaan karney hain,
safar main ham rakabon ka abi mausam nahi aya...
andehri raat ban kar jam gaya hai apni ankhon main.
chamaktey aaftaabon ka abi mausam nahi aya...
mujhe barbaad jazbon ki haqeeqat ko parkhna hai,
mere dil main sarabon ka abi mausam nahi aya...
abi to jisam apna urti mojon k hawaley hai,
kaheen haseen khawabon ka abi mausam nahi aya..
yahan paicheda baten kar k hi asaniyan rehti hain,
yahan seeday jawabon ka abi mausam nahi aya...
miley fursat to tujh ko b kuch saaf kar ley ga,
tere pichle hisabon ka abi mausam nahi aya...
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Hamara yeh tum ko salam akhri hai,
suno aj tum se kalaam akhri hai,
agar ho sakey to dhula dena hum ko,
ye hi ik chota sa kam akhri hai,
abi arzu'on k sehra piyase hain,
magar ansoun ka yeh jaam akhri hai,
teri bewafi ka shikwa yeh akhir hai,
yehi to wafaon ka inaam akhri hai,
mariz-e-mohabat ka ay chara sazo,
tumare shehar main ye sham akhri hai,
zara dair thehro qaza k frishto,
labon pe hamara yeh piyam akhri hai,
koi mil sake ga na hasrat se jesa,
teri adaon ka yeh ghulaam akhri hai...
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Udas Main Tha Sara Shehar Roney Laga..!!
Udas Main Tha Sara Shehar Roney Laga,
aaj mera sanam kisi or ka honey laga,
mera chain khoney laga mujhe dard sa honey laga,
jo mera humdard tha yaaro wo kisi or ka honey laga,
wafa ka paikar tha sanam mera,
janey kyun bewafa honey laga,
sansen rukne lagi dil b roney laga,
mera pyaar kisi or ka honey laga...
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Hum tery hijer main ander se toot jaty hain
zinda rehty hain mager ander se toot jaty hain
jab kabhi bolta hai hans ke kisi aur se tu
kitny hanjer mery seeny main uter jaty hain
teri yadoon ki agerbattiyan jall uthty hi
hum tery derd ki khushboo se bher jaty hain
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Teri Ibtida Koi Or Hy
Teri Intiha Koi Or H
Teri Bat HumSe Hui To Kya
Teri Soch Mai Koi Or Hy
Hame Shouq Tha Bari Dair Se
K Tere Sharek-e-Sfar Rahain
Tere Sath Chal k Khabar Hui Tera Rasta Koi Or hy,


Armaghan Khan
Karachi
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Ek Bewafa Ko Ham Ne Is Dil Mein Jaga Di Thi
Khawboon Ki Dunya Apni Us Se Hi Saja Di Thi
Chaaha Tha Us Ko Ham Ne Khud Se Bhi Barh Kar
Us Chaahat Mein Ham Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi
Malom Nahi Tha Ham Ko Wo Bewafa Bhi Ho ga
Us Per Bharosa Kar k Khud KO Hi Saza Di Thi
Socha Tha Sath Mill K Katain Gay Zindagi Ko
Us Ne To Aik Pal Mein Hi Har Baat Buhla Di Thi
Kaisa Sitam Hai Dekho Wo Kab Se Juda Hai Mujh Se
Apni Zindagi Jis Ka Saaya Sa Bana Di Thi
Kiya Tha Us Per Bharosa Kiun Had Se Bharh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Tumhe jb kabhi mile fursat meray dil se bhoj utaar do
Main bht Dino se udaas hoon muje koi shaam udhaardo
Ksi or ko meray haal se na koi garz hai na waasta
Mai bikhar gya hoon samait lo, Mai bigar gya hoon sanwaar do
Muje apnay roop ki dhoop do k sanwar Sakain mery Khaad o khaal
Muje apny rang Mai rang lo mery Saray zang utaar do...!
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
تُمہارے بعد گزریں گے بھلا کیسے ہمارے دن
نومبر سے بچیں گے تو دسمبر مار ڈالے گا
 

Untamed-Heart

❤HEART❤
Hot Shot
Sep 21, 2015
23,621
7,455
1,113
دراز پلکیں غزال آنکھیں ,,,
مصوّری کا کمال آنکھیں ...
اٹھیں تو ھوش و حواس چھینیں ,,,
گریں تو کر دیں کمال آنکھیں ...
کوئی ھے ان کے کرم کا طالب ,,,
کسی کا شوق وصال آنکھیں ...
نہ یوں جلائیں نہ یوں ستائیں ,,,
کریں تو کچھ یہ خیال آنکھیں ...
ھیں جینے کا بہانہ یارو ,,,
یہ روح پرور جمال آنکھیں ...
شراب رب نے حرام کر دی ,,,
مگر کیوں رکھیں حلال آنکھیں ...
ہزاروں ان سے قتل ھوئے ھیں ,,,
خدا کے بندے سنبھال آنکھیں...!!


@saviou @Pari @Aks_ @Authentic_Sitara @Shiraz-Khan @Fanii @AnadiL @Bird-Of-Paradise @Parisa_ @Zahabia @Guriya_Rani @Ahmad-Hasan @Armaghankhan @-Anna- @Aaylaaaaa @chai-mein-biscuit @CuTe_HiNa @fahadhassan @Ramsha_Cat @shehr-e-tanhayi @zaryaab @Ziddi_anGel @khalid_khan @seemab_khan @raaz the secret @Syeda-Hilya @Hoorain

 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
سحر ہوئی تو مِرے گھر کو راکھ کرتا تھا_!
وہ اِک چراغ جسے رات بھر بچایا ہے __!
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa
Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa
Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na Liyaa
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar GirebaaN Ko Ham Ne Si Na Liyaa
Tamaam Masti O Tishnaa-Labii Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meenaa Liyaa
‘Faraz’ Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liyaa
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Darwaza Jo Khola To Nazar Aaye KhaRe Woh
Hairat Hai Mujhe Aaj Kidhar Bhool PaRe Woh

Bhoolaa Nahi Dil Hijr Ke Lamhaat KaRe Woh
Ratein to BaRi ThiN Hi Magar Din Bhi BaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai BigRa Hai Agar Woh
Us Ki To Ye Aadat K HawaaoN Se LaRe Woh

KyuN Jan Pe Ban Aai Hai Bigra Hai Agar Woh
Us Ki To Ye Aadat K Hawaon Se LaRe Woh

Alfaz Thay Us Ke K Bahaaron K Payaamaat
Khushbu Si Barasne Lagi Youn Phool JhaRe Woh

Har Shakhs Mujhe Tujh Se Juda Karne Ka KhaaahaN
Sun Paye Agar Aik To Das Ja K JaRe Woh

Bachche Ki Tarah Chand Ko Choone Ki Tamanna
Dil Ko Koi Shai De De To Kia Kia Na ARe Woh

ToofaaN Hai To Kya Gham Mujhe Awaz To Dejiye
Kya BhooL Gaye Aap Mere Kachche GhaRe Woh!
 

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
ZamiiN kaisi lagegi, aasman kaisa lagega
Hamare baad tumko ye jahaaN kaisa lagega
Thake haare hue suraj ki bhigi raushni men
HawaaoN se ulajhta baadbaaN kaisa lagega
Jame qadmon ke niche phisalti jaegi ret
Bikhar jaegi jab umr-e-rawaaN kaisa lagega
Isi miTTi men mil jaegi punji umr bhar ki
Giregi jis ghaRi diwar-e-jaaN kaisa lagega
Bahut itra rahe ho dil ki bazi jeetne par
Ziyan baad az ziyan baad az ziyan kaisa lagega
Wo jis ke baad hogi ek musalsal be-neyazi
GhaRi bhar ka wo sab shor o fughan kaisa lagega
Abhi se kya bataen marg-e-majnun ki KHabar par
Suluk-e-kucha-e-na-mehrbaaN kaisa lagega
Batao to sahi ai jaan-e-jaan kaisa lagega
Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega
 
Top