Ghusul Ka Tareeqa..

  • Work-from-home

KhooniBacah

Newbie
Aug 21, 2011
1
0
0
Kya koy mujhe sahi GHUSUL ka tareeqa Urdu main bata sakta hai??

Aur mujhe thori see details bhi chaye hain, regarding to Ghusul, So please help me...
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Kya koy mujhe sahi GHUSUL ka tareeqa Urdu main bata sakta hai??

Aur mujhe thori see details bhi chaye hain, regarding to Ghusul, So please help me...

Assalamu Alaykum Wrwb :)
shukriya apke is sawal ke liye

Gusl ka masnoon Tareeka:

(1) Hazrat Maymona bayan kerte hain k Rasool (SAW) ne gusl ka irada fermaya tu sab se pahle donu hath dhoya, phir sharmgah ko dhoya, phir baya hath dhoya, jess se shermgah ko dhoya tha zameen per ragra phir usko dhoya phir kli ko aur naak mei pani dala, phir chahra dhoya, phir khino tuk hath dhoye phir ser per pani dala aur balo ki jaru tak pani phaunchaya.
teen baar sir per pani dala, phir tamam badan per pani dala, phir jaha aap nay gusl kiya tha us jagah se hut ker pao dhoye.
(Bukhari,Al-Gusl,baab Al-Wadu qable Al-Gusl, hadees 259 aur Baab gusl hera wahida,hadees 357,259,260,265,274,276,281 aur muslim Al-Haiz,baab sufa gusl Al-Janaba hadess 317)



(2) Hazrat Aisha se rewayat hain k jub Rasool (SAW) gusl janabat fermate tu pahle apnay donu hatho ko dhote phir daye hath se bhaye per pani daal ker shermgah dhotay, phir namaz ki terhe ka wazu kerte es k baad hatho ki unglio se sir k balo ki jaru ko pani se ter kerte, teen lap pani sir per dalte aur phir sare badan per pani bahate (Akhir mei ek dafa) phir donu pao dhote.
(Bukhari, Sahih muslim kitab Al-Haiz baab safa Al-Gusl Al-Nejaba).



Note: es k elawa Juma ka gusl, Eid k den gusl, koi Shakhs ager Muslman hua hain tu us ko bhi gusl dena sunnat se sabit hai.

mazeed maloomat ke liye aap is thread par nazar dalen :)
http://www.tafrehmela.com/islam/162923-gusl-ka-tareeqa-ahadees-ki-roshni-me.html
 
Top