Gurez........

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
mira junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa tera fasoon-e-zebaaii
un aarzooN pe chhaii hai gard-e-maayoosi
jinhoN ne tere tabassum meiN parvarish paaii

fareb-e-shauq ke raNgeeN talism TuuT gaye
haqeeqatoN ne havaadis se phir jalaa paayii
sukoon-o-Khwaab ke parde sarakte jaate haiN
damaaGh-o-dil meiN hai vahshat ki kaar-farmaaii

vo taare jin meiN muhabbat ka noor taabaaN thaa
vo taare Doob gaye le ke raNg-o-raa�naaii
sulaa gayii thiiN jinheiN teri multafat nazreiN
vo dard jaag uThe phir se le kar aNgRaaii

ajeeb aalam-e-afsurdagii hai roo ba-faroGh
na ab nazar ko taqaazaa na dil tamannaaii
tiri nazar, tire gesu, tiri jabeeN, tire lab
mirii udaas tabee�yat hai sab se uktaaii

maiN zindagii ke haqaa�iq se bhaag aaya thaa
k mujh ko Khud meiN chhupaa le tiri fusooN-zaaii
magar yahaaN bhi ta�aqub kiyaa haqaa�iq ne
yahaaN bhi mil na sakii jannat-e-shakeb�aaii

har ek haath meiN le kar hazaar aa�eene
hayaat baNd dareechoN se bhi guzar aayii
mire har ik taraf se ek shor gooNjaa hai
aur us meiN Doob gayii ishratoN ki shahnaaii

kahaaN talak koii zindah haqeeqatoN se bache
kahaaN talak kare chhup chhup ke naGhma pairaaii
voh dekh saamne ke pur-shikvaa aivaaN se
kisii kiraaye kii laRkii kii cheeKh Takraaii

voh phir samaaj ne do pyaar karne vaaloN ko
sazaa ke taur pe baKhshii taveel tanhaaii
phir ek teerah-o-taareek jhoNpaRii ke tale
sisakte bachche pe bevaah kii aaNkh bhar aaii

voh phir bikii kisii majboor kii javaaN beTii
voh phir jhukaa kisii dar pe Gharoor-e-barnaaii
voh phir kisaanoN ke majmooa� pe gun-mashiinoN se
haqooq yaaftaa tabqe ne aag barsaaii
sakoot-e-halqa-e-zindaaN se ek goooNj uThii
aur us ke saath mire saathiyoN kii yaad aayii

nahiiN nahiiN mujhe youN multafat nazar se na dekh
nahiiN nahiiN mujhe ab taab-e-naGhmaa pairaaii
miraa junoon-e-vafaa hai zavaal aamaadah
shikast ho gayaa teraa fasoon-e-zebaaii
 
Top