main us din news channel dekh rahi thi kay aik khabir ayi k aik zalim mard do(2) masom sachool jati larkiyoun say ziyati ki jis ki bina par wo dono hospital main hain.ya zalim ziyati karty waqat ya kyun nahi sochaty kay ager un ki bahan bayti say aysa kary koi tu un ko kaysa lagay ga.mayra tu jaysay khoon khool uta x-(.Pakistan main rahnay walay mardon ki man made society main kiya unhain kuch bhi karnay ka haq hai.baray islam main chalany walay kahan hain kiya islam main yahi hai kay mard jo chahi azad hai aur aurat ghulam.phir maujhy wo waqiya yad aya kay waziristan main jis larki ko koray maray gay,aur us ki videos internet par,web par,news par har taraf issue kar di gai sirf is waja sy kay us ka boyfriend us say milanay gaya tha,kiya ya hai hamar islam?kiya ya log yahan ki society ko dekha rahy hain dekho hamri ghayrat kay hum baytiyoun par islam tasalut karty hain lakin khud azad hain.ya aj say nahi kab say chala a raha hai aur wahan is kay baray main bolnay wala tuo koi nahi hai.kahan gay politicians,moulanas himat nahi hai un ki sach ka sath denay kay liya . ya un ko ya nahi malom ka ager Islam nay zina ki saza 80 lashes rahi hai tu dono kay liya mard kay liya aur aurat kay liya.janay aysay kitnay zalim dandanty phir rahy hain koi pochany wala nahi.raha sawal women organizations ka tu un ko sirf paysay aur donations say matalab hai. AKHIR IS QAUM KI AURAT KO HAQ KYUN HAI MILTA,INSAF KYUN NAHI MILTA Kyunnn.....