hiraas

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
tere hoNThoN pe tabassum ki vo halki si lakeer
mere taKh’eel meiN rah rah ke jhalak uThti hai
yuuN achaanak tire aariz ka Khayaal aataa hai
jaise zulmat meiN koi shama’ bhaRak uThti hai
tere pairaahan-e-rangeeN ki junuuNKhez mahak
Khwaab ban ban ke mire zehan meiN lahraati hai
raat ki sard Khamoshi meiN har ik jhoNke se
tere anfaas, tire jism ki aaNch aatii hai
maiN sulagate hue raazoN ko ayaaN to kar douN
lekin in raazoN kii tash_heer se jee Dartaa hai
raat ke Khwaab ujaale meiN bayaaN to kar douN
in haseeN KhwaaboN ki taa’beer se jee Dartaa hai
tere saaNsoN ki thakan, teri nigaahoN ka sukuut
dar-haqeeqat koi rangeen sharaarat hi na ho
maiN jise pyaar ka andaaz samajh baiThaa houN
vo tabassum vo takallum teri aadat hi na ho
sochtaa houN ki tujhe milke maiN jis soch meiN houN
pahle us soch ka maqsoom samajh louN to kahouN
maiN tire shahr meiN anjaan houN pardesi houN
tere altaaf ka mafhoom samjah louN to kahouN
kahiiN aisa na ho ki paaNv mire thraa jaayeiN
aur tiri marmari baahoN ka sahaaraa na mile
ashk bahte raheiN Khaamosh siyah raatoN meiN
aur tire reshmi aaNchal ka kinaaraa na mile
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top