Imaan KI roshni--part 1

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Asalamo aliekum

shurooh karti hu Allah pak k babarkat name se jo saaray jahano ka malikrehman aur raheem hai(beshak)

imaan hai kiya

kalma parhna ?
jis se nonmuslim muslim ban jata hai

ye to hua first step jab zaban se keh dea tois ka matlab pehlay dil main aya hoga bad main zuban se ada kiya....imaan lana koi aam bat nahi k pehlay mun se nikle gaya bad main socha k kiya keh rahay hain..

jab insan islam main dakhil hota hai aur beshak muafkeen k ilawa ki bat karrahi hu jab dil se is main dakhil hua to firstly kalma tayeb parh k zuban se iqraar kiya k

Allah 1 hai aur ap (SAWW) akhri rasool hain

islam lanay se insan k pichlay saray gunah Allah pak muaf farma deta hai phir arkaan ki adyegi main jis rukun ko bohat ahmiat hasil hai wo namaz hai..

Allah pak nay hum se pichli ummat par namazain farz ki lakin umatt-e-muhamdi par 5 waqt ki farz kar k aur us ka uthna bethna bhi aisa k har ibadat us main ajye yani aasmano par farishto nay jo ibadat ikhtiyaar kar rakhi hai aur Allah pak nay jo un par farz ki hai hamari namaz un sub ka nichor hai.

kuch farishtay alam-e-rukooh main hain kuch sajday main hain kuch tasbeeh karrahay hain

zara ghor farmyen k hamari namaz ka kiya aalam hoga jis k baray main ye hadees hai k namaz momin ki mairaaj hai...

ye mairaaj ka matlab kiya hai ye kiya hota hai?

mairaaj to wo hai na jo huzur-e-paaak (SAWW) nay apnay rab se mulaaqat ki...to us ko mairaaj kaha gaya

lakin kitna karam hai is ummat par is ki namaz k zarya hi usay wo ata kia jaraha hai jo nabi ko mila hai yani momin apnay rab se hamkalam jab hota hai to wo farsh pay reh kar arsh ka mushaheeda farmata hai(subhanAllah).

ab momin kon hai?? momin kis ko kehtay hain??

(continued)
 
Top