Imaan KI roshni--part 2

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Momin kon hai

piyaray saathion momin ka image zahan main atay hi hamary zahan main 1 aisa shkas ata hai jis nay tasbeeh utha rakhi ho lambi daarhi ho etc ...lakin kabhi kisi aam shks ko dekh kar aisa khayl zahan main nahi ta aam longo se muraad wo hain jo daily life main hamary ird gird nazar aa hi jatay hain jinhain dekh kar wesa ahtraam zahan main nahi ata aur aye bhi kyn kiya kisi k ahtraam k liya us k samnay jhuk jana chaheya us ko uth kar galay se lagna chaheya nahi na ab aisa b kiya???

lakin agar koi aisa shaks samnay aye jo buzurg lag raha ho tasbee hath main ho hum to aisa hi karain gay na bhui apni apni soch hai kuch log nahi bhi kartay ..bat horahi hai

momin hona aur momin nazar ana ab pata to Allah paak ko hai k momin kon hai yeah hum nahi jantay kyn k ghaib ka haal sirf Allah janta hai.......lakin 1 baat hai piyaray dosto ye jo momin hotay hain na wo kisi na ksi tarha kuch na kuch pata lag hi jatay hain ya to apni kuch special adaat se ya deen ki khidmat khalis tareekay se kartay huay etc ..hum unhain acha jaantay hain akhir kyn un k faces ko dekh kar hamaray face par sukoon sa ajata hai akhir kyn un ki qurbat main beth kar hum bhi kuch acha acha sa apnay ap ko feel karnay lagtay hain kia waja hai?

waja ye hai jab imaan ki roshni main banda poori tarha apnay ap ko dhaal laita hai...to us k ang ang se wo roshni ki lehrain niklti hain jo us k mukhatib ko apni roshni k hisaar main lay laiti hain...for example

ap red light main bethay hain ap jantay hi hain na k red color khatrnaak man jata hai is ki rays bhi agar insaan par daali jyen to to bp shoot karnay lag jye ye jo rang aur roshni ka ilaaj hai in main har color ki alag properties hain to bat horahi hai roshni ki to batyen jab ap red color main bethain gay to kiya hoga aur jab chaand jaisi thandi roshni ap par par rahi ho to kiya hoga asal main Allah paak nay insan ko apnay noor se takhleek kiya

(continued)
 
Top