Imaan KI roshni--part 3

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
noor se takhleeq k baray main pehlay b bat hui thi ye to sub jantay hain k Allah nay apni rooh phoonki insan main quran-e-paak main likha hai

aur hum nay apni rooh dal de insan main
aur Allah taala khd farmatay hain k Allah noor hai zameen aur aasman ka jab aisi bat hai to insan k ander bhi noorani lehrain mojood hain Allah nay insan ko khufya khaza bana dea hai saath main ilm bhi de diya apnay jab momin unhain use karta hai sahi tareekay se un cheezo ko follow karta hai jo us ko batye gai hain to us par Allah taala apnay fazlo karam se roohani dunya ka inkshaaf farmtay hain ye roohani dunya ka momin k batin main darwaza khulna bohat bari bat hai...

hum main se aksar log ye batain kartay hain yaar wo namaz partha hai phir b aisa hai us ka faida hi kiya dekhaway ki darhi rakh li hai waghaira waghaira 1 kaam jab hum khud nahi karrahy to doosro ko bhi tanz karray hain beshak har insan k amaal us k sath hain lakin ye kehnay se behtar hai insan kahay k Allah paak ujhay b tofeeq de k main b teri baargha main namaaz parh saku..naik amaal kar saku..

muslim se momin bannay ka safar aisa hai jesa ap pahaar par charhna chahtay hain lakin raastay hain kaantay hain baar baar daman ulajhtahai thokar lagti hai lakin ap apna safar jaari rakhtay...

har musalman momin nahi hota lakin hum niat to kar saktay hain na k marnay se pehlay pehlay ya Allah hamain apna khushnoodi hasil kiya hua banda hi uthana Allah se naik guman rakhna naiki hai aur Allah is ko pasand farmata hai....Allah nay khud farmaya Allah k sath jaisa guman rakho wo wesa hi hai.

sochnay ki bat hai hum main se kitnay log nashukri kartay hain
aur ye kehtay huay pye gai hai hamari to Allah sunta nahi aur nau zubillah dua ka kiya faida jab qubool nahi hoti ...astaghfiruula jis jis nay bhi aisay kufria kalmaat kahay hain aur nashukri ki hai wo foran Allah k huzoor toba kar lay Allah saray muaf karnay walo main seb se bara muaf karnay wala hai..

hamara yaqeen aur guman hona chaheya k Allah hamain apnay pasandeeda bando main shamil karay ga INshAllah ..

(continued)
 
Top