Imaan KI roshni--part 4

  • Work-from-home

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
Allah pak nay insan k ander noor k besh baha khazanay rakhay aur musalman un se kiya faida hasil karsakta hai?

asal main hamara jism ki yani insan jo hai na wo 2 part par mushtamil hai

1 rooh 2nd physical body

jab rooh sath chor jati hai to jism to kisi kam ka nahi rehta usko dafna dea jata hai lakin rooh ALlah k hukum se hamesha jab tak wo chahay ga qaim rahay gi..

in dono part main se kis ki life ziada hoti hai zahir hai rooh ki jism to wesay bhi modify hota rehta hai development rehti hai kabhi toot phoot ka shikaar hogaya aur phir mitti main mil gaya phir qayamat main abhi tak is par kisi nay koi khas rai nahi batai k Allah paak isi jism k saath uthye ga ya naya hoga behar haal ye to Allah behtar janta hai..

sub se pehlay bat kartay hain jism(physical body ) ki

padisah se lay kar marnay tak har insan ki needs hain khana pehna orhna emotions etc .
jism ki need hai nutritions kyn k Allah nay is ko zaroori kar dea warna hamri body healthy nahi ho paye gi aur yahi nahi kitni cheezain hain vitamins hain jo doctors kehtay hain k unhain laina hamary liya zuroori hai lakin hum khanay par majboor hain 1 nail bhi toot jye to fikar hoti hai akhir aisi kiya kami hogai k nails toot rahay hain

eyes main dard ho to din raat ki neendain kharab doc se appointment k kuch karain kahi week na hojyen..

gharz jism k har hissay k liya hum kitna care kartay hain hamain apni body ka kitna khayal hai us ki ghiza k liya hum majboor bhi hain...kiya khana peena hamari rooh par asar andaaz hota hai usay to zuroorat nahi hamari ghiza ki lakin kyn k body k liya Allah nay ye lazim kar dea is liya jism k liya to zuroori hai na...

ab atay hain roohani cheezo ki taraf jab rooh ko zuroorat nahi hamari physical body ki ghiza ki kyn k marnay k bad insan kuch khata peeta nahi to kiya life main zinda insan k khanay peenay aur kiya kuch cheezain aisi hosakti hain jin ka asar jism se rooh par ho???

(continued)
 
Top