jeene se dil bezaar rahe har saaNs ik aazaar rahe

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
33
jeene se dil bezaar rahe
har saaNs ik aazaar rahe
kitnii hazeeN hai zindagii
andohageeN hai zindagii
vo bazm-e-ehbaab-e-watan
vo ham-navaayaan-e-watan
aate haiN jis dam yaad ab
karte haiN dil naashaad ab
guzrii huii raNgeeniyaaN
khoii huii dilchaspiyaaN
pahroN rulaati haiN mujhe
aksar sataati haiN mujhe
vo zamzame vo chahchahe
vo rooh-afzaa qahqahe
jab dil ko maut aayi na thii
yuuN be-hisii chhaii na thii
‘kaalij’ ki raaNgeeN vaadiyaaN
vo dil-nisheeN aabaadiyaaN
vo naazneenaan-e-watan
zohra-jabeenaan-e-watan
jin meiN se ik raNgeeN qabaa
aatish nafas, aatish navaa
kar ke muhabbat aashnaa
raNg-e-aqeedat aashnaa
mere dil-e-naakaam ko
KhooN gashta-e-aalaam ko
daaGh-e-judaaii de gayii
saarii Khudaaii le gayii
un sa’atoN ki yaad meiN
un raahatoN ki yaad meiN
maGhmoom sa rahtaa houN maiN
Gham ki kasak sahtaa houN maiN
suntaa houN jab ehbaab se
qisse Gham-e-ayyaam ke
betaab ho jaataa houN maiN
aahoN meiN kho jaataa houN maiN
phir vo azeez-o-aqrabaa
jo toR kar ahd-e-vafaa
ehbaab se muNh moR kar
duniyaa se rishtaa toR kar
hadd-e-ufaq se us taraf
raNg-e-shafaq ke is taraf
ik vaadii-e-Khaamosh kii
ik aalam-e-behosh kii
gahraayioN meiN so gaye
taareekiyoN meiN kho gaye
unkaa tasavvur naagahaaN
letaa hai dil meiN chuTkiyaaN
aur khooN rulaataa hai mujhe
be-kal banaataa hai mujhe
vo gaaoN ki hamjoliyaaN
maflook dahqaaN zaadiyaaN
jo vast-e-fart-e-yaas se
aur yorish-e-aflaas se
ismat luTaa kar rah gayiiN
Khud ko gaNvaa kar rah gayiiN
GhamgeeN javaani ban gayiiN
rusvaa kahaani ban gayiiN
un se kabhii galiyoN meiN ab
hotaa houN maiN do-chaar jab
nazreiN jhukaa letaa houN maiN
Khud ko chhupaa leta houN maiN
kitnii hazeeN hai zindagii
andohageeN hai zindagii
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top