Kabhi Tugh ko Hansa dena, Bohat Aasan Lagta He

  • Work-from-home
Mar 30, 2008
9
9
0

Kabhi Tugh ko Hansa dena, Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Khud ko Rulla dena, Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Aansoon k Pani se, Koi Parda Nahein Rehta
Kabhi har Ghum Chuppa Lena Bohat Aasan Lagta he
Kabhi Manzil k Badle Kuch Gawara he Nahein Hota
Kabhi Manzil Ganwa (Lost) dena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Teri Rafaqat se, Nikalna he Nahein Mumkin
Kabhi Daman Churra Lena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Kuch Silsillay YADOON k Sonay Nahein Detay
Kabhi En ko Bhoola dena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Tum Roothtay hoto, Ajab MUSHQIL si Parti He
Kabhi Tugh ko Manna Lena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Wapas Nahein Aata, Agarchay Waqt jo Ghuzra
Kabhi Usko Sadda Dena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Samgha Karo, Kuch Faisalley Hala’at Kartey Hein
Kabhi Waddey (Promise) Nibhalena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Berang si Tasveer Bhi Shahkaar Lagti He
Kabhi Arman Sulla Dena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Gehrey Andheray mein, Diya Roshan Na Kar pae
Kabhi Sab ko Ziya Dena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Hum Log Qismat ki Bulandi Par Mileingay
Kabhi Humko Sazza Dena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Sakhi Saffar ki Paoon yan Phir Abllapa janay
Kabhi Ko Paalena Bohat Aasan Lagta He
Kabhi Kuch Din Tumhare Bin Ghuzartay he Nahein Lakin
Kabhi Muddat Batta Dena Bohat Aasan Lagta he
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top