khalwat-o-jalwat meiN tum mujhse mili ho baarahaa

  • Work-from-home

rehanckl

Newbie
Jan 28, 2010
1,485
1,215
0
34
khalwat-o-jalwat meiN tum mujhse mili ho baarahaa
tumne kya dekha nahiiN, maiN muskuraa saktaa nahiiN
maiN ki maayoosi miri fitrat meiN daaKhil ho chuki
jabr bhi Khud par karouN to gungunaa saktaa nahiiN
mujh meiN kyaa dekha ki tum ulfat ka dam bharne lagiiN
maiN to Khud apne bhi koii kaam aa saktaa nahiiN
rooh-afzaa haiN juunuun-e-ishq ke naGhme magar
ab maiN in gaaye hue geetoN ko gaa saktaa nahiiN​
maiN ne dekha hai shikast-e-saaz-e-ulfat ka samaaN
ab kisii tahreek par barbat uThaa saktaa nahiiN
dil tumhaari shiddat-e-ahsaas se waaqif to hai
apne ehsaasaat se daaman chhuRaa saktaa nahiiN​
tum mirii hokar bhi begaanaa hi paaogii mujhe
maiN tumhaaraa hoke bhi tum meiN samaa saktaa nahiiN
gaaye haiN maiN ne Khuloos-e-dil se bhi ulfat ke geet
ab riyaakaarii se bhi chaahouN to gaa saktaa nahiiN​
kis tarah tumko banaa louN maiN shareek-e-zindagii
maiN to apni zindagii kaa baar uThaa saktaa nahiiN
yaas ki taareekiyoN meiN Doob jaane do mujhe
ab maiN sha’ma-e-aarzoo ki lau baRhaa saktaa nahiiN​
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top