Khayalon K Darichon Se

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Assalamoalaikum
Allah RAB ul IZAT ne insan ko soch ka daira boht wasi rakha hai ,har insan apne andar khayalaat or alafaz ka ek zakhira rakhta hai..zindgi k tajrubat or gye dino k roz-o-shab use zindgi ki boht c haqeeqatain bawar krwa dete hai..woh apni zaat me 1 alag hi dunya rakhta hai
Urdu writers me aj ek esa hi silsila shuru kia ja rha hai jis me ap ne apne khayalaat ka izhar krna..apni zindgi ki tujarbat or apni alfaz ki jama ponji se kuch likhna hai..
ap ko mozu(topic) diya jaye ga..jis k mutabiq ap K zehan me fil'badih jo b kuch aata hai aata hai use yahan tehreer krna hai..

ap b jo likh rhe hon woh ap k apne khayalat hon..
ap 2 se 3 ya 4 lines me likh sakte hain
khayaal rhe k topic k mutabiq hi baat kren:)

yahan ap sb ko sirf nsr me kuch likhna hai..


Aj ka topic hai

"ZINDGI"
 

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
nice thread & nice topic annu dear... :)
Zindagi kabhi khushiyon ki khilkhilahat to kabhi aansuon ki rimjhim...
kabhi masoom si shararat to kabhi gehra dukh...
kya hai ye zindagi??? meri nazar me zindagi Allah taala ki taraf se ata ki gai nemat hai...:)
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Zindagi teri ata ki hai to yeh jane wala
jate jate teri dehlees pe dhar jaye ga...

Zidagi aik bohat bari talk haqiqat hai Jise Guzarna , kesay guzarna hai , Kis maqsad main guzarna hai ,
kisi ko thori c milta hai to kisi ko bohat sari , sarak par chalti hui kisi bus ki manind hai zindagi bi koi jaldi utar jata hai to ko dair se
or aik waqt aesa ata hai k sari bus khali ho jati hai , to kyun na jitna safar bus main guzara jaye , hansi kushi , mil jul k aese k her koi yad rakhay ,zarurat es chez ki hai k zindagi k maksad ko samja jaye , kureda jaye Take broz-e-qiamat Allah Pak k samne sar nidamat se jhukana na paray{(doh)}
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
nice thread & nice topic annu dear... :)
Zindagi kabhi khushiyon ki khilkhilahat to kabhi aansuon ki rimjhim...
kabhi masoom si shararat to kabhi gehra dukh...
kya hai ye zindagi??? meri nazar me zindagi Allah taala ki taraf se ata ki gai nemat hai...:)
mshAllah siso..
boht acha likha ap ne..
yahi zindgi hai....
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
Zindagi teri ata ki hai to yeh jane wala
jate jate teri dehlees pe dhar jaye ga...

Zidagi aik bohat bari talk haqiqat hai Jise Guzarna , kesay guzarna hai , Kis maqsad main guzarna hai ,
kisi ko thori c milta hai to kisi ko bohat sari , sarak par chalti hui kisi bus ki manind hai zindagi bi koi jaldi utar jata hai to ko dair se
or aik waqt aesa ata hai k sari bus khali ho jati hai , to kyun na jitna safar bus main guzara jaye , hansi kushi , mil jul k aese k her koi yad rakhay ,zarurat es chez ki hai k zindagi k maksad ko samja jaye , kureda jaye Take broz-e-qiamat Allah Pak k samne sar nidamat se jhukana na paray{(doh)}
boht umdah khilyalaat ka izhar kia..
lekin ML ne shuru me jo shair likha hai woh nhi likhna,kyun k yahan hume jo b likhna hai nasr me hona chaheye or apna ka apna likha huva hona chaheye..shair b main ne kahen parha hai..
mazeed me yon hi hume apne khayalaat se agah krte rahen:)
 
  • Like
Reactions: mashraki.larka
Oct 18, 2009
18,710
9,640
1,313
LoCk Me In YoUr HeArT
hmm.... :) nice thread Anaaya ..
well.. Zindgi k baray m sirf itna kahonga.... k

school m ham pehlay parhtay hayn.... ... seekhtay hayn..... n phir exam hota hay... jb k zindgi m yeh sb kuch ulat hay....
zindgi m pehlay exam hotay hyn phir ham log seektay hyn....

or iski kader krni chahiye.....
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
zindagi k bare me kya kahen
fil waqt to ek sher yaad aaraha hai mulahaza farmaye :)

"SAZA O JAZA HASHAR PE MOHQOOF NAHIH
ZINDAGI KHUD BHI GUNAOH KI SAZA DEHTI HAi"
bohat khoob ..:">

Zindagi jabar-e-musalsal k tara kati hai
jane Kis jurm ki pai hai saza yad nai ......
 

mashraki.larka

Super Star
Jun 23, 2010
10,598
4,907
713
36
KHUDA KI BASTI
hmm.... :) nice thread Anaaya ..
well.. Zindgi k baray m sirf itna kahonga.... k

school m ham pehlay parhtay hayn.... ... seekhtay hayn..... n phir exam hota hay... jb k zindgi m yeh sb kuch ulat hay....
zindgi m pehlay exam hotay hyn phir ham log seektay hyn....

or iski kader krni chahiye.....
Well said Tari bhaa wells said
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ji ap ne bilkul thek kaha
lekin ap meri bat smjhe nhi..
shyd main thread me ache se bata b nhi saki..
yahan ap sb ko sirf nasr me kuch likhna hai..
or jo b likho woh ap k apne khayalaat or ap k apne alfaz hone chaheye..kyun k ye thread Urdu abad k Writer section me lgaya gya hai..

shukaria

Wa Alaykum Assalam Wrwb :)
zindagi k bare me kya kahen
fil waqt to ek sher yaad aaraha hai mulahaza farmaye :)

"SAZA O JAZA HASHAR PE MOHQOOF NAHIH
ZINDAGI KHUD BHI GUNAOH KI SAZA DEHTI HAi"
 

New Wolf

TM Star
Jul 17, 2010
9,253
3,441
113
mere khyaal se zindgri sirf pese kmaana or khaa p kr soo jaana ye phir moj masti kr k din guzaarna nhi he..
asal zindgi to in sab baato k peeche chupi pri he..jis se aap,me balke sab anjaan hain..
ya phir uska saamna nhi krna chahte..
abhi to hm usey nazr andaaz kr rhe hain mgr jab hum mohtaaj ho kr ksi plang pr pre hon ge to tab hi theek se smjh aaye gi k humne to bas aaj tak zndgi ji he bekaaar ki ji he..
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ummm

zindagi bohat se rangon ka milaap hay
jaise qos_o_qaza saat rango se mil k banti hay aur aik bhi rang kam ho to wo qos_o_qaza nhi rehti
issi tara zindagi bhi kahi khushi hay kahi gham kabhi udaasi kabhi shrartain kabhi intazar kahi milaap aur bohat saare khoobsurat rangon se mil k bani hay
agar zindagi aik hi dagar pe chalti rhe to is k rang pheekey par jaayain is liye zindagi may ye nasheeb_o_fraz chaltey rehtey hain
BAs itna yaad rahey k ZINDAGI ALLAH ki ata karda bohat bari naimat hay aur har haal may hamain is naimat ka shukar ada kartey rehna chahiye aur zindagi k kisi pheeke rang pe na shukri ki bjaaey ainda aane waale shokh rang ki umeed rakhni chaiye q k ye sab rang ALLAH hi k bnaaye hue hain
 
  • Like
Reactions: shzd and Qawareer

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
boht ache khayaalat hain..bilkul thek kaha..
hmm.... :) nice thread Anaaya ..
well.. Zindgi k baray m sirf itna kahonga.... k

school m ham pehlay parhtay hayn.... ... seekhtay hayn..... n phir exam hota hay... jb k zindgi m yeh sb kuch ulat hay....
zindgi m pehlay exam hotay hyn phir ham log seektay hyn....

or iski kader krni chahiye.....
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
shukaria..
wese ap ne mera thek nam lia..INAAYA..muje lgta hai muje apna nam badal lena chaleye..kyun k lafz Anaaya nhi Inaaya hota hao..kyon k ye aNAAYAT NHI INAAYAT se nikla hai
KHAIR galti ho gyi..muje pata nhi tha pehle
very nice thread inaaya....{(ok)}{(ok)}
inshallah zroor share krn ga apne khyalaat ..{(haha})
 

Mantasha_Zawaar

stay away :|
TM Star
Apr 27, 2011
1,029
450
383
Lahore Pakistan
mery khyaal me zindagi aik imtihaan hy
aazmaaish hy khud ko prv krny ka 1 treeqa hy zindagi
abb ye hmn decide krna hy k hm kesy is mn kamyab hoty hn
hr swaal kesy hal krty hn is zindagi ka
or result to phir ALLAH k hath mn hy
jo bra mehrban or rehm krny wala hy............
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
mere khyaal se zindgri sirf pese kmaana or khaa p kr soo jaana ye phir moj masti kr k din guzaarna nhi he..
asal zindgi to in sab baato k peeche chupi pri he..jis se aap,me balke sab anjaan hain..
ya phir uska saamna nhi krna chahte..
abhi to hm usey nazr andaaz kr rhe hain mgr jab hum mohtaaj ho kr ksi plang pr pre hon ge to tab hi theek se smjh aaye gi k humne to bas aaj tak zndgi ji he bekaaar ki ji he..
wahhhhhhhhhhh...
kya baat hai..boht khoob
haqiqat b yahi hai..ya to hum zindgi k mafhoom se anjan hain ya sach me is haqiqat ka samna krne ki sakat nhi hum ne..kyun k hum andr se khokhle hain..

 
  • Like
Reactions: New Wolf
Status
Not open for further replies.
Top