Khush Ikhlaqi

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Khush iKhlaqi

khush ikhlaqi ki sub se zaida aam kisem wo hai...jo bud ikhlaqi ki budtareen kisem hai...iski aik surat wo hai...jin ko "Tajrana ikhlaq" kha jata hai...aik kamyab dokandar apne her ghahuk se...intehaye khush ikhalqi ka mamla karta hai...magar is khush ikhlaqi ke peche zati mufad hota hai...dukan per ane wala...ghahuk agar apna libada... utar kar chunda mangne wala admi bun jaye tu...forun malom hojaye ga...ke dukandar ki khush ikhalqi ki haqeqat kiya hai ?

khush ikhalqi ki aik kisem wo hia...jise "Tahzeeb" kha jata hai...yeh kisem amm tor per...taleem yafta tabqa ke darmiyan raij hai...yeh log jab bahum milain gai tu nehayat turshey howe alfaz...main baat karain gai...aik be maynee raye koi bhi khobsurat ilmi alfaz main biyan karain gai...Atishain mozoat per bh is tarah bolain gai...ke jaise wo burf ke mozoh per bol rahe hon...apne mukhalif se baat karte howe aisa raweya ikhtiyar karain gai...ke jaise inka ikhtilaf sarasur ilmi ikhtilaf hia...iska zati mufad se koi taluk nahi hia.

ager ziada gehraye ke sath dekha jaye tu malom hoga ke in sub ki haqeqat masnoye ikhlaqiyat se zaida aur kuch nahi...in sub ka awal o akhir maqsud samaj main mohazub insan kehlaya jana...fil waqie akhlaqi asoloo per amul karna nahi hia.

Molana waheed din ki kitab Raaz-e-Hayat se iqtebas


 
  • Like
Reactions: ChoCo
Top