Hajj Khutba Hajj-tul-Widah by Hazrat Muhammad S.A.W

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalam Walaikum everyone Hajj kareeb agaya hai jaisa ke aap sub ko pata hai ke Hajj har musalman pe zindagi main aik baar farz kya gaya hai Islam ke 5 arkaan main se aik rukan Hajj ka hai. Aap hazrat muhammad s.a.w ne zindagi main aik dafa hajj kya aur woh unka akhri hajj tha jis pe unhoo ne umat-e-muslameen ko agah kar dya tha ke ye mera akhri khutba hai jis ko unhoo ne rehti dunya tak pohchaney ka hukum dya toe main apne habib hazrat muhammad mustafa s.a.w ki sunnat pe amal karte huwe aap tak unka ye akhri khutba pohncha raha hon

Aaj hum muslims aik dosrey se lar rahe hain aik dosre ko bura bhala kehte nazar atey hain aik dosre ko neecha dikhaney ki koshish main lage hote hain aik dosrey ko bidati aur kafir hum ba asani kehte hain magar khudh un batoon pe amal nahi karte jis ka Hukum Allah aur us ke akhri nabi Hazrat Muhammad S.A.W ne dya hai aur jin ke hum ummati hain. youn toe aap hazrat muhammad s.a.w ki sari zindagi he humare lye misaal hai jis pe amal karna har musalmaan pe farz hao magar agar hum sirf is khutbe pe he amal kar len toe humari dunya aur akhirat dono sanwar jaye afsoos log 10 10 dafa hajj karte hain magar un main ikhlaq aur is terha ki koi baat ya cheez nazar nahi ati aik dosrey ka haq marte hain gunah pe gunah karte hain us ki waja sirf yahi hai ke woh rukun toe ada kar dete hain magar amal karne ki koshish nahi karte Allah hum sub ko amal ki taufeeq ata farmaye aap sub se guzarish hai ke ye khutba aik dafa zaroor parhen aur is pe amal karne ki koshish karen. ye main nahi keh raha ye humare nabi s.a.w ka farman hai shukrya















 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Walaikum Assalam Wrwb :)
jazakAllah khair zee.bahot nek kaam kia aapne allah isse qabool farmaye.
subhanAllah jab main isse parh raha tha meri aankhon se aanso jaari hogaye k kitni bahetreen taaleemat thin mere nabi(pbuh) ki laikin aaj dunya k log unki taaleemat ko dahshat gardi ki taaleem kahte hain wo nabi(pbuh) jisne ksi ghulam ko ksi ameer par ksi goore ko ksi kaale par aur ksi ajami ko ksi arabi par fauqiat nahi di.

wo quran jisne ek insan k qatl ko saari insaniyat ka qatl qarar dia.wo nabi(pbuh) jisne apne chacha k masla kiye hue logon ko muaf kiya.wo nabi(pbuh) jisne ek aisi jaahil qaom ko is dunya ka sardaar banaya.jo ksi baat par agar lar baithte thei to sadiyaon ye larayi qatam na hoti.wo nabi(pbuh) jisne larkiaon ko zinda dafan hone se bachaya.wo nabi(pbuh) jisne aurton ghulamon aur miskinon ko unke haqooq dilaaye.aaj us nabi ki taaleemaat ko ghalat nazarye se phailaya jaa raha hai.

laikin inshaAllah taala qayamat unka naam baaqi rahega.kyun Allah taala ne surah e ash-sharh aayath no4 me kah raha hai
وَرَفَعْنَا لَكَ ذِكْرَكَ
aur humne tera zikr buland kardiya.​

Allah hame saccha pakka musalman bana aur islam ki taaleemaat ko aam karne ki aur usse dosre logon tak pahinchane ki taufeeq ata farma.aameen​

aur main gawahi deta hon k Allah k nabi(pbuh) ne deen ki har wo choti aur badi baat hum tak pahunchadi aur huq e risalat ada kardiya.aye Allah tu meri is shahadat par gawah rah.
 

HuriYa

(¯`★´¯)I'll Always Be Daddy's Doll(¯´★`¯)
Super Star
Aug 8, 2011
14,920
7,014
713
D!amOnd CastLe
JazakAllah Khutba Hijj-tul-widah pErh ker Eman taza hO Jata hay aur Musalman hOnay pe Fakhr mehsOs hOta hay.

Koi aise baat yah koi aisa Issue nahi Jis k baray main rehnumae na milay is main.

Beshak Mukamal Zabata-e-hyat hay.

Thx 4 sharing..!
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
jazakaAllah khair zee bro khutba hajj tul widah share karne ke lie..
Allah apko iska ajar dein...
AMEEN
 

Asma24

~~*Patar Patar~~*
VIP
Oct 21, 2010
9,256
5,200
513
jazakallah...very beautifull sharing zee..thanxx for sharing..ALLAH sabko amal kerne ki toufeeq ata farmaye AAMEEN
 
Top