Knitting Tutorials For Beginners

  • Work-from-home

Shiraz-Khan

Super Magic Jori
Hot Shot
Oct 27, 2012
18,264
15,551
1,313
Aslaam O allaykum
SardiyoN Ka Mausam Humaray HaaN To Saal K 10 Maheenay Hi Rehta Hai.... To Aisay MeiN Knitting Karna Acha Lagta Hai. Kal Kuch YooN Huva k Hospital Jana Thaa To Koyi Book Bag MeiN Rakhne Ki Bajaey Ooon aur SalaiyaN Bag MeiN RakheeN K Hospital Transport Ka Wait Karne MeiN Jo Time Ho Ga, Woh Zaayiah Na Jaaey... Aur Jaise Hi Koyi Design Ya Tareeqa Zehan MeiN Aaey To Ussay Note Karne Ki Bajaey Knit Kar LeiN.
Saath Hi Yeh Khyaal Bhi Aaya K Kyun Na Hum Jo Bhi BanayeN, Woh Saath Saath aap Se Bhi Share Kartay JaayeN, Aap Bhi Humaray Saath Knitting Kijiay Aur Jo Samjh Nahi aaey , Pooch Lijiay.... Baby Frock Bnaanay Ka Soch K Shuruu Kiya Hai, Lakin aakhir MeiN Kiya Banay Gaa, abhi Koyi andaza Nahi Hai... So Dekhtay Rahiay aur Humaray Saath Saath Salayi Se Salayi Mila Kar Buniay Aik Adad Frock.
View attachment 104912
Yeh Raha Pehla Step-
3.5 MM par 50 Khanay Daaliay.
ab 4 ulti salayiyaN bun lijiay.
yaad rahay k abhi jo hissa hum bnanay ja rahay hain, issay sirf ulta bnaya jaaaey ga.
Aik baat yaad rahay.... jis tarf faaltu dhaga latak raha hai, woh starting point samjha jaaey.
4 ulti salaiyoN k baad kuch is tarah karna hai.
43 khanay ultay bnanay haiN, aakhri 7 khanay baghair bunay choR denay haiN aur wapis ulti salayi bnani hai. yaani iss baar sirf 43 khanay bunay jaayen gay.
uss se agli baar 36 khanay buniay aur phir wapis ulti salayi kar k akhri siray tak aa jaaiay.
ab 2 ulti salaiyaN... is baar 50 khanay yaani k tamaam khanay buniay ga.

yeh total 6 ulti salaiyaN hain.jo red font mein hain. iss sab ko 3 baar repeat kijiay.
View attachment 104939
View attachment 104940

View attachment 104941
1-12-15
ab issay 52 salaiyoN tak bna lijiay.... yeh kuch aisa dikhay ga
jo 52 salaiyaN likha hai....yeh total 104 hon gi kyunkay 2 ulti salayi karne se aik line banti hai.
View attachment 105241

@Hoorain @AnadiL @Parisa_ @Aaylaaaaa @Guriya_Rani @Meerab_ @-Anna- @Aks_ @Bird-Of-Paradise @saviou @Shiraz-Khan @seemab_khan @Star24 {(giveheart)}
WS...
ye tu dhoka hogaya mere saath =))
btw zabardast.... waqae MASHA'ALLAAH... stemna hey aapka :D
 

shehr-e-tanhayi

Super Magic Jori
Administrator
Jul 20, 2015
39,699
11,682
1,313
acha lagay ga.
crochet se bhi bahot acha banta hai.
kal aisay hi multi color mein hum ne bhi oon khareedi ... light se colors hain.... unhen dekh k pata hai kiya khyaal aya humein?
 

Umm-e-ahmad

Super Star
Feb 22, 2010
11,352
5,314
1,313
home
knitting 2 salaiyoN se ki jati hai jaisay iss tutorial mein hai.
Crochet k liay aik hook istmaal hota hai aur is se mukhtalif hai bahot bnana .
jee zaroor... hum sikhayen gay.
us k liay aik Tutorial alag se lagatay hain jis mein uski buniyadi cheezeiN btayi jaayen.
walaikumnuslaam. great work mashAllah meri ami bohat knitting karti hain muje bas neche pehnne wale bacho k bnane aate hain :p
@shehr-e-tanhayi sis muje b crochet seekhna hai main ne hooks b li hui hain :) 2 3 4 number
 
Top