Kon sa,aur Kin ka Naya Saal?

  • Work-from-home

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
Asslam o Alikum wrwb:)

buhot se log naey saal ki khoshiyan mana rahe hain.:(
kia is ka matlab bhi pta hai kisi ko?
kaash ham muslims ko "2011 A.D." ka matlab hi pata hota jo Islami taleemaat k sara sar opposite hai. 2011 A.D. ka matlab hai: 2011 After Death of hazrat eesa AS. jabkay Quran ki taaleem yeh hai k Hazrat Eesa AS ko na to qatal kia gaya nah woh masloob hoe balke zindah aasman par otha liye gaye.

mosalmaanoun ka new hijri saal 1432 to 25 din pahle start hochuka thaa. aaj 25 Moharramul Haraam hai kisi jga aur kisi jga 26.

hum muslim khod ko khosh krne k lie non-muslim ka sahara lete hain.waqi dukh hota hai hum islam se khod ko kitna dor le gae hain...ahista ahista inhi k tot tariqoon pr chalne ki koshish me hain.
kia kisi ne kabhi ye dekha k kisi christian ne kabhi Muharram/Islami naey saal ki mubarak bad di ho??

aur kuch logon ka kehna hai k hum is shamsi aur qamri donu sal manatey hain.in hi se humara nizam chalta hai to is pr bhi thori wazahat krti chalon.

1. shamsi aur qamri dounoun iss universe ka hissah aur Allah ki takhleeq hain. lehaza waqt k paimaanoun ko maah o saal me naapnay k lie qamri saal bhi adopt kia jasakta hai aur shamsi saal bhi.


2. baat shamsi yaa qamri ki nahi balkay "hijree" aur "eeswi" ki hai.... agar shamsi saal kissi islamic event like "saalay nabwat" se start kar k "Nabwi Saal" start kia jae jo shamsi ho aur Jan-Dec par mabni ho to islamically iss main koi mozaiqah nahi hoga

3. lekin rewaaj pazeer saal eeswi /A.D. hai jo mobaiyyanah taur par hazrat eesa AS ki "death" se start hota hai...... islamically esa karna HARAM hai.... wazah rahe k B.C. years (before christ AS) par islamically koi etraaz nahi. Essa AS aik Nabi th aur onki amad se qabal k years ko as B.C. yaad karnay par koi mozaiqah nahi.

4. kia christians beraadri hijree yaa nabwi saal ko adopt karlegi, khaah yeh Jan-Dec shamsi saal hi kiu na ho??? hargiz nahi......yeh ham nadaan muslims hi hain jo gradually christians ki "moshaabehat" ikhteyaar karte chale jarahay hain. moshabehat bhi woh jo anti islamic ho.......... halaan-ke Nabi saw ne to 10th moharram k rozay par yeh kaha thaa k chounke yahoodi bhi 10th moharram ka rozah rakhte hain lehaza hum iss "moshabehat" se bhi bachne k liye aglay baras 9th + 10th or 10th + 11th ka rozah rakhien ge. halaan-ke "rozah rakhna" koi ghair islami kaam nahi

Allah har muslim ko yahood o nasaaraa ki moshabehat karne (bikhasoos ghair islamic batoun me) se mahfooz rakhye. aameen

wese happy new year manaanay walay (so called) mosalmaan gradually happy christmas bhi manaatay jarahay hain. Allah ham muslims ko apni islami shanaakht bar.qarar rakhnay ki taufeeq de aameen.
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
jazakAllah khair sis.mujhe aapse yahi umeed thi.aaj tm par najane kitne log new yr 2011 mana rahe hain par aksar logaon ko pata nahi k new yr ki haqeeqat kia hai.mera bhi dil chahta hai k ise celebrate karun aur mumbai ek aisi jaga hai jahan hollyood k baad subse ziada filme banti hain aur wahan is naye saal par tarha tarha k stage prog bade paimane par kie jaate hain. laikin ye Islam ki taalemaat k khilaf hai isliye mai ise nahi celebrate karta. jo shaqs bhi aapki ye thrd dekhega usey pata chalega k iski kia haqeeqat hai.Allah hame sahih samajhne ki taufeeq ata farma.:)
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
nice sharing . but BH for ur kind information new year aur 25th dec main buhat fark hai christian jo kuch bhi karte hain woh 25th ko karte hain jo kuch bhi aap ne kaha .. and 1st January se is ka koi belong nahi . 2nd baat ye hai ke agar maan bhi lya ke 1st jan ko woh is waja se mana bhi rahe hain toe woh un ka apna faal hai . hum jo manatey hain woh new year shuro honey ki waja se manatey hain na ke un wajoohat ki bina pe jinka aap ne zikar kya . aap ne baat kari moharram ki toe moharram pe bhi sub ne yahan aik dosre ko wishes di thien . is ke ilawa moharam is lye sadgi ne manaya jata hai ke nawasa-e-rasool ki shahdat ka maheena hai . is ke ilawa aur bhi buhat se wakiat ki waja se ye maheen muqadas hai . yahan tak ke Qayamat bhi isi maheeney main aye gi jaisa hadeeson main bayan kya gaya hai .. finally itna kahoon ga ke mashallah aap islam ke hawaley se kafi knowledge rakhti hain toe aap ne ye hadees-e-mubarika bhi suni hogi ke "beshak amal ka daroomidar niyatoon pe hai" so insan ki niyat saaf honi chaye islam ne khushian mananey se kabhi mana nahi kya . shukrya :)
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
mere bhai baat simple hai.christians ka manna hai k 25th dec.ko eesa alaihissalam ki paidayesh hui aur inhe 1st jan.ko masloob kia gaya.isiliye wo 1st january se apne saal ki ibteda karte hain.jisa k hum musalman nabi(s)ki hijrat (makkah se madina) se naya saal ki ibteda karte hain.aur hum musalmanaon ka manna hai k eesa(a)ko masloob nahi kia gaya balke Allah taala ne unhe aasman par utha lia.ye to raha aqeede ka ikhtelaaf.

2.nabi(s) ne farmaya k har mamle me yahudi aur nasraniyaon ki mukhalifat karo.agar yahudi aashore ka ek roza rakhte hain to tum 2 roze rakho.

3.aapne farmaya k aamaal ka daaromadar niyyataon par hai.laikin ghalat kamaon me nahi agar aap alcohol pech kar masjid taameer karenge to aapko iska koi ajr nahi milega balke aap gunahgar hi tahraye jaayenge.

umeed k aap meri baat ko samajhne ki koshish karenge.:)
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
Suma Ameen
jazakallah Khair BH siso...
Waise kal se mei bhi dekh rahe thi TM pr sab New year wishing kar rahe hai....
but Allahamdullilah i didnt wish anyone
coz i was aware of it....that is just So called Cristianz Ceremony....
but i still wanted to read about the topic...
I really Appreciate ur work
hopefully every Member of TM will visit this thread n know about the truth.....
God Bless u!!!
May Allah guide us to the right Path...Ameen
 

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
Mera Saal TO GHAM-E-HUSSAIN se shruu hua
MEN kaisey keh dun k naya SAAL Mubarak ho
gham e hussain ki zaroorat nahi sis.kyunke nabi(s)ne farmaya k kisi ko bhi jayez nahi k wo 3 din se ziada noha kare.aur Islam me ye ek hi shahadat nahi hui balke jung e uhad me nabi(s) k chacha hamza(r) ki shahadat hui aur nabi(s) ne inhe sayyad us shohda ka laqab dia.jo shahidaon k sardar hain.agar noha karna hamare liye jayez hota to hazrat hamza(r) iske ziada mustahiq hote.:)
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
nice sharing . but BH for ur kind information new year aur 25th dec main buhat fark hai christian jo kuch bhi karte hain woh 25th ko karte hain jo kuch bhi aap ne kaha .. and 1st January se is ka koi belong nahi . 2nd baat ye hai ke agar maan bhi lya ke 1st jan ko woh is waja se mana bhi rahe hain toe woh un ka apna faal hai . hum jo manatey hain woh new year shuro honey ki waja se manatey hain na ke un wajoohat ki bina pe jinka aap ne zikar kya . aap ne baat kari moharram ki toe moharram pe bhi sub ne yahan aik dosre ko wishes di thien . is ke ilawa moharam is lye sadgi ne manaya jata hai ke nawasa-e-rasool ki shahdat ka maheena hai . is ke ilawa aur bhi buhat se wakiat ki waja se ye maheen muqadas hai . yahan tak ke Qayamat bhi isi maheeney main aye gi jaisa hadeeson main bayan kya gaya hai .. finally itna kahoon ga ke mashallah aap islam ke hawaley se kafi knowledge rakhti hain toe aap ne ye hadees-e-mubarika bhi suni hogi ke "beshak amal ka daroomidar niyatoon pe hai" so insan ki niyat saaf honi chaye islam ne khushian mananey se kabhi mana nahi kya . shukrya :)
hmmm aap har baat pr apne niyat bayyan karne lage
toh kal ko koi muslim Cristianz k saath Christmas bhi manayenga toh kahega
k mera niyyat sirf khush rahna tha unke culture ko follow karna nahii....
Niyyat Beshak Amal se Bayyan hote hai
Niyyat k bare mei insan sirf khud janta hai
aur Amal ko sab dekhte hai...
agar koi strong muslim apne ammal mei yeh sab zahir kare
toh weak musilman jenka ko koi khas Knowledge nahi toh woh bhi toh yehi sochengay
k chalo jo banda ek Islamic country mei rah kar yeh sab kar raha hai
toh hum bhi karte hai
coz sirf Niyyat hamare saaf hai aur khushi manane ka hai
Kyun K islam ne khushi manane se nahi ruka hai
toh lemme tell u ISLAM ne ghair muslim k culture ko taqleed karne se bhi ruka hai....
hope u dnt mind
apko eslie point out kiya....
coz most of the time i Observed these kinda replies....
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Behtar ho ga aap meri batoon ko ghoor se parhen phr samjhen aur amal karen, baki jo kuch kar raha hai us ko apna hisaab khudh dena hai Allah kisi ki aik neki ki waja se usey janat main dakhil kar sakta hai toe kisi ko hazaroon nekian honey ke bawajood jahanum main. so kisi ko point out karney se pehle apne ander jhank ke dekh len Shukrya
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
Behtar ho ga aap meri batoon ko ghoor se parhen phr samjhen aur amal karen, baki jo kuch kar raha hai us ko apna hisaab khudh dena hai Allah kisi ki aik neki ki waja se usey janat main dakhil kar sakta hai toe kisi ko hazaroon nekian honey ke bawajood jahanum main. so kisi ko point out karney se pehle apne ander jhank ke dekh len Shukrya
beshak koi bhi insan perfect nahi hota
jo hum jante hai auro ko us baat se waqif karna hamara farz hai...
baki its upto them k wo usay as advice lete hai ya negative le kar mind karte hai....
Thanks...
 

Noor_Afridi

Super Star
Feb 28, 2009
14,443
9,602
1,313
40
karachi
MashaAllah Be Happy Buhut AChi Thread banai hai aap nay jO kaha hai bilkOl Sahi kaha hai
kiSsi inSan ki iSlah Os waQt hi mumkin hai jab wO galat kO galat Samjay agar galat amal kO sahi amal Samaj kar kia jayeh tO wO kabhi Seedhi raah par nahi aSakay ga
 
  • Like
Reactions: masoom_se_chahat

YasirAshiq

Newbie
Sep 22, 2017
1
0
1
AD is the abbreviation of ''Anno Domini''
Which means "in the year of our lord".This calender is based on the birth of Jesus not death of Jesus why are you sharing these wrong information am also muslim but AD calender starts with the birth of Jesus.
 
Top