Kya sirf afraad ki islaah se muaashre ki tabdeeli mumkin he?

  • Work-from-home

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
KYA SIRF AFRAAD KI ISLAAH SE MUAASHRE KI TABDEELI MUMKIN HE?
“Muaashre me tabdeeli sirf afraad ki islaah se shru hoti he”
Ye ek aisa nazarya he jise bohut se logon ne bila shuba ikhtiyar kya hua he. Is nazarye nk mutabiq hr fard ki islaah ye tabdeeli us k khandaan ki tabdeeli ka sabab banega,phr aas paros or bil aakhir pure muashre ki tabdeeli ya islaah hojaegi. Ye tasawur kya jata he k tabdeeli fard se shru hoti he or phr barhti chali jati he yahan tak k pure muashre ki islaah hojati he. Ye nazarya islaam k liye ajnabi he qk HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne b is tareeqe pr kaam nhi kya.
MUAASHRATI TABDEELIYAN:
Muaashre mutehrik hote hen or waqt k sath sath tabdeel hote rehte hen. Taareekh ne beshumaar muashrati tabdeeliyon ka mushahida kya he. Maslan European mumalik mazhabi hukumaton (theocracy) se secular qomi riyasaton (secular nation states) me change hogaiyn. Russia ek jagirdaraana nizam se ek communist nizaam me change hua or phr communism se sarmayadaraana nizam (capitalism) me tabdeel hogaya, or Turkey jo jo ek Islamic state se secular republic me change hogaya.
Ghaur se muaaina kya jae to pata chalta he k yahan bayan ki gayi tamam chnges infiraadi islaah k zariye nhi huin. Communism kisi ek fard se tamam muashre take k ek fard ko tabdeel krne se nhi phela. Isk bajae communism ka nazarya logon k ek aise group ne apna lya jisne riyaasti control haasil kya or muaashre ko apne nazaryaat k mutabiq change krdya. Jab Bolsheviks (ek intiha pasand inqilaabi communist) ne control sanmbhala to uswaqt na wo majority me the na majority ki tarjumani krrahe the. Isi tarah ek baar phr communism se democracy ki tabdeeli neeche se upper ki taraf nhi ayi balke upper se neeche ki taraf GLASNOST or PERESTROIKA k sath ayi. Isi tarah Europe apne taareeki daur se is tarah nhi nikla k changing eke k fard k andar ayi ho. Wo mufakkireen or falsafi jo “roshan khayal” the unhone church ki hukomat k against jadojehed ki taa k taqat or ikhtiyar k marakiz pr se church ka asr o rusookh khaatam kya jasake. Kai saalon ki jadojehed k baad ek waqt wo aya k muashracecularism k nazarye pr ek hogaya.
Turkey ek Islamic state se secular republic me is tarah change nhi hua k young turks hr fard ko change krrahe hon. Is k bajae istemaari taqaton ne unko madad provide ki k wo quwat or ikhtiyar haasil krsken. Is tarah se unhone riyaasti dhaanche or qawaneen me changing kin jis k zariye afraad k zehni rujhaan me tabdeeli agayi or is tarah won aye nizaam ko qaaim rkhne me kaamyaab hogaye. In short humen history me aisi koi misaal nhi milti jo upper diye gaye conept ko saabit krsake.
RASOOL SALLALAHO ALEHE WA’AALEHE WASSALAM KI MISAAL:
Sab se bari changing jo kisi muashray me aye hai wo jazeera-ul-arab ke muashray men ane walin changing hai. HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne arab kabaili muahray ko aik aese Islamic system me change kardia jo ke aik world power ban gai. Hamen yahan par bhi proof nahin milta ke changing individual yani fardan fardan aye ho yahan tak ke puri society muslim haogai aur nahin log sirf nek aur parhezgar kirdar se mutasir hue. HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM 40 sal ki umer me nabi banne se pehle apne nek aur parhezgar kairdar ki waja se jane jate the. Magar kisi aik aadmi neb hi mehaz is waja se un ki pervi nahi ki. Lekin jab nabuat ki responsibilities un ke kanon pe pari tab HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM apne gird aese afraad ko jama karne me kamyab hue jo HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ke laye hue deen se mutasir ho kar us part imaan late. Aur is doran HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM is muashray men islam ki dawat aam karte rahe, is baat ka wait kiye baghair ke pehle HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ke sare rishtedar islam qubool karlen. HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ke piayre chacha abutalib is ki missal hain. HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne makkah se shuruat ki lekin is baat ka wait nahin kia ke madinah jane se pehle tamam makkah change hojae. Unho ne madina me islam ko qaim o nafiz kai jabke wahan rehne walon ki majority musalman nahi thi. Un me yahudion(jewish) ki 4 bari abadian shamil then joke madina aur uske aspas abad thin (BANU QUREZA, BANU NAZIR, BANU QENUQA, aur KHEBAR ke YAHOOD) inke ilawa madina ke rahaishion me nae muslim aur munafiqin bhi shamil the. In short wahan kai tarah ke log abad the is lie is baat ka koi proof nahin milta HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne muashre ko individualy changing ke zariye complete change kia ho.
MUASHRE KI FITRAT(NATURE):
Under discussion concept ka nuqs actually society k bare me ghalat feham se phut ta he. Ek fard society ko mutasir nhi krta balke In actual ye society he jo fard pr asar andaaz hoti he.
Jese k HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ka farmaan he k:
ek shakhs apne saathiyon k deen ki pervi krta he” (hadith)
“jo shakhs lohaar ki sohbat ikhtiyar krega uski bu(smell) lohar ki tarah mehsus hogi or jo shakhs attaar(atar banana n bechne wala) ki sohbat ikhtiyar krega wo usi ki tarah khushbudaar mehsus hoga.” (hadith)
Ek gher islami muashre yaani non-islamic society me rehne wale muslim nojawan is baat ki khuli daleel hen. Chunancha wo asraat jo society ek fard pe daalti he us asar se kahin ziada hen jo fard muashre pe daalta he. Ye haqiqat society k fitri khuwas yani nature ko zaahir krti he. Usually ye tasawur kya jata he k muashra yani society mehez afraad ka majmuaa he. Jabk aisa bilkul nhi he,kuch logon k ek jaga jam hone se society nhi ban jati. Ek football stadium me 50 hazar shaaiqeen ka majma society nhi hota,mehez hujum hota he. Jab k kisi chote se city me rihaaish pazeer 50 hazar afaard ek society hote hen. Ye society hujum se islye different he q k afraad ka ek muashrati majmua apas me mel jol or talluqaat rakhta he,jiski bunyaad kuch mushtarka afkaar(soch) or jazbaat hote hen. Is mel jol or talluqaat ko government ya authorities control krte hen jo khud b unhi mushtarka soch or jazbaat pr qaaim hote hen. Yani muashra afraad ka wo collection hota he jo kuch combined soch or jazbaat k zariye ek dusre se jura hota he. Agar muashra maghribi iqdaar se jura hua ho or us society k tamam muamlaat o masaail k hal k lye maghribi iqdaar(values) ko hi maayar mana jata ho, to aisa muashra ek maghribi muashra kehlayega. Isi tarahse ek society qabaili kehlayegi agr qabaili values us k logon jko jorti hon or us society k masaail unhi ki bunyaad pr hal kiye jate hon.
pakistan me rishwat lena aur dena nehayat asan kam hai. Is muashray me dakhil honey wala jald hi is ke ‘qawaid o zawabit’ se agah ho jata hai. Magar jab wohi shaks is muashray se bahar nikal kar America ya bartania jata hai to wahan us ka rawia aur tor tariqe badal jate hain aur wahan ke tor tariqe apna leta hai. Maslan wo khullam khulla sanf-e-mukhalif se talluqat bhi banana lagta hai. Pakistan se jane wala auk nehayat mazhabi shaks majmuyi tor par thora bohat hi asar andaz ho pata hai. Aaj maghribi mumalik men bohat se log halanke muslim horahe hain ya islam ki taraf raghib horah hain aur bohat si nai masajid khul rahi hain, mkagar phir bhi wo us muashray ko us ke secular aqiday 0 iqtidar se nahin chura sakte. Chunacha aik bohat sacha musalman bhi secular siyasat ka hissa ban jata hai, sarmayadrana khususiyat apna leta haiaur aik secular muashray ke tasawarat maslan jamhuriat aur azadion ka dayi ban jata hai, jabke wo muslim hai.
SOCIETY KO CHANGE KRNA:
Agr muashra mehez afraad pr tawajja merkooz krdene se nhi badalta to akhir kis tarah muashre ek halat se dusri halat ki taraf badalte hen? Jesa k bataya gaya he k muashre me mojud afraad k kuch mushtarka soch or ideas hote hen jineh hukumat naafiz krti he or unki hifazat krti he. Agr in tasawuraat ko challenge kya jasake or ek dusre nizaam k tasawuraat ko iski jagha pesh kiya jasake jo logon ko mutafiq krde or apne ird gird jam krsake to muashra tabdeel hojaega. Agr hum HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ki zindagi pr nazar daalen to humen pata chalta he k HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ka tareeqa society ki nature se ain mutabiqat rakhta he. HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne 3 saal tak ashaab ko apne gird jam kya wo un ko DAARUL ARQAM lejate taa k islam k mutabiq unki gehri tasqeef yani deep cutting krsaken. 3 saal baad ALLAH TA’AALA ne apne Nabi yani HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ko hokum diya:
“Pas aap is hokum ko jo apko kiya jaraha he khol kr sunadijiye! Or mushrikon se munh pher li jiye.” (SURAT UL HIJR:94)
us k baad se HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM muashre k mushtarka or ghalib ifkaar ko challenge krne lage, jin k mutabiq wo log apni zindagiyan guzar rahe the. Misaal k taur pr betiyon ko zinda dafan krna,naap tol me kami krdena,sudi len den,abao ajdaad ki andhi taqleed etc. yahan ye baat bohut ehem k HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne un ghaalib ifkaar o tasawuraat ko challenge kiya,mehez aam rivajon or taur tareeqon ko nhi. Betiyon ko dafan krdena aam rivaaj nhi tha. Agr aisa hota to Makkah me aurton ka qehat par jata. Chunancha aisa qatan nhi tha qk Makkah me baaz mardon ki 10 biwian thin, or jism farosh khawateen is k ilawa thin. Lehaza wo tasawuraat aam taur pr qaabil e qubul zarur the , albatta un pr amal daramad aam nhi tha. Un baatil afkaar ki isi qubuliat e aam ki waja se HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne unko nishana banaya.
Nabauwat k baarwen (12) saal me HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne Masab bin umair ko Yasrab bheja. Unhone yasrab k muashre ki raae aama ko islaam k haq me hamwaar krdya. Makkah k barkhilaaf yahan raae aama islam k haq me hogayi. Go k yasrab ka muashra koi mukammal taur pr behtreen muashra nhi thi, na hi wahan l logon ki aksaryat musalmaan hogayi thi, taaham wo society ek Islamic state ko qubul krne k liye mozun hogaya tha. Saath hi aus o kizraj k ehem tareen 12 sardaaron (naqbaa) ne HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM k hath pr BEATULHARAB yani pledge of war ki shakal me nusrat or hukumat ka ikhtiyar dedya. is tarah unhone HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ko Madinah aakr quwat o ikhtiyar k sath hukumat sanmbhalne me madad di,halanke us waqt wahan Abdullah bin ubi jese log mojud the jo is surat e haal se khush nhi the. Chanacha society ki raae aama ko badalne, or quwat o ikhtiyar(hukumat) hasil krlene k zariye HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne society ko asaani se islami aqaaid o iqdaaar k mutabiq dhal diya. Or us riyasat k qayam or islam k nafaaz k 10 saal k andar andar lakhon log daaiyre islaam me dakhil hogaye.
HAASIL E KALAAM:
Society me changing mehez afraad ki islaah se nhi aasakti qk societ sirf afraad ka majmua nhi hoti. Society actually aise afraad se mil kr banti he jo kuch combined soch or jazbaat k zariye ek dusre se jure hote hen or ek nizaam e hukumat un ifkaar o tasawuraat ki hifazat krta he. Unhen naafiz krta he or unki tarveej krta he.
HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne sirf or sirf afraad ki islaah ko apna nasbul ain nhi banaya,na hi ye wait kya k madinah k logon ki majority bohut nek,muttaqi or parhezgaar hojae,qabal is k Madinah me ialamic state qaaim ho. Balke unhone society ki majmuee soch ya raae aama ko badla, or jab wo raae aama islam k haq me hogayi or is k sath sath us muashre k ehl e quwat ne HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ko quwat e ikhtiyar dedya tab HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne wahan apni hukumat qaaim krdi,ur is society ki islaah tab hi mumkin hui.
ANY COMMENT?
 

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
mujhse kisi ne is article k baare me ye sawal kiya tha k jin logon ko HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM nabuwwat milne ke baad se ailaan e nabuwwat tak taleem dete rahe to kiya wo afraad ki islaah nhi thi?

me unko ye jawab dena chahungi k HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne SAHABA KIRAAM RAZIALLAHO TA'AALA ANHO k chahracter ko nhi sahi kiya tha,unko uthne bethne baat krne k tareeqe nhi bataye the foran hi,unko pehle ye bataya gaya tha k ALLAH kon he,wo kon hen,HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM kon hen, jab unka talluq ALLAH se istiwar hogaya to phr ALLAH k ehkamaat unko bataye.

isay hum ye nhi kehnge k HUMARE PYARE RASOOL SALLALAHO ALEHE WA AALEHE WASSALAM ne unki shakhsiat ki islaah ki,qk jab kisi ka talluq ALLAH se banjae to wo khud hi apne amaal ALLAH k hukum k mutabiq bana leta he.

kiya mera jawab sahi he?
 

Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
chalo phir baji k pao dabao..........lolx

good work gunjan.........!!!


thanx bro

---------- Post added at 06:09 PM ---------- Previous post was at 06:08 PM ----------

very nice answer



zbrdast gunjan


thanx GF bhai

---------- Post added at 06:12 PM ---------- Previous post was at 06:09 PM ----------

aha nice edition gunjun

thank u so much US

---------- Post added at 06:13 PM ---------- Previous post was at 06:12 PM ----------

nice post sis thank you !!

thanx banjara

---------- Post added at 06:15 PM ---------- Previous post was at 06:13 PM ----------

sis aapka jawaab kaafi had tak theik hai.......thanx 4 ur shaire sis!!!keep it up!!!nice


thanx nain bhai

mujhe isse behtar jawab mere baron ne diya to wo b me zarur shamil krungi
 
Top