~*~ mehnat k zarye ~*~

  • Work-from-home

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia

837.jpg

{(AOA)}

baapsi sidhwa (baapsi sidhwa) ek paarsi khaatoon thin.wo pakistan (lahore) ki rahne waali thin.aajkal wo america ki texas university of hosten me teacher hain.english language me likhi hui kitabein(books) international level par print hoti hain.

hairat angez baat ye hai k baapsi sidhwa ki rasmi taaleem bilkul nahi hui.wo lahore k ek school me primary education haasil kar rahi thin k inko polio ki bimaari hogayi inke parents ne inki baazabta taaleem ko naamumkin samajh kar inko school se nikal dia.iske baad wo tutor k zarye apne ghar par hi padhne lagin.magar tutor ka silsila bhi ziada dinaon tak baakhi na raha.

ab baapsi sidhwa ka shauq inka rahnuma tha.wo khudse padhne lagin.wo har waqt english books,newspapers etc.padhti rahti.ek din aaya k wo english language me uboor haasil kar gayi.aakhir inhone apni mehnat se ye darja haasil karlia k wo english language me mazameen(articles) likhne lagi.

is tarha inke articles national level par aur uske baad international level par print hone lage.ab wo aalami satah(int. level) par padhi jaane wali writer banchuki hain.rasmi degree na hone k bawajood wo America ki university of hosten me (taqleeqi tahreer-creative writing ) ka mazmoon padha rahi hain.(Times of India-25th feb.1990)

isliye dear members agar aap bhi apni zindagi me kuch haasil karna cahte hon to lagataar mehnat kijiye aur ye na soonchiye k ye kaam bahot mushkil hai ya naamumkin kyunke Allah taala ksi ki mehnat ko raayegaan nahi karta.


aapka apna.

 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Wah mashAllah....
sahi hai bilkul
Khudi ko kar buland itna k har taqdeer se pahle
Khuda banday se khud poochay bata teri raza kya hai?
 
  • Like
Reactions: R3d Ph03nIx

Amreen

VIP
May 16, 2010
10,028
4,265
1,313
India
very informative sharing Arshad bhai....inki zindagi se humein bhi seekh leni chahiye ke apni mehnat ke bal per insan bohat kuch ker sakta hai...bus apne dil me kuch ker dikahne ka jazba ho...thx for sharing...
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
ji belkul sahi kaha chahe thori mushkele ya crisis se bhi kio na guzerna padhe but have patience and confidence jess k zerye aap her ek mushkil ka samna kersakenge and aapne kessi bhi maksad mei kamyaab hosakte hain khaas ker ager voh education se related ho toh...
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
nice sharing.. Ji Bilkul mehnat kabhi raigaa nahi jati agar pori koshish aur struggle ki jaye .. Allah ne mehnat main barkat rakhi hai .. is ki misal samney hai in bibi ki sorat main aur aise buhat se hain jo apna mukam mehnat se hasil karlete hain
 
  • Like
Reactions: Aara'af
Top