Mohabbat Kam Nahi Hogi

  • Work-from-home

chand_sitara

Regular Member
Jun 6, 2015
112
67
28
UK
Yeh maira tujh say waada hai
K jab tak is jahan main
Aik bhi zee-rooh baqi hai
Wo jab tak sans laita hai
Wo jab tak soch sakta hai
Or jab tak her khushi aur fikr ko mehsooos karta hai


Yeh maira tujh say wa'ada hai
K jab tak gulistan main
Aakhri jo phool khilna hai
Rahay ga shakh per jab tak
Mehak phaila-aye ga apni
Zameen say aasmanoon tak
Falak k aakhri taray ko
Jab tak jagmagana hai
K jab tak lehlahatay khaitoon ko zindagi k kaam aana hai
K jab tak hath is qabil hain
K uthain dua'on ko
K jab tak aakhri baadal ko
Dharti per barasna hai
K jab tak is zameen per zehar ka taryaq mumkin hai


Yeh mayra tujh say wada hai
K jab tak jism hai
Or jism main ya jaa'n baqi hai
k jab tak is zameen per
Aik bhi insaan baqi hai
Hazaroon meel lambay faslay bhi beech main ayin
To mayri justujo in say kabhi baydam nahin ho gi
Mohabbat kum nahin ho gi
 
  • Like
Reactions: Sara_Khan

Ocean-of-love

Hot Shot
Nov 13, 2014
23,099
5,146
513
Yeh maira tujh say waada hai
K jab tak is jahan main
Aik bhi zee-rooh baqi hai
Wo jab tak sans laita hai
Wo jab tak soch sakta hai
Or jab tak her khushi aur fikr ko mehsooos karta hai


Yeh maira tujh say wa'ada hai
K jab tak gulistan main
Aakhri jo phool khilna hai
Rahay ga shakh per jab tak
Mehak phaila-aye ga apni
Zameen say aasmanoon tak
Falak k aakhri taray ko
Jab tak jagmagana hai
K jab tak lehlahatay khaitoon ko zindagi k kaam aana hai
K jab tak hath is qabil hain
K uthain dua'on ko
K jab tak aakhri baadal ko
Dharti per barasna hai
K jab tak is zameen per zehar ka taryaq mumkin hai


Yeh mayra tujh say wada hai
K jab tak jism hai
Or jism main ya jaa'n baqi hai
k jab tak is zameen per
Aik bhi insaan baqi hai
Hazaroon meel lambay faslay bhi beech main ayin
To mayri justujo in say kabhi baydam nahin ho gi
Mohabbat kum nahin ho gi
Bahut Umda.
 
Top