Muhabbat tark kii mai.n ne garebaa.N sii liyaa mai.n ne

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
Muhabbat tark kii mai.n ne garebaa.N sii liyaa mai.n ne
Zamaane ab to Khush ho zahar ye bhii pii liyaa mai.n ne

Abhii zindah hu.N lekin sochataa rahtaa huu.N Khalwat me.n
Ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jii liyaa mai.n ne

Unhe.N apnaa nahii.N saktaa magar itnaa bhii kyaa kam hai
Ki kuchh muddat hasii.N Khwaabo.N me.n kho kar jii liyaa mai.n ne

Bas ab to daaman-e-dil chho.R do bekaar ummiido
Bahut such sah liyaa mai.n ne bahut din jii liyaa mai.n ne
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top