Muneer Niazi Ghazal Collection..

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
gam ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin

nind ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin

har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
kah sak jo dil ki halat wo lab-e-goya nahin

jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin

janta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
gam se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
khalish-e-hijr-e-dayami na gai
tere rukh se ye berukhi na gai

puchte hain k kya hua dil ko
husn walon ki sadgi na gai

sar se sauda gaya muhabbat ka
dil se par is ki bekali na gai

aur sab ki hikayaten kah din
bat apni kabhi kahi na gai

ham bhi ghar se 'Munir' tab nikle
bat apnon ki jab sahi na gai
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
hawa ki awaz
khushk paton ki sarsarahat se bhar gai
rosh-rosh par fatada phulon ne
lakhon nauhe jaga diye hain

sileti shuayen
buland peron par gul machate
siyah kawon ki qafilon se ati hui hain
har ek janib khizan k qasid lapak rahe hain
har ek janib khizan ki awaz gunjati hai

har ek basti kashkash-e-marg-o-zindagi se nidhal hokar
musafiron ko pukarti hai k- ao
mujh ko khizan k bemahar
talKh ehsas se bachao
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
lakhon shaklon k mele main tanha rahna mera kam
bhes badal kar dekhte rahna tez hawaon ka kohram
ek taraf awaz ka suraj ek taraf ik gungi sham
ek taraf jismon ki Khushbu ek taraf is ka anjam
ban gaya qatil mere liye to apni hi nazaron ka dam
sab se bara hai nam Khuda ka us k bad hai mera nam
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
wo din bhi ane wala hai
jab teri in kali ankhon main
har jazba mit jayega
tere bal jinhen dekhen to
sawan ki ghanaghor ghatayen
ankhon main lahrati hain

honth rasile
dhyan main lakhon phulon ki
mahkar jagayen
wo din dur nahin jab in par
patjhar ki rut cha jayegi

aur us patjhar k mausam ki
kisi aekli sham ki chup main
gaye dinon ki yad ayegi
jaise koi kisi jangal main
git suhane gata hai

tujh ko pas bulata hai
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil main lekin aur hi ek shaql ki hasrat bhi thi

jo hawa main ghar banaye kash koi dekhta
dasht main rahte the par tamir ki adat bhi thi

kah gaya main samne us k jo dil ka mudda
kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi

ajnabi shahron main rahte umr sari kat gai
go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi

kya qayamat hai "Munir" ab yad bhi ate nahin
wo purane ashna jin se hamain ulfat bhi thi
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
kabhi kisi bam k kinare
ugre huye per k sahare
mujhe mili hain wo mast ankhen
jo dil k patal main utar kar
gaye dinon ki gufa main jhonk

kabhi kisi ajnabi nagar main
kisi akele udas ghar main
parirukhon ki hasin sabhayen
koi bahar-e-gurez payen

kabhi sar-e-rah sar-e-ku
kabhi pas-e-dar kabhi lab-e-ju
mujhe mili hain wahi nigahen
jo ek lamhe ki dosti main
hazar baton ko kahna chahen
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
un se nain milkar dekho
ye dhokha bhi kha kar dekho

duri main kya bhed chipa hai
iski khoj lagakar dekho

kisi akeli sham ki chup main
git purane gakar dekho

aj ki rat bahut kali hai
soch k dip jala kar dekho

jag-jag kar umr kati hai
nind k diwar hilakar dekho
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
us bewafa ka shahar hai aur ham hain dosto
ashk-e-rawan ki nahar hai aur ham hain dosto

sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa
raton ka pichla pahar hai aur ham hain dosto

ankhon main ur rahi hai luti mahfilon ki dhul
ibrat bara-e-dahar hai aur ham hain dosto

ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yad
tanhaiyon ka zahar hai aur ham hain dosto
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
us simt mujh ko yar ne jane nahin diya
ek aur shahar-e-yar main ane nahin diya

kuch aur waqt chahte the k sochen tere liye
tune wo waqt ham ko zamane nahin diya

manzil hai is mahak ki kahan kis chaman main hai
is ka pata safar main hawa ne nahin diya

roka ana ne kawish-e-besud se mujhe
us but ko apna hal sunane nahin diya

hai jis k bad ahad-e-zawal-ashna "Munir"
itna kamal ham ko Khuda ne nahin diya
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
zinda rahen to kya hai jo mar jayen ham to kya
duniya main khamoshi se guzar jayen ham to kya

hasti hi apni kya hai zamane k samne
ek khwab hain jahan main bikhar jayen ham to kya

ab kaun muntazir hai hamare liye wahan
sham a gai hai laut k ghar jayen ham to kya

dil ki khalish to sath rahegi tamam umr
dariya-e-gam k par utar jayen ham to kya
 
Top