...nahi Hoon Main'''''

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
...NAhi HOON mAin'''''


Dayam para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main

kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main

Ya Rab! zamana mujh ko mita'ta hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main

had chahiye saza mein uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main

kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main

rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun daregh
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main

karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main

'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"
 
Top