Pakistan aur Main!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ik tehni par phooley phaley hain Pakistan aur main
har mousam amy saath rhe hain Pakistan aur main
kaali raat,hawa toofani, mola paar utara
aik hi kashti may baithe hain Pakistan aur main
ghafil bhi nhi rehne deti khauf samey ki raat
baari baari so laite hain Pakistan aur main
is k sar par baap ki pagri main hun nafarman
aik hi baap k do baitey hain Pakistan aur main
aur abhi kuch waqt lagega thakan utarne may
hijrat kar k aaye huye hain Pakistan aur main
apni misal to yun hay tabish jaise do majzub
apne aap may gum rehte hain Pakistan aur main!
 
Top