Parveen Shakir Poetry Collection

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Badban khulny se pahly ka ishara dekhna
Main samander dekhty hun tum kinara dekhna

Yun bicharna bhi bahut asaan na tha us se magar
Jaty jaty us kaa wo mur k dubara dekhna

Kis shabahat ko liye aya hai darwazy pe chaand
Ai shaab-e-hijraan zara apna sitara dekhna

Aine ke aankh he kuch kum naa thy mery liye
Jany ab kya kya dikhaayega tumhara dekhna
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Badban khulny se pahly ka ishara dekhna
Main samander dekhty hun tum kinara dekhna

Yun bicharna bhi bahut asaan na tha us se magar
Jaty jaty us kaa wo mur k dubara dekhna

Kis shabahat ko liye aya hai darwazy pe chaand
Ai shaab-e-hijraan zara apna sitara dekhna

Aine ke aankh he kuch kum naa thy mery liye
Jany ab kya kya dikhaayega tumhara dekhna
 
  • Like
Reactions: huny

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Kuch Tu Huwa Bhi Sard The Kch Tha Tera Khayal Bhi
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi
Baat Wo Aadhi Rat Ki Raat Wo Pory Chand Ki
Chand Bhi Ain Chait Ka Us Pe Tera Jmaal Bhi
Sab Se Nzar Bcha Ke Wo Mujh Ko Tha Aisy Dekhta
Ek Dfa To Ruk Gai Gardish e Mah o Sal Bhi
Dil To Chamk Saky Ga Kya Phir Bhi Tarash Ke Dekh Lo
Shisha Graan-e-shehr Ky Hath Ka Ye Kmal Bhi
Os Ko Na Pa Saky Thy Jab Dil Ka Ajib Hal Tha
Ab Jo Palat Ky Dekhiye Bat Thi Kuch Muhal Bhi
Meri Talb Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir
Hath Dua Sy yon Gira Bhool Gaya Swal Bhi
Sham Ki Nasamajh Hawa Poch Rahi Hai Ek Pta
Maujy Hawa-e-Ko-e-Yar Kuch To Mera Khayaal Bhi
Us Ky Hi Bazoun Main Aur os Ko Hi Sochty Rahy
Jism Ki Khwahishon Py Thy Ruh Ky Aur Jaal Bhi
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Main kachi neend mein hun
Aur apne neem khawabeda tanafas mein utartti
chandni ki chap sunti hun
Guman hai
Aaj bhi shaid mere mathy pe
Tere lab Sitaray Sabt karte hein
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Aye Khuda!
Mere pyare sipahi ki talwar mein zang lagne laga hai
azanon se pehle jo bedar hoty thy
ab din charhy tak
chapr khut sy nechy utrty nie
dhoop agr sakht ho jaye
barish zara taiz ho jaye tu
yah jawan saal
ghar se nikalte nien
sarhadon ke nigehbaan ab kursiyon ke talbgar hain
apne aaqa kay darbar mein
jonbeshe chashm o abro ki pihm tilawat mein masroof hain
sir khamidah hain
shany bhi aage ko nikly huwy
bs nisab-e-tamlk ki takmil mein munhamk!
mera dil ro pra hai
aye khuda!
mere pyare watan pr yeh kaise ghari hai
trashe huey jism
aasaishon main pre
apni rehniyan kho rahe hain
zehn ki sari yaksoi mafqood hai
ahle tebl-o-elm
ahle jah-o-chasm ban rahe hain
aur is baat pr
dekhti hun k magroor hain
aye khuda!
Mere pyare sipahi ko sarhad ka rasta dikha
ishq-e-amwal o hub-e-manasib se bahar nikal
is ke haathon mein
bholi hue taigh phir se thama!
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
Chand ko dekh ke uska chehra dekha tha
Faza mein cactus ke lehje ki nermahat thi
Mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha
Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
Woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha
Haath utha ker jab Aankhoon hi
Aankhoon mein
Uss ne mujh ko apne Rab se manga tha
Phir mere chehre ko haatoon mein le ker
kitne piyaar se mera matha chooma tha
Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kiya woh apni chat per aj akeela tha
ya koi mere jessi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke uss ka chehra dekha tha
 

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Be faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha
Jab dhoop thi qismat to shajar kis ke liye tha
Pardes mein sona tha to chatt kis liye dali
Bahir hi nikalna tha to ghar kis ke liye tha
Jis khaak se phoota hai usi khaak ki khushbu
Pehchan na paya to hunar kis ke liye tha
Aye maadar e geeti! Teri hairat bhi baja hai
Tere hi na kaam aaya to sar kis ke liye tha
Youn shaam ki dehshat se sar e dasht e irada
Rukna tha,to phir sara safar kis ke liye tha
 
Top