*** Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha***

  • Work-from-home

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Manzilein bhi us ki thi, Rasta bhi us ka tha,
Ek main akela tha, Kaafilaa bhi us ka tha,

Saath saath chalne ki soch bhi us ki thi,
Phir rasta badalne ka faisla bhi us ka tha,

Aaj kyun akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to usi ke the, Par kya khuda bhi us ka tha,




Har raasta bhi us ka tha, har fiasla bhi us ka tha...
Log bhi usi ke the, shayad khuda bhi us ka tha...

aur kya karon bayan, apni barbadiyon ka aalam..
ki Jo ab sawal karta hai..ye mera dil bhi usi ka tha..
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top