Pyaar and Shadi...

  • Work-from-home

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
Asalam o Alykum

Friendz main nay aik bohat common se line suni ha k "PYAAR KA MATLAB PAANA NAI HOTA", ap k khayal may kia waqai pyaar ka matlab paana nai hota?

ya


phir kia zaroori ha k jis se pyaar kia jay us se shadi b ki jay?

Kindly reply k sath detailz zaroor dejiyega

Thank You
No offense but jo log kehte hain k Piyaar ka matlab pana nai wo ya to give up kar chuke hote hain ya totaly loose kar chuke hote hain.. Mana k ap apnay piyar ko paye bina sansein lay sakte hain... But is ka matlab yeh nai "Piyaar ka matlab Pana Nahi"

This is like ap mehnat say perhai karte ho Doctor ki Degree hasil karte ho or phir Taxi chalate ho kiun k ap ki nazer may doc bannay ka matlab yeh nai k Doctor ki job ki gaye..
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
bilkul yeh sach hai k pyar ka naam panaa nahi hota

aur nahee yeh zarori hai k hum kasey cheaz ya insaan

ko chahai ya pyar karahai ya phir iss ko panay ki tamana

karahai to woh hum ko mill hee jahai
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

فہد

Super Star
Dec 12, 2009
10,225
3,548
1,313
karachi
Asalam o Alykum

Friendz main nay aik bohat common se line suni ha k "PYAAR KA MATLAB PAANA NAI HOTA", ap k khayal may kia waqai pyaar ka matlab paana nai hota?

ya

phir kia zaroori ha k jis se pyaar kia jay us se shadi b ki jay?

Kindly reply k sath detailz zaroor dejiyega

Thank You
im not agree ke pyar ka matlab paana nhi hota
coz pyaar to name hi kuch paane ka hai history gawah hai ke jitne bhi lovers guzre hain ya jis ne b sucha pyar kya un logon ne kuch na kuch paya zaror
kisi ne pyaar ki saza pe mout paai
to kisi ne us lover ke bichar jane pe umer bhar tanha rehne ki salahiyat payi
kisi ne apne pyar se shadi kr lene per apne khuwabon ki tabeer payi
to kisi ne apne pyar ki bewafai pe zindagi bhar ke lye zakham paye
kisi ne apne pyar ki suchai ko sabit kar ke kabhi na khatam hone wali muhabbat payi
to kisi ne apne pyaar ki khatir jaan de ker kabhi na bhulaya jane wala naam paya
so i think pyaar to name hi paane ka hai beshak sab kuch nhi milta bt kuch na kuch to zaror milta hai
 

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
@ Don.. kafi indirectly jawab nai dia ap nay? clear words may bolie ap kia kia kehna chahtay ha?

@ Waqar bro.. to matlab ap jis se true lov karte ha us k bagahir jeenay ki himat rakhte ha?
 
  • Like
Reactions: Hans_Mukh

Hans_Mukh

~~ Catch Me if u Can~~
VIP
Dec 1, 2008
30,406
14,989
713
Logon Ki Soch May
aray koi mujhey bhi bata day k yeh payar shadi hota kiya hay , mealy ku kuch bhi nahi pata ish balay may, ma tu abhi dhooh peeta bacha hooon
 
Top