Qayaamat ka intezaar

  • Work-from-home

Fiza Ahmad

Regular Member
Jun 18, 2009
65
58
18
Kashmir
Ghazab kiyaa, tere va'de pe ai'tabaar kiyaa
Tamaam raat qayaamat kaa intezaar kiyaa


HaNsaa haNsaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa
TasalliyaaN mujhe de de ke be-qaraar kiyaa


Ham aise maHv-e-nazaara na the jo hosh aataa
Magar tumhaare taGhaaful ne hoshiyaar kiyaa


Fasaana-e-shab-e-Gham unko ik kahaanii thii
Kuchh ai'tabaar kiyaa aur kuchh naa-ai'tabaar kiyaa

Ye kis ne jalva hamaare sar-e-mazaar kiyaa
Ki dil se shor uThaa, haaye! be-qaraar kiyaa



Tadap phir, ai dil-e-naadaaN! k Ghair kahte haiN
AKheer kuchh na banii, sabr iKhtiyaar kiyaa


Bhulaa bhulaa ke jataayaa hai unko raaz-e-nihaaN
Chhupaa chhupaa ke moHabbat ko aashkaar kiyaa


TumheN to va'da-e-diidaar ham se karnaa thaa
Yeh kiaa kiyaa k jahaaN ko umeed-vaar kiyaa


Ye dil ko taab kahaaN hai k ho ma'aal-andesh
UnhoN ne va'da kiyaa, ham ne ai'tabaar kiyaa


Na puuchh dil kii Haqiiqat magar ye kahte haiN
Vo be-qaraar rahe jis ne be-qaraar kiyaa


Kuchh aage daavar-e-maHshar se hai ummiid mujhe
Kuchh aap ne mere kahne kaa ai'tabaar kiyaa
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top